Khandar aankhon main gham abaad karna
KAbhi fursat mile to yaad karna
Aziyat ki hawas bujhnay lagi hai
Koi taza sitam ijaad karna
Kai sadiyaan pighalnay ka aalam hai
Badan se rooh ko azaad karna
Abhi kaisi paristish bijliyon ki
Abhi ghar kis liye barbaad karna
Tumhara jhoot sach se mohtabar hai
Mere haq main bhi kuch irshaad karna
Ajab hai dhoop chaaon hijraton ki
KAbhi hansana kabhi fariyaad karna
Jahanum jhailnay se bhi , kathan hai
Anaa ko khoogar-e-be'daar karna
Kabhi pathar se sar takraa kay Mohsin
Adaa qarz sar-e-farhaad karna
No comments:
Post a Comment