May 24, 2016

Khushbu main basa hua yeh lamha


Khushbu main basa hua yeh lamha 
Dastak meray dil pe de raha hai 
Aur dhoond raha hai meray andar 
Ik shaakh-e-bahar rang jis main 
Iqraar kay phool khil rahay hain !

Main kaisay karon yeh dar ka'shada  
Is par to woh qufal par chuka hai 
Jis kay liye saray isam be'kaar 
Yeh meray sitaray ki tarah hai 
Tareek , udaas . ghair abaad !

Ae meray Khuda , meray badan main 
Himmat nahin ab shakistagi ki 
Sheeshay ki tarah hai us ka dil bhi 
Ik thais se tootnay ka dar hai 
Maalik hai tu Aab-o-baad-o-gul ka 
Qadir hai hamari qismaton par
Itni si dua hai meri tujh se hai 

Ya us kay iraday ko badal de !
Ya meray sitary ko badal de !


No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...