Feb 22, 2015

Teray husan pe likh na de koi ghazal meri yeh bad'naam Qalam Abaas


Teray husan pe likh na de koi ghazal meri yeh bad'naam Qalam Abaas

Khudara aaya kar samnay meray koi niqaab laganay kay baad

Tamaam umar ki awaragi pe bhaari hai


Tamaam umar ki awaragi pe bhaari hai 

Woh aik shab jo teri yaad main guzaari hai

Kaash bana'nay walay ne mujhay kitab banaya hota


Kaash bana'nay walay ne mujhay kitab banaya hota 
Woh parhtay parhtay so jati mujhay seenay se lagaya hota 

MAin us kay gham main rota aur rota hi jata 
Us ne chupkay se mujhay seenay se lagaya hota 

Us ko dastaan suna suna kay thak sa gaya 
Kaash us ne bhi mujhay haal-e-dil sunaya hota 

Main us ka naam leta aur subh-o-shaam leta 
Hay afsoos us ne mujhay aik baar bulaya hota 

MAin us ki khatar tarapta raha shaam-o-sehar Mohsin 
Arman na hota gar us ne aik Aansoo hi bahaya hota

Mundir par chragh rakh diye hain khud jalaye ga


Mundir par chragh rakh diye hain khud jalaye ga 
Woh aanay wala shakhs janay kis taraf se aaye ga 

To teh huwa na , is gali kay mor tak to saath hain 
Par is gali kay mor tak bhi ik zamana aaye ga 

Udaas parbaton se sardiyon ki barf aa mili 
Magar yeh rabt dhoop ki kiran se toot jaye ga 

Jo log hijar ki musafaton main thak kay so gaye 
Khayal-e-mousam-e-wisaal hi unhain jagaye ga 

Woh ajnabi to shaher chor kar kabhi ka ja chuka 
Kitaab-e-dil ki ru'numaai main kissay bulaye ga 

Tu apnay harf us kay naam kar kay khud ko bhool jaa
YEh ehad-e-be'hunar hai kis ko mojza dikhaye ga 

Siwaye us kay apni tairgi main aap jal utahain
Saleem shab zadon ko kon roshni dikhaye ga

Jahan tera naqsh-e-qadam mila wahin khud ko main ne juka diya


Kabhi gham ki aag main jal uthay 
kabhi dil ka daagh jala diya 

Ae junoon-e-ishq bata zara 
mujhay kiyon tamasha bana diya 

Gham-e-ishq kitna ajeeb hai 
yeh junoon se kitna qareeb hai 

KAbhi ashk palkon pe ruk gaye 
KAbhi main ne dariya baha diya 

Mera jazba-e-shouq to dekhiye
Meri bandagi hai woh bandagi 

Jahan tera naqsh-e-qadam mila 
Wahin khud ko main ne juka diya

Abhi kar rahay ho tum ibtidaa
Mera keh raha hai yeh tajurba 

Tumhain zindagi ki hai Aarzoo
Mujhay zindagi ne mitta diya
 



Saath rehtay hain meray sab magar matlab ki haddo'on tak


Saath rehtay hain meray sab magar matlab ki haddo'on tak 

Kahin thak'ta hoon to akela, kahin rukta hoon to tanha

Ajeeb qissa suna hum ne aaj subha


Ajeeb qissa suna hum ne aaj subha 

Kisi shakhs ne zindagi se tang Aa kar mohabbat kar li

Kinara kar kay rishton se


Kinara kar kay rishton se 

Wafaein haar kay 

Mohabbat ki haqeeqat ko 

Woh ab samjhay 

To kiya samjhay ?

Bemaar-e-mohabbat ko gar hosh main lana ho


Bemaar-e-mohabbat ko gar hosh main lana ho 

Daman main lita kar , zulfon se hawa dena 

Dekho kabhi to meri taraf khush'dili kay saath


Dekho kabhi to meri taraf khush'dili kay saath 
Kya farz hai keh baat karo be'rukhi kay saath 

Hans hans kay jee raha hoon gham-e-zindagi kay saath
Tu hosla to dekh meri be'basi kay saath 

Jeena khushi kay saath , na marna khushi kay saath 
Kya khoob zehmatein hain yeh dil ki lagi kay saath 

Gham se nijaat payein to payein woh kis tarah 
YEh gham laga huwa hai her ik admi kay saath 

Khud se bhi Aashna hoon khuda Aashna bhi hoon 
Ek gham'rahi ka daagh hai is Aagahi kay saath 

Uzair tumhain sataaish-e-duniya ki fikar hai 
Laazim hai shart-e-daad bhi kiya shairy kay saath
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...