Us ki chahat ka bharam kiya rakhna
Dasht-e-hijraan main qadam kiya rakhna
Apnay jaisa koi milta hi nahin
Aankh main doulat-e-gham kiya rakhna
Baat chup reh kar bhi ho sakti hai
PaasQirtaas-o-qalam kiya rakhna
Aao kashkol ko nee'laam karain
Qarz-e-arbaab-e-karam kiya rakhna
Fikr-e-araaish-e-maqtal main raho
Mehr-o-meezaan-e-aalam kiya rakhna
Us ki yaadon ko ghaneemat jaano
Is taaluq ko to kam kiya rakhna
Hans bhi lena kabhi khud par mohsin
Her gharri aankh ko nam kiya rakhna
No comments:
Post a Comment