Sep 30, 2017

Main aik barg-e-khizaan ki maanind


Main aik barg-e-khizaan ki maanind 
Kab se shaakh nihaal-e-gham par 
Laraz raha hoon 
Mujhay abhi tak hai yaad-o-jaan figaar-e-sa'aat 
Keh jab baharon ki aakhri shaam 
Mujh se kuch youn lipat kay roi 
Keh jaisay ab umar bhar na daikhay ga 
Hum main aik doosray ko koi 
Woh raat kitni karri thi 
Jab aandhiyon kay shab-e-khoon se 
Bu-e-gul bhi lahu lahu thi
Sehar hui jab khushk-o-zar-daroo thay 
Keh jaisay maqtal main 
meray bichray huye rafeeqon ki 
Zakham khurda bar'hana laashein 
Garri hui hoon 
Main jaanta tha 
Keh jab yeh bojhal buland ashjaar 
Jin ki kohna jarrein zameen ki ameeq gehraiyon main 
barson se ja'guzeen thein 
Hajoom-e-sar sar main 
Chand lamhi yeh istaada na reh sakay to 
Main aik barg-e-khizaan bhi 
Shaakh nihaal-e-gham par na reh sakon ga 
Woh aik pal tha keh aik raat thi 
Magar meray wastay bhout thi 
Mujhay khabar hai keh kal baharon ki awleen subha 
Phir se be'barg-o-baar shaakhon ko 
Zindagi ki nayi qaba'ein ata karay gi 
Magar mera dil dharak raha hai 
Mujhay , jalsay aandhiyon ki yo'rash 
Khizaan kay toofan na chu sakay thay 
Kahin naseem-e-bahar 
Shaakh-e-nihaal gham se
Juda na kar de


Na hareef-e-jaan na shareek-e-gham-e-shab intizaar koi to ho


Na hareef-e-jaan na shareek-e-gham-e-shab intizaar koi to ho 
Kisi bazam-e-shoq main layein hum dil-e-be'qaraar koi to ho 

Kissay zindagi hai aziz ab kissay aarzu-e-shab-e-tarb 
Magar ae nigaar-e-wafa talab tera Aaitaabr koi to ho 

Kahin taar daman-e-gul milay to yeh maan lain keh chaman khilay 
Keh nishaan fasal-e-bahar ka sar shaakh'saar koi to ho 

Yeh udaas udaas se baam-o-dar yeh ujaar ujaar si raah'guzar 
Chalo hum nahin na sahi magar sar ku-e-yaar to ho 

Yeh sakoon-e-jaan ki gharri dhallay to chragh-e-dil hi na bujh chalay 
Woh bala se ho gham-e-ishq ya gham-e-roz'gaar koi to ho 

Sar-e-maqtal shab-e-aarzu rahay kuch to ishq ki aab'ru 
Jo nahin Adu to Faraz keh naseeb daar koi to ho 


Juz teray koi bhi din raat na janay meray


Juz teray koi bhi din raat 

Juz teray koi bhi din raat na janay meray 
Tu kahan hai magar Ae dost puranay meray 

Tu bhi khushbu hai magar mera ta'jasus be'kaar 
Barg-e-awara ki maanind thikaanay meray 

Shamma ki lo bhi keh woh to tha magar hijar ki raat 
Dair tak rota raha koi sirhaanay meray 

Khalq ki be'khabri hai keh meri ruswai 
Log mujh ko hi sunatay hain fasanay meray 

Lutt kay bhi khush hoon keh ashkon se bharra hai daman 
Daikh ghaarat gar-e-dil yeh bhi khazanay meray 

Kaash tu bhi meri awaz kahin sunta ho 
Phir pukara hai tujhay dil ki sada ne meray 

Kaash tu bhi kabhi aa jaye maseehai ko 
Log aatay hain bhout dil ko dukhanay meray 

Kaash auron ki tarah main bhi kabhi keh sakta 
Baat sun li hai meri , aaj khuda ne meray 

Tu hai kis haal Ae zood faramosh meray 
Mujh ko to cheen liya ehad-e-wafa ne meray 

