Sep 16, 2014

Mujhay lagta hai jaisay


Aaj main ik nazam likhon ga 

Mujhay lagta hai jaisay 
Aaj main ik nazam likhon ga 
Kisi ki yaad lay ayi thi 
Phoolon ki nu'maaish main 
Meray qadmon ki aahat suntay hi 
Sehan-e-gulistaan main 
Labon kay zikar , aariz ki kahaani ka 
Ik aisa silsala chairra tha phoolon ne 
Keh jis ko nazam karnay se
Fiza-e-waqat qaasir thi 
Chali yhi baat in aankhon ki chakh aisay tanazar main 
Keh khushboo ne tehar kar 
Chashm-e-nargis kay liye bosay 
Sraapa-e-gosh bar'awaaz thein Kaliyaan ba her jaanib 
Tabasum rez ghunchay aalam-e-hairat main ghaltaan thay 
Gulon ko is tarah 
Angraaiyaan letay huye dekha 
To mousam ki ragon main 
Bijliyaan jaisay utar ayein 
Kisi na'deeda hiddat ne diya meh'maiz aanchal ko 
Nikharti shaam ne chaira , yaka yak zikar gaisoo ka 
Ba her jaanib shabistaan main 
Kisi ki baat chal nikli 

Myussar thi fiza ko rang-o-khushboo ki farwaani 
Magar woh qamat-e-zaiba 
NA ban paya kisi se bhi 
Mujhay is khaal-o-khatt ko 
Aaj shayed nazam karna hai 
Mujhay lagta hai jaisay 
Aaj main ik nazam likhon ga 

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...