Sep 4, 2014

Dil main ik tasveer chupi thi , aan basi hai aankhon main



Dil main ik tasveer chupi thi , aan basi hai aankhon main 
Shayed hum ne aaj ghazal se baat likhi hai aankhon main 

Jaisay aik asmaani larki mandar kay darwazay par 
Shaam diyon kay thaal sajaye jhaank rahi hai aankhon main 

Is romaal ko kaam main laa'on apni palkain saaf karoon 
Mayla mayla chaand nahin hai dhool jami hai aankhon main 

Parhta ja yeh manzir'nama zard azeem paharon ka 
Dhoop khili palkon kay oopar , baraf jami hai aankhon main 

Main ne aik noval likha hai aanay wali subha kay naam 
Kitni raaton jaaga hoon , neend bharri hai aankhon main

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...