Umeed kay sehraa main jo barson se kharra hai
Halaat ki be'reham hawaon se larra hai
Ruswai se bhaagay to yeh mehsoos hua hai
Tanhai ki manzil ka safar kitan karra hai
Heeray ki kani ho to , tabasum bhi bhout hai
Lo samnay ik kaanch ka minaar kharra hai
Youn zehan pe barsa hai teri yaad ka badil
Jaisay keh koh-e-Alam toot parra hai
Guzray huye lamhay kabhi wapis nahin aatay
Kiyon surat-e-dewaar andheray main kharra hai
Ik wajah-e-mubhim hoon ba'zahir main ufaq par
Kehtay hain mera naam , meray qad se bara hai
Ek main hi akela nahin is dast-e-khalish main
JAlta hua suraj bhi meray sar pe kharra hai
Na qadri-e-jazbaat kay is ehad main
Aa jaaye raas pathar bhi barra hai
No comments:
Post a Comment