Jab se us ne shaher ko chora her rasta sunsaan hua
APna kiya hai saaray shaher ka ik jaisa nuksaan hai
Meray haal pe hairat kaisi Dard kay tanha mousam main
Pathar bhi ro partay hain insaan to phir insaan hua
Us kay zakham chupa kar rakhiya ,khud us shakhs ki nazron se
Us se kaisa shikwa karain woh to abhi nadaan hua
Youn bho kam amez tha "Mohsin" woh is shaher kay logon main
Lakin meray samnay aa kar aur hi kuch anjaan hua
No comments:
Post a Comment