Apr 21, 2016

Apnay honay ka pata deti hai zindagi youn bhi saza deti hai


Apnay honay ka pata deti hai 
Zindagi youn bhi saza deti hai 

Dil sulagnay ka pata chalta hai 
Yaad jab raakh gira deti hai 

Yeh hunar maa kay siwa kis ka hai 
Bhookay bachon ko sula deti hai

Youn uraao na mohabbat ka mazaq 
Yeh to banday ko khuda deti hai 

Main sula deta hoon zakhmon ko magar 
Ik naya dard hawa deti hai 

Zinda rehna hai to shikwa kaisa 
Mout her dukh ko mita deti hai 

Poet : Khalid Imran Mazhar

Is gham ko to ab dil main samona hi paray ga


Is gham ko to ab dil main samona hi paray ga 
Aankhein jo bhar aayi hain to rona hi paray ga 

Woh shakhs muradon se jissay paya tha hum ne  
Mehsoos yeh hota hai keh khona hi paray ga 

Ab jee ko jalatay huye ik umar hui hai 
Ab hum ko teri tarah ka hona hi paray ga 

Yeh hijar ka mousam kahin be'kaar na jaye 
Baqi jo bacha hai ussay khona hi paray ga 

Is kasht-e-malamat main meri jaan zara dekh 
Yeh tukhm-e-mohabbat hai  keh bona hi paray ga

Husan-e-fitrat ne mujh pe jadu kiya , dil wahin reh gaya



Husan-e-fitrat ne mujh pe jadu kiya , dil wahin reh gaya 
Phool ' kohsaar , jungle , sitaray , hawa , dil wahin reh gaya 

Tum mujhay saath lay aaye acha kiya , par tumhein kya pata 
Meray mohsin meray yaar-e-dard aashna , dil wahin reh gaya 

Youn hua jaisay bijli si chamki wahan aur kya ho biyaan 
Aankh khultay hi dekha keh sab theek tha , dil wahin reh gaya 

Main khudaon ki basti main mabhoos tha , zehan maflooj tha 
Jis jaga koi insaan mujh ko mila , dil wahin reh gaya 

Kharman-e-jaan yeh jab barq-e-wehshat giri tab kissay hosh tha 
Jism ko khair main ne sambhala diya , dil wahin reh gaya 

Us ne Khalid mujhay aaj apna kaha , kaisay mumkin hua 
Ghar to main aa gaya sochta sochta , dil wahin reh gaya

Apnay mahool se bichri hui tum lagti ho


Apnay mahool se bichri hui tum lagti ho 
Paas baithi ho par uljhi hui tum lagti ho 

Beech apnay hai koi pichlay janam ka rishta 
Jaagtay sotay main dekhi hui tum lagti ho 

Yeh lab-o-lehja yeh aankhein nahin is duniya ki 
Mujh ko mareekh se aayi hui tum lagti ho 

Chandani raat main phaili hui khushbu ki tarah 
Mujh ko her simt se aati hui tum lagti ho 

Aik be'naam udasi ki jhalak chehray par 
Shayed is shaher se roothi hui tum lagti ho 

To jaana ab judai ki gharri nazdeek aati hai


" Judai ki gharri "

To jaana 
Ab judai ki gharri nazdeek aati hai 
Chalo aankhon pe bosa do 
Keh ab bichray to shayed phir kabhi milnay na payein hum 
Zamana darmiyan youn aa gaya hai 
Keh ab doori yaqeeni ho gayi hai 
Hum apnay aap main gum barhtay jatay thay 
Bila sochay bila samjhay 
Magar ab kay 
Zamana darmiyan youn aa gaya hai 
Keh khawabon ki koi tabeer mumkin hi nahin hai 
Aur kuch is main hamari aur tumhari niyaton ka dosh bhi hai 
To jaana 
ab judai ki gharri nazdeek aati hai 
Chalo aankhon par bosa do 
Keh ab bichray to shayed phir kabhi milnay na payein hum


Ussay to kho hi chukay phir khayal kya us ka


Ussay to kho hi chukay phir khayal kya us ka 
Yeh fikar kaisi keh ab ho ga haal kya us ka 

Woh aik shakhs jissay khud hi chor baithaythay 
Ghulaye deta hai  dil ko malaal kya us ka 

Tumhari aankhon main chhalkein nadamatein kaisay ?
Jawab ban'nanay laga tha sawal kya us ka 

Tumharay apnay iraday main koi jhol tha 
Kaho keh milna tha aisa mohaal kya us ka 

Woh nafraton kay bhanwar main bhi muskura kay mila 
Ab us se barh kay bhala ho kamaal kya us ka 

Ab is tarah bhi na yaadon ki kirchiyan chuniye 
Na tha firaaq se behtar wisaal kya us ka 

Yeh soch kay na milay phir ussay kabhi Khalid 
Keh janay ho ga nadamat se haal kya us ka

Youn hi to deep nahin raah main jalaya tha


Youn hi to deep nahin raah main jalaya tha 
Chragh jaisa koi shakhs yaad aaya tha 

Woh dost tha magar us ne kabhi na poocha haal 
Yeh aur baat keh main ne bhi kab bataya tha 

Na'janay kiyon meri halat pe log hanstay rahay 
Kisi ka main ne yahan dil nahin dukhaya tha 

Qasoor'waar samjhnay laga main khud ko bhout 
Kuch is ta'paak se us ne galay lagaya tha 

Khizan darakhton se kamray main aa chuki thi Hassan
Hawa ne mujh ko bhout baad main jagaya tha 

Naya ik rabt paida kiyon karein hum


Naya ik rabt paida kiyon karein hum 
Bicharna hai to jhagra kiyon karein hum 

Khamoshi se ada ho ' rasam-e-doori 
Koi hungama barpa ' kiyon karein hum 

Yeh kafi hai , keh hum dushman nahin hain 
Wafa'dari ka dawa kiyon karein hum 

Wafa , ikhlaas , qurbani , mohabbat 
Ab in lafzon ka peecha , kiyon karein hum 

Hamari hi tamana kiyon karo tum 
Tumhari hi tamana kiyon karein hum 

Kiya tha ehad , jab lamhon main hum ne 
To sari umar 'efaa kiyon karein hum 

Nahin duniya ko ' jab parwah hamari 
To phir duniya ki parwah , kiyon karein hum 

Yeh basti hai , musalmano ki basti 
Yahan kaar-e-maseeha , kiyon karein hum

Tum ko dekha to yeh khayal aaya


Tum ko dekha to yeh khayal aaya
Zindagi dhoop tum ghana saya 

Aaj phir dil ne ik tamana ki 
Aaj phir dil ko hum ne samjhaya 

Tum chalay jao gay to sochein gay 
Hum ne kya khoya hum na kya paya 

Hum jissay gun'guna nahin saktay 
Waqat ne aisa geet kiyon gaa'ya

Her simat latafat hi latafat si lagay hai


Her simat latafat hi latafat si lagay hai 
Tu hai to yeh duniya mujhay jannat si lagay hai

Her baar to is tarah dhalakta nahin aanchal 
Kuch is main mujhay teri sharaarat si lagay hai 

Kya tujh ko zaroorat kisi andaz-o-ada ki 
Tu youn hi mujhay aik qayamat si lagay hai

Aankhein jo uthaye to mohabbat ka gumaan ho 
Nazron ko jhukaye  to shikayat si lagay hai 

Yeh teray khad-o-kaal main mariyam ka taqadus 
Aankhon ko jhukaon to ibadat si lagay hai

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...