Jul 25, 2014

Mujh se kehta hai kabhi dil main malaal atay hain


Mujh se kehta hai kabhi dil main malaal atay hain 
Kaisay kaisay mere dushman ko sawal atay hain 

Yeh jo hum rotay hain chup kar kabhi tanhai main 
Rafta rafta tujhay aankon se Nikal atay hain 

Hum mohabbat pe bhi koi ehsaan rakhtay hain 
Nekiyaan kartay hain dariyaon main daal atay hain 

Bas is khouf se soi nahin muddat se 
Hijar milta hai agar khwaab-e-wisaal atay hain 

Phool khil jayein to is shakhs se kam kam milna 
Aisay mousam main mohabbat pe zawaal atay hain 


No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...