May 24, 2016

Takhat hai aur kahani hai wohi


Takhat hai aur kahani hai wohi 
Aur sazish bhi purani hai wohi 

Qazi-e-shaher ne qibla badla 
Lakin khutbay main rawani hai wohi  

Khaima kash ab kay zara dekh kay ayo 
Jis pe pehra tha , yeh pani hai wohi 

Sulha ko fasak kiya dil main magar 
Ab bhi paigham-e-zubani hai wohi 

Aaj bhi chehra khurasheed hai zard 
Aaj bhi shaam sohani hai wohi 

Badlay jatay hain yahan roz tabeeb 
Aur zakhmon ki kahani hai wohi 

Hujla-e-gham youn hi aaraasta hai 
Dil ki po'shaak sohani hai wohi 

Shaher ka shaher yahan doob gaya 
Aur dariya ki rawani hai wohi 

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...