Dec 12, 2014

Kabhi kabhi meray dil main khayal aata hai


Kabhi kabhi meray dil main 
Khayal aata hai 
Keh jaisay tujh ko 
Banaya gaya hai meray liye 

To ab se pehlay sitaaron main bas rahi thi kahin 
Tujhay zameen pe bulaya gaya hai meray liye 

Kabhi kabhi meray dil main khayal aata hai 
Keh yeh badan , yeh nigahain meri amanat hain 
Yeh gaiso'on ki ghani chaaon hai meri khatar 
Yeh hont aur yeh baanhain meri amanat hain 

Kabhi kabhi meray dil main khayal aata hai 
Keh jaisay bajti hain sheh'naeyaan  si raahon main 

Sohaag raat hai , ghoonghat utha raha hoon main 
Simat rahi hai , tu sharma kay apni baanhon main 

Kabhi kabhi meray dil main khayal aata hai 
Keh jaisay tu mujhay chahey gi umar bhar youn hi 
Uthay gi meri taraf pyaar ki nazar youn hi 
Main jaanta hoon keh tu ghair hai , magar youn hi 

Kabhi kabhi meray dil main khayal aata hai 
 

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...