Chaara gar youn to bhout hain magar Ae jaan-e-faraz 
Juz teray aur koi zakham na janay meray 



Qurbaton main bhi judai kay bahanay maangay


Qurbaton main bhi judai kay bahanay maangay 

Qurbaton main bhi judai kay bahanay maangay 
Dil woh be'mehar keh ronay kay bahanay maangay 

Hum na hotay to kisi aur kay char'chay hotay 
Khalqat-e-shaher to kehnay ko fasanay maangay 

Yehi dil tha keh tarasta tha maraasam kay liye 
Ab yahi tark-e-taaluq kay liye bahanay maangay 

Apna yeh haal keh jee haar chukay lutt bhi chukay 
Aur wohi andaz puranay maangay 

Zindagi hum teray daaghon se rahay sharminda 
Aur tu hai keh sada Aaina khana maangay 

Dil kisi haal pe qanay hi nahin jaan Faraz 
Mil gaye tum bhi to kya aur na janay maangay 

Sep 29, 2017

Sep 28, 2017

Fitoor hota hai her umar main juda juda


Fitoor hota hai her umar main juda juda 

Khilonay , ishq , paisa aur phir khuda khuda 

Suno ! main khush to hoon lakin


Suno ! main khush to hoon lakin 

Meray alfaaz rotay hain 

Nafs ko aanch par , woh bhi umar bhar rakhna


Nafs ko aanch par , woh bhi umar bhar rakhna 

Bara mohaal hai , hasti ko moh'tabar rakhna 

Koi na mila hamein khushbu'on ka talab'gaar


Koi na mila hamein khushbu'on ka talab'gaar 

Phool haathon main liye baitha hoon 

Jab woh shakhs dil se hi utar gaya


Jab woh shakhs dil se hi utar gaya 

To phir kya sochein keh kidher gaya

Be-mout mar jatay hain


Be-mout mar jatay hain 

Be'awaz ronay walay 

Sep 13, 2017

Tu jab band kay'waron aur dilon par dastak deti hai

Tu jab band kay'waron aur dilon par dastak deti hai

Sari baatein keh janay ko dil karta hai 

Teray saath hi beh janay ko dil karta hai 

Mansoob thay jo log meri zindagi kay saath


Mansoob thay jo log meri zindagi kay saath 
 Aksar wohi milay hain bari be'rukhi kay saath 

Youn to main hans para hoon tumharay liye magar 
Kitnay sitaray toot paray ik hansi kay saath 

Fursat milay to apna giribaan bhi daikh le 
Ae dost youn na khel meri be'basi kay saath 

Majburiyon ki baat chali hai to may kahan 
Hum ne piya hai zehar bhi aksar khushi kay saath 

Ik sajda-e-khaloos ki qeemat fiza-e-khuld?
Ya'rab na kar mazaq meri zindagi kay saath 

Mohsin karam ki lay bhi ho jis main khaloos bhi
Mujh ko ghazab ka payar hai uss dushmani kay saath 


Chalo sari zameen'ein khodein


Chalo sari zameen'ein khodein

Aur is main apnay dil bo dain 

Karein sai'raab iss ko aarzu'on kay paseenay se 

Keh is be'rang jeenay se 

Na main khush hoon , na tum khush ho

Nahin hoon muntazir teri...


Nahin hoon muntazir teri...

Main to bas 

Raah main kharri 

tak rahi hoon woh raasta

Jin se tu guzar kay gaya tha ........


Shayed keh main kam'zor par jata uss aakhri mulaqaat main


Shayed keh main kam'zor par jata uss aakhri mulaqaat main

Woh to baarish ki mehar'bani thi , jis ne chupa'ye aansu meray

Jab tanha sawan main bheego gay


Jab tanha sawan main bheego gay
Jab aangan khaali paao gay 
Jab raat kay kaalay daman main 
Tum chand ko aadha paao gay 
Jab khud se baatein kartay huye 
Tum khud bhi kabhi thak jao gay 
Jab saahil ki takraati lehron main 
Tum door kahin kho jao gay 
Aur mann kay soonay pan main kabhi
Tum tanhai se ghabrao gay 
Tab main .....
Tum se mohabbat karta hoon 
Her baar yeh suna'nana chahao gay 
In hi tamaam lamhon main jaan lena
Keh tum , tum nahin hum ban jao gay 

