Tum ne khud ko chalo sajayaa to 
Aaina aaj muskuraya to 
Ishq kar loon ga dushmano se main 
Woh agar ho ajye paraya to 
Soch kar dil ko torna mere 
Yeh diya bujh kay jal na paya to 
Dhoop kamron se rooth jaye gi 
Par aangan main gar lagaya to 
Meri aankhain thein khushk muddaton se 
Aashique ne chalo rulaya to 
No comments:
Post a Comment