May 29, 2016

Manohar kya waron tujh par


Manohar 
Kya waron tujh par 
Meri jeewan thaali main to 
Sheesh nahin koi 
Bas naina rehtay hain 
Jalay huye sapno ka tatt
Maathay teray kya tilak lagaon 
Raakh bhi meri maang 
Oak main teri kya jal daroon 
Main sam'puran pyas 
Kuch shabdon kay moti hain 
Par kya is chandar mukh aagay 
Teri janam girha main mohan 
Kon sa phool main taankon 
Mann bagiya sooni hai 
Aur paraye phoolon par hai 
Kya mera adhee'kaar   
Bas aik aatma rehti hai 
Jo daan karon tujh par !
Manohar 
Kya waron tujh par ?

Chalo is khawab ko hum tark kar dain


Chalo is khawab ko hum tark kar dain 
Aur aankhon pe saja dain 
Keh her tasveer main halka gulabi rang chahnay se nahin aata 
Bhout se naqsh , naqaash azal aisay banata hai 
Keh jis ka hashiya gehra siyah 
Aur naqsh halka sur,mai rehta hai 
Aur jis par kis bhi zawiye se chand utray 
Yeh kabhi roshan nahin hotay 
Khuda kuch kaam aadhi raat ko karta hai 
Jab is kay piyalay main 
Siyahi kay siwa kuch bhi nahin hota 
Yeh khaaka bhi 
Kisi aisi hi sama'at main bana ho ga 
Hamari aankh main jo khawab utra tha 
Bhout khush rang lagta tha 
Magar is kay damaknay main 
Kai aankhein lahu hotein 
Kitabon aur phoolon se sajay jis ghar kay aangan main 
Hum apnay aap ko khiltay huye mehsoos kartay thay 
Wahan ik aur ghar buniyad se youn sar utha'ta tha 
Keh hum andar se hil jatay 
Magar chup chaap rehtay thay 
Yeh chup deemak ki surat hum ko ik din chaat jati 
Tumharay dukh se main waqif hoon 
Aur apnay muqaddar ki lakeeron ki bhi mehram hoon 
Hamaray bas main rangon ka chunao hai 
Na khat ka 
So is tasveer ko tehleel kar dain 
Hum apnay canvis tabdeel kar lain !
 

Khuli aankhon yeh kaisa khawab meray samnay hai




Cinderella (unisited)

Khuli aankhon yeh kaisa khawab meray samnay hai
Diye aangan se lay kar aasman tak 
Gulab-e-taza ki khushbu chaman se sehan-e-jaan tak 
Baloreen jaam 
Aur is main damakti surkh may 
Aur is kay nashay se farozan un ka chehra 
Sitaron se bana mera libada 
Sarapa-e-iztraab ik shahzada 
Fars pe sham'ein jalata aik wada 
Dilon kay vilon par 
Walz kartay do badan 
Auras kay shano par rakhay sar
Zindagi se
Neem sar'goshi main ik hi baat dohraati hui 
Khushbu-e-lab 
Aur is ka jadu 
Gajr bajtay hi aadhi raat ka 
Yeh khawab yak dam toot jata hai 
Sitaron se bana malboos mera 
Phir khas-o-kha'shaak ho jata hai 
Mera rath achanak toot jata hai 
Meri sheeshay ki juti raqs-e-geh main choot jati hai 
Magar agli sehar 
Meri taraf 
Shahi mehal se 
Koi qasid 
Doosray paon ki furqat main nahin aata !

Aakhon ne kaisay khawab tarashay hain in dino


Aakhon ne kaisay khawab tarashay hain in dino 
Dil par ajeeb rang utar'tay hain in dino 

Rakh apnay paas apnay mah-o-mehar ae falak 
Hum khud kisi ki aankh kay taaray hain in dino 

Dast-e-sehar ne maang nikali hai baar'ha 
Aur shab ne aa kay baal sanwaray hain in dino 

Is ishq ne hamein hi nahin moh'tadal kiya 
Us ki bhi khush mizaji kay char'chay hain in dino 

Ik khush'gawar neend pe haq ban gaya mera 
Woh rat'jagay us aankh ne kaatay hain in dino 

