main arhay tirchay khyal sochon
keh be'irada kitaab likhon
koi sha'nasa ghazal trash'on
keh ajnabi intisaab likhon
ganwa doon ik umar ke zamaney
keh ik ik pal ka hisaab likhon
meri tabiyat pe munhasir hai
main jis tarah ka nisaab likhon
yeh meray apney mizaaj par hai
azaab sochon sawaab likh'on
taveel tar hai safar
tumhain kiya
main jee raha hoon
magar tumhain kiya
tumhain kiya tum to kab se
meray iraday ganwa chukay ho
jala kar saray haroof apney
meri dua'ein bujha chukay ho
ab meray dil pe jabar kaisa
yeh dil to hadd se guzur chuka hai
guzar chuka hai
magar tumhain kiya
khizaan ka mousam thehar chuka hai
thehar chuka hai
magar tumhain kiya
keh is khizaan main jiss tarah ke bhi khwaab likhon
main arhay tirchay khyal sochon
keh be'irada kitaab likhon
magar tumhain kiya
tumhain kiya
No comments:
Post a Comment