Apr 23, 2016

Aik pal chain se soya bhi nahin ja sakta


Aik pal chain se soya bhi nahin ja sakta 
Kya karin toot kay roya bhi nahin ja sakta 

Khawab ashkon ki tarah aankh se jhartay bhi nahin 
Bojh aisa hai keh dhoya bhi nahin ja sakta 

Ishq woh daagh keh lagta nahin her daman par 
Aur lag jaye to dhoya bhi nahin ja sakta 

Aisay moti bhi koi moti hain Ae deeda-e-tar 
Jin ko dhagay main piroya bhi nahin ja sakta 

Kya qayamat hai keh saahil bhi muqadar main nahin 
Aur safeenay ko daboya bhi nahin ja sakta 

Aiklamha jissay panay main zamanay beetay 
Khona chaha hai to khoya bhi nahin ja sakta 

Aankh tar thi to samandar meri aaghosh main tha 
Ab to daman ko bighoya bhi nahin ja sakta 

Ashk jam jatay hain pathrai hui aankhon main 
Gham ziyada ho to roya bhi nahin ja sakta

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...