Woh qehat-e-husan hai keh sabhi khush jamal log 
Lagta hai koh'kaaf pe rehtay hain in dino

Taar-e-maz'gaan nahin mil raha tha


Taar-e-maz'gaan nahin mil raha tha 
Zakham kis yaad ka sil raha tha 

Barf main roshni ghul rahi thi 
Woh meray khawab main raha tha 

Kuch ajab roshni baagh main thi 
Phool kis rang ka khil raha tha 

Samnay tha woh aur dono chup thay 
Ab na hum thay na woh dil raha tha 

Rang-o-roghan ki baatein mehal main 
Shaher buniyad se hil raha tha 
 

Lo chraghon ki kal shab izafi rahi


Lo chraghon ki kal shab izafi rahi 
Roshni teray chehray ki kaafi rahi 

Apnay anjaam tak aa gayi zindagi 
Yeh kahani magar ikhtalafi rahi 

Hai zamana khafa to baja hai keh main 
Us ki marzi kay bilkul munafi rahi 

Aisay mohtaat , aisay kam'amez se 
Ik nazar bhi tawajo ki kafi rahi 

Subha kya faisala hakim-e-no karay 
Jashan ki raat tak to mo'afi rahi 


May 27, 2016

Rukhsat ki kasak rahi hai ab tak


Rukhsat ki kasak rahi hai ab tak 
Ik shaam sulag rahi hai ab tak 

Shab kis ne yahan qadam rakha tha 
Dehleez chamak rahi hai ab tak 

Maathay pe woh lab thay saniya bhar 
Aur rooh mehak rahi hai ab tak 

Dekha hai yeh kis nazar se us ne 
Tasveer damak rahi hai ab tak 

Jo baat kahi nahin thi us se 
Lehjay main khanak rahi hai ab tak 

Kab ka hua khaali saghar shaam 
May hai keh chalak rahi hai ab tak 

Bin aks yahi kaisi jag'magahat 
Sheeshay se jhalak rahi hai ab tak 

Woh chasham keh baagh aashna hai 
Jungle main bhattak rahi hai ab tak  

Dono kay labon tak aatay aatay 
Ik baat atak rahi hai ab tak 

Baarish ki hai chah shaakh ko aur 
Badal se jhijak rahi hai ab tak 

Shano pe nahin woh haath lakin 
Chadar si sarak rahi hai ab tak

Taron kay liye bhout karri thi


Taron kay liye bhout karri thi 
Yeh rukhsat-e-mah ki gharri thi 

Her dil pe hazar neel niklay 
Duniya kissay phool ki charri thi 

Wahan dhair tha pathron ka tayaar 
Yahan phool ki aik pankhrri thi 

Dariya meray samnay tha lakin 
Main pyas se jaan balb kharri thi 

Dekhon gi main aaj us ka chehra 
Kal khawab main roshni barri thi 

Tha jhoot ameer-o-takhat Araa
Sachai saleeb pe garri thi

Juz talab us se kya nahin milta


Juz talab us se kya nahin milta
Woh jo mujh se zara nahin milta

Jaan lena tha us se mil kay hamein
Bakhat se to siwa nahin milta

Zakham khilnay kay muntazir kab se
Aur lams-e-hawa nahin milta

Kis qadar bad'naseeb badal hain
Jin ko dast-e-dua nahin milta  

Mera maslak nahin qasaas magar 
Kya mujhay khoon baha nahin milta 

Bastiyan aakhri damon par hain 
Aur harf-e-shiffa nahin milta 

Aik Asaib kay makan main hoon 
Aur rad-e-balaa nahin milta 

Daikh kar dana jo aaye hain sar-e-shakh prind


Daikh kar dana jo aaye hain sar-e-shakh prind 
Rutt badalnay pe to youn bhi nahin rehnay walay 

Shaher-e-veerani main sehra-o-biyabaan se barha 
Ab to yahan ehal-e-junoon bhi nahin rehnay walay 

Khaak ho jayein gay qatil bhi yahan teegh ba'dast 
Aur ghal'teeda bakhon bhi nahin rehnay walay 

Waqat aisa hai keh ab hashar hai kuch dair ki baat 
Mut'maein ehal-e-sakoon bhi nahin rehnay walay 


Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...