Sep 11, 2014

Armaano ko tarpaati hai


Jab yaadon ki rutaati hai 

Armaano ko tarpaati hai

Neend ki pariyaan urr jaati hain 

Raat ki nagan lehraati hai 

Aankhain pathar ban jaati hain 

Rooh badan main ghabraati hai 

Main khud se baatain karta hoon 

Jab tanhai staati hai 

Zehan main sochain chubti hain to

Hasrat aansoo ban jaati hai 

Dard ki aahat dil main aa kar 

Hosh urra kar lay jaati hai

Aik din tum se milain gay hum 

Gardish-e-doraan samjhaati hai 

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...