Ya tujhay daikh kay bhar aaye khushi se aansu


Ya tujhay daikh kay bhar aaye khushi se aansu 

Ya meri aankhon main guzri hui shab hai koi 

Tumhein yeh dard likhna hai


Tumhein yeh dard likhna hai
Tumhara bool jana bhi
Tumhara yaad aana hai
Chalo aisa karein jaana , chalo aisa karein jaana
Bhulanay ki qasam ko ab
Naya ik naam detay hain
Mujhay shikwa na ho koi
Tumhein bhi ranj na ho ga
Badaltay waqat aur halaat ko ilzaam de lain hum
Zehar ki ik puriya tum
Bachay khawabon ko de dena
Zehar ki ik puriya main 
Bachay khawabon ko de doon ga
To shayed bhool jayein hum
To shayed bhool jayein hum
Bachaa kar kuch nahin rakhna
Tumhein yeh dard likhna hai
Tumhara bool jana bhi
Tumhara yaad aana hai



Shab ko neend main aa jaye agar khayal uss ka


Shab ko neend main aa jaye agar khayal uss ka

Subha bistar se bhi phoolon ki mehak aati hai ...

Jis ki sun lo wohi farishta hai


Jis ki sun lo wohi farishta hai

Na'janay insaan kahan rehtay hain 

Tumharay saath jo guzray


Tumharay saath jo guzray

Wohi pal zindagi thehray

Issi koochay main kai uss kay sha'nasa bhi to hain


Issi koochay main kai uss kay sha'nasa bhi to hain 

Woh kisi aur se milnay kay bahanay aaye 

Teray harf-o-lab ka talism tha , meri aab-o-taab main reh gaya


Teray harf-o-lab ka talism tha , meri aab-o-taab main reh gaya 
Woh kisi gulab ka aks tha jo meri kitab main reh gaya 

Main kahan sarapa-e-naaz thi mujhay yaad hai shab-e-tairagi
Woh kisi kay lams ka moh'jaza jo meray shabaab main reh gaya 

Meri baat baat main roshni , meray harf harf main dil'kashi
Tu meray shareek-e-wisaal-e-jaan , meri her kitab main reh gaya 

Dil-e-khush gumaan teri khair ho, tu hai phir yaqeen ki saleeb par 
Tujhay phir kisi se shikayatein , tu issi azaab main reh gaya 

Tujhay kya mila dil-e-mubtalaa , na koi dua na kahin wafa 
Magar ik arsa-e-raigaan , jo teray hisaab main reh gaya 

Koi phool khil kay bikhar gaya , koi baat ban kay bigar gayi 
Na sawal koi labon pe hai na gila jawab main reh gaya 

Woh jo mera ehad-e-jamaal tha , woh jo mera shaher-e-khayal tha 
Magar uss ka zikar-e-kamaal bhi kahin dasht-e-khawab main reh gaya 

Sep 12, 2017

Rat'jagon ka nikhar hai un par


Rat'jagon ka nikhar hai un par 

Be'sabab to haseen nahin aankhein

Laakhon haseen hain saahib teri bazam main magar


Laakhon haseen hain saahib teri bazam main magar 

Char'chay teri mehfil main hamari hansi kay hain 

Ik teray ishq se pehlay


Ik teray ishq se pehlay

Mashoor thi Anaa meri

Sada kissay nahin ithay rehna , sab da doorthikaana


Sada kissay nahin ithay rehna , sab da doorthikaana

Tan ik pinjra , rooh ik punchi , punchi ne urr jana

Khawa'ishein , dil ka saath chor gayein


Khawa'ishein , dil ka saath chor gayein

Yeh aziyat , bari aziyat hai !

