Sep 11, 2014

Aatish-e-hijar main koi jalta raha


Raat kat'ti rahi , chaand jalta raha 
Aatish-e-hijar main koi jalta raha 

Tanhai dil ko dasti rahi 
Koi be'chain karwat badalta raha 

Aas-o-umeed ki shamma roshan rahi 
Ghar ki dehleez ko koi takta raha 

Raat bhar chandani gun'gunaati rahi 
Raat bhar koi tanha siskata raha 

Ashk palkon pe aa kay bikhartay rahay 
Naam lab pe kisi ka larazta raha 

Aaj phir raat basar ho hi gayi 
Aaj phir koi khud se ulajhta raha

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...