Mera dil mujh se kehta hai
Tumhein mujh se mohabbat hai
Gumaan ki teh'rah shab ki chehra dasti main
Falak ki chadron main raakh hoti maah-o-anjum ki
Hazeen mehfil main ab bhi ik sitara jag'magata hai
Samandar main safar karti hawa ki kashtiyon ko raah dikhata hai
Jazeeron kay kinaron par kisi tootay gharonday main
Koi jazba hawaon ki sadaon se ubharta hai
Fizaon main bikharta hai , to aisay main
Yaqeen kay rang main dooba hua her aik manzir jaag uth'ta hai
Hawa'ein us haseen jazbay ko , chandan se meray maathay pe
Aa kay sibat karti hain
Mohabbat ka pakheru phir se lehan-e-jaan'fiza main gun'gunata hai
Jissay hum ne kabhi ik saath dekha tha wohi mah'taab
Meri rooh ki veeran aankhon kay jharokhon main chamakta hai
To roshan zindagi kay khawab farda kay naye ghar ki
Khuli chatt par achanak muskuratay hain
Meray dil ki zameeno main khilay phoolon kay saaiye main
Tumhari yaad ka her pal mehakta hai
Meray tan pe koi sawan tumharay pyar ki surat
Bhout khul kar barasta hai
Mera dil phir meri ta'eed karta hai
Tumhein mujh se mohabbat hai
Badan main jaan ki surat
Kisi emaan ki surat
Tumhein mujh se mohabbat hai
No comments:
Post a Comment