Ana pe chot paray bhi to kon dekhta hai
Dhuwaan sa dil se uthay bhi to kon dekhta hai
Mere liye kabhi matti pe sardiyon ki hawa
Tumhara naam likhay bhi to kon dekhta hai
Ujaar ghar kay kisi be'sadaa dareechay main
Koi chragh jalay bhi to kon dekhta hai
Hajoom-e-shaher se hat kar , hadood-e-shaher kay baad
Woh muskuraa kar milay bhi to kon dekhta hai
Jis aankh main koi chehra na koi aks-e-talab
Woh aankh jal kay bujhay bhi to kon dekhta hai
Mile baghair jo mujh se bichar gaya "Mohsin"
Woh raastay main rukay bhi to kon dekhta hai
No comments:
Post a Comment