Mar 13, 2014

Kabhi kabhi meray dil main khyal ata hai



Kabhi kabhi meray dil main khyal ata hai

Keh zindagi teri zulfon ki naram chay'on main 
Guzarney pati to shadaab ho bhi sakti thi

Yeh tair'gi jo meri zeest ka muqadar hai
Teri nazar ki shua'on main kho bhi sakti thi

Ajab na tha keh main be-gana-e-alam ho kar
Teray jamaal ki ranayon main kho rehta

Tera gudaaz badan . teri neem baz ankhain
Inhi haseen fasano main hehav ho rehta

Magar yeh na ho saka aur ab yeh aalam hai
keh tu nahin tera gham ,teri justago bhi nahin

Guzar rahi hai kuch is tarah zindagi jaisay
issay kisi ke saharay ki Arzoo bhi nahin

Zamaney bhar ke dukhon ko laga chuka hoon galay
Guzar raha hoon , kuch anjani raah guzharon se

Maheeb saye meri simat barhtay atay hain
Hayat-o-mout ke pur-hole Khaar'zaron se

Na ko jada-e-manzil na roshni ka suraagh
Bhatak rahi hai khala'yon main zindagi meri

In khala'yon main rah jayon ga kabhi kho kar 
Main janta hoon meri hum nafas magar youn hi

Kabhi kabhi meray dil main khyal ata hai

Poet : Sahir ludhanavi

Dil hi nahin to dil ke saharon ko kiya karon


Dil hi nahin to dil ke saharon ko kiya karon
Jab paas tum nahin to baharon ka kiya karon

Jalwa'oan se jis ke chaand sitaron main thi zia
Ab woh hansi nahin to sitaron ko kiya karo

 Tasveer aur tasawar-e-janaa yeh sab faraib
Main in se door un ke nazaron ko kiya karon

Woh jannat nigha woh firdos-e-rang-o-boo
Guzri hui haseen baharon ko kiya karon

Khwabon se noor cheen le haan Ae khyal-e-yaar
Teray baghair aisay isharon ko kiya karon

Dil hai khizaan naseeb gulistaan hai pur-bahar
Ishrat bhala main aisay nizaron ko kiya karon

Poet : Ishrat Rehmani

Pehlay to kisi ko bhi rulaya nahin kartay



Pehlay to kisi ko bhi rulaya nahin kartay
Haan khud jo khafa ho to mana'ya nahin kartay

Ik baar gira dain jissay hum apni nazar se
Us shaks ko phir dil main bitha'ya nahin kartay

Bolay jo mohabbat se to socha'ein ge kabhi na
Nafrat se magar hath milaya nahin kartay

Us shaks se mil ke mujhay ehsaas hua hai
Jo pairr  baray hotay hain saya nahin kartay

Rakhtay hain unhain hum sada seenay se laga kar
Dukh apn akisi ko bhi sunya nahin kartay

Yeh khail mohabbat ka hai phir soch lo Arshad 
Kho datay hain sab kuch yahan paya nahin kartay

Poet : Arshad Malik

Shaam se aaj saans bhari hai



Shaam se aaj saans bhari hai
Be-qarari si ba-qarari hai

Aap ke baad her ghari hum ne
Aap ke sath hi guzari hai

Raat ko de do chandi ki rida
Din ki chadar abhi utari hai

Shaakh pe koi qeh'qaha to khilay
Kaisi chup se chaman pe tari hai

Kal ka her waqiya tumhara tha
Aaj ki dastaan hamari hai

Poet : Gulzaar

Aankhon ko intizaar ka hunar de kar chala gaya


Aankhon ko intizaar ka hunar de kar chala gaya 
Chaha tha aik shaks ko janey kidhar chala gaya

Din ki woh meflain gaye , raton ke rat'jagay gaye
Koi samait kar Meray sham-o-shar chala gaya

Jhonka hai ik bahar ka rang-e-khayal-e-yaar bhi 
Her soo bikhar bikhar gaye kushboo,jidhar chala gay

Us ke hi dam se dil main Aaj dhoop bhi hai chand'ni bhi hai
De kay woh apni yaad ke shamas-o-qamar chala gaya

Koocha-ba-koocha dar-ba-dar kab se bhatak raha hai dil 
Hum ko bula ke raah woh apni dagar chala gaya

Poet : Hasan Kamaal

Bichar ke bhi mujhay tujh se yeh bad gumani hai



Bichar ke bhi mujhay tujh se yeh bad gumani hai
Keh meri yaad kabhi to tujhay bhi ani hai

Na pooch haal kisi bhi udaas chaheray ka
Her aik shaks ki apni alag kahani hai

Her aik shaks ko apna bana ke dekh liya
Milain ge ab na kisi se yeh dil main thani hai

shajar udaas hain chiry'on ke cha'chay gum sum
Keh teray baad yeh tanha se zindgani hai

Na dosti hai sehar se na dushmani shab se
Youn hi yeh zindagi ab to hasan nibhani hai

Poet : Hasan Rizvi

Kabhi kitabon main phool rakhna kabhi darakh'ton pe naam likhna



Kabhi kitabon main phool rakhna kabhi darakhton pe naam likhna
Hamain bhi yaad hai Aaj tak woh nazar se harf-e-salam likhna

Woh chand chaheray woh behki batain sulagtay din thay mehakti rata'ein
Woh chatay chotay se kagzon pe mohabt'on ke payam likhna

Gulaab chahr'on se dil lagana woh chupkay chupkay nazar milana
Woh aarzo'on ke khwaab bun'na'na woh qisa-e-na'taman likhna

Meray nagar ki haseen fizayo kahin jo un ka nishan payo
To poochna yeh kahan basay woh kahan hai un ka qayaam likhna

Gay'e rutoon main husan hamara bas aik hi to yeh mashghala tha
Kisi ke chahray ko subha kehna , kisi ki zulfon ko shaam likhna

Poet : Hasan Rizvi

Her qadam par nit naye sanchay main dhal jatay hain log



Her qadam par nit naye sanchay main dhal jatay hain log
Dekhtay hi dekhtay kitney badal jatay hain log

Kis liye Kejiya kisi gum gashta jannat ki talash
Jab keh mati ke kihlono'n se behal jatay hain log

Kitney sada dil hain ab bhi sun ke awaz-e-jars
Paish-o-pas se be-khabar ghar se nikal jatay hain log

Apney saye saye sar nayor'haye , Ahista khraam
Janey kis manzil ki janib Aaj kal jatay hain log

Shama ki manind ahel-e-anjuman se be-niyaaz
Aksar apni Aag main chup ahap jal jatay hain log

Sha'er in ki dosti ka ab bhi dam bhartay hain aap
Thokrain kha kar to suntay hain sambhal jatay hain log

Poet : Himayat ali sha'er

Mohabbat karney walay kam na hon ge



Mohabbat karney walay kam na hon ge
Teri mehfil main lakin hum na hon ge

Main aksar