Yeh Mehlon, yeh Takhton , yeh Taajon ki duniya 
YEh insaan kay dushman Samaajon ki duniya 
Yeh doulat kay bhookay Riwajon ki duniya 
YEh duniya agar mil bhi jaye to kya hai 
Her aik jism ghayal Her ik rooh payaasi 
Nigahon main uljhan Dilon main udaasi 
Yeh duniya hai ya Aalam-e-bad'hawasi 
YEh duniya agar mil bhi jaye to kya hai 
YAhan aik khilona hai insaan ki hasti
Yeh basti hai murda paraston ki basti 
YAhan to jeewan se hai mout sasti 
YEh duniya agar mil bhi jaye to kya hai 
Jawani bhat'takti hai bad'kirdaar ban kar 
Jawaan jism sajtay hain bazar ban kar 
Yahan pyaar hota hai beo'paar ban kar 
YEh duniya agar mil bhi jaye to kya hai  
 
No comments:
Post a Comment