Funkaar hai to haath pe suraj saja kay laa
Bujhta hua diya na muqabil hawa kay laa
Dariya ka intiqaam dabo de na ghar tera
Saahil se roz roz na kankar utha kay laa
Thori se aur moj main aa Ae hawa-e-gul
Thori si us kay jism ki khushboo chura kay laa
Samaan wafa ka baandh magar soch soch kar
Is ibtidaa main youn na sakhat intihaa kay laa
Gar dekhna hai ehal-e-mashiyat ka hosla
MAidaan se ghar main ek miyat utha kay laa
Mohsin ab us ka naam hai sab ki zubaan par
Kis ne kaha tha us ko ghazal main saja kay laa
No comments:
Post a Comment