Her baar mujhay zakham-e-judai na diya kar


Her baar mujhay zakham-e-judai na diya kar 

Agar tu mera nahin to mujh ko dikhaai na diya kar

Sach jhoot teri aankh se ho jata hai zaahir

Qasmein na utha ........itni safaai na diya kar 

Kisi ka ishq , kisi ka khayal thay hum bhi


Kisi ka ishq , kisi ka khayal thay hum bhi
Gaye dino main bhout ba'kamal thay hum bhi

Hamari khoj main rehti thein titliyaan aksar 
Keh apnay shaher ka san-o-jamaal thay hum bhi

Zameen ki goad main sar rakh kar so gaye aakhir
Tumharay ishq main kitnay nid'haal thay hum bhi

Zarooraton ne hamara zameer chaat liya 
Wa'garna qayel-e-rizq-e-halaal thay hum bhi 

Hum aks aks bikhartay rahay ussi dhun main 
Keh zindagi main kabhi la'zawal thay hum bhi 

Roi hoon aaj khul kay , bari muddaton kay baad


Roi hoon aaj khul kay , bari muddaton kay baad
Baadil jo aasman pe chaye thay , chatt gaye 

Shaher-e-wafa main dhoop ka sathi koi nahin 
Suraj sar'on pe aaye to saa'iye bhi ghatt gaye 

Main tujhay chu kar daikhna chahta hoon


Main tujhay chu kar daikhna chahta hoon 

Tu mera weham bhi to ho sakta hai 

Main ne zindagi ko aksar


Main ne zindagi ko aksar 

Zinda logon ki aankhon main 

Martay daikha hai .....!!!!

Agar main faisala na karti to aur kya karti ?


Agar main faisala na karti to aur kya karti ?

Woh hawaon sa shakhs , main chragh si larki

Ik teri bra'bari kay liye


Ik teri bra'bari kay liye 

Khud ko kitna gira chuka hoon main 

Sep 11, 2017

Tum se pehlay bhi chaha tha kisi ne mujh ko


Tum se pehlay bhi chaha tha kisi ne mujh ko 

Yeh hi waday yeh hi andaz-e-wafa thay uss kay 

Veeran hai meh'kada , kham-o-saghar udaas hain


Veeran hai meh'kada , kham-o-saghar udaas hain

Tum kya gaye keh rooth gaye din bahar kay 

Main jo kehta hoon keh hum lain gay qayamat main tumhein


Main jo kehta hoon keh hum lain gay qayamat main tumhein 

Kis ra'oonat se woh kehtay hain keh hum hoor nahin 

Youn jo takta hai aasmaan ko tu


Youn jo takta hai aasmaan ko tu

Koi rehta hai aasmaan main kya 

Hum ne jana to hum ne yeh jana


Hum ne jana to hum ne yeh jana

Jo nahin hai woh khoobsurat hai 

Bikhray baal , ujraa roop , chehra khandar jaisa hai


Bikhray baal , ujraa roop , chehra khandar jaisa hai 

Tera baahir to bilkul meray andar jaisa hai 

Mujhay roothnay na dena


Mujhay roothnay na dena

Main sata'on laakh tum ko
na mana'on laakh tum ko 
Meri iltijaa hai tum se 
Main , jo tum se rooth ja'on 
Mujhay roothnay na dena

Her museebat ka diya aik tabasum se jawab


Her museebat ka diya aik tabasum se jawab 

Is tarah gardish-e-doraan ko rulaya main ne 

Kabhi Kabhi woh hamein be'sabab bhi milta hai


Kabhi Kabhi woh hamein be'sabab bhi milta hai 

Asar hua nahin hai uss par abhi zamanay ka 

Zabat kehta hai basar ho jaye


Zabat kehta hai basar ho jaye 

Dard ki zid hai keh zamanay ko khabar ho jaye

Dil na'umeed to nahin , na'kaam hi to hai


Dil na'umeed to nahin , na'kaam hi to hai

Lambi hai gham ki shaam ! magar sham hi to hai

Hum jo teray baghair zinda hain


Hum jo teray baghair zinda hain 

Sab dikhawa hai duniya daari hai 

Hai mohabbat hayat ki lazzat


Hai mohabbat hayat ki lazzat

Warna kuch lazzat-e-hayat nahin 

La hasili hi shaher ki taqdeer hai "Munir"


La hasili hi shaher ki taqdeer hai "Munir"

Baahir bhi ghar kay kuch nahin andar bhi kuch nahin
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...