Jan 24, 2017

Zindagi honay lagi jab say basar yahoo par



Zindagi honay lagi jab say basar yahoo par

Zindagi honay lagi jab say basar yahoo par
Roze karta hoon naya aik safar yahoo par

Shaam tak rehti hai jaari tag-o-dau rozi ki
Aur phir raat say hoti hai sehar yahoo par

Faaslay abb kahan haayal rahay insaanon mein
Kar hi laitay hain mulaaqat magar yahoo par

Ilm ka aik samandar hai pyaason kay liye
Dekh nadaan koi ilzaam na dhar yahoo par

Sirf duniya hi nahin door khalaaon tak kee
Dhoondnay waalon ko milti hai khabar yahoo par

Yeh alag baat keh awaargiyaan bhi hain bohat
Pakray jaanay ka bhee koi naheen darr yahoo par

Aisa lugta hai keh guzray ga burhaapa kuch yoon
Dhiyaan maazee mein kahin gum to nazar yahoo par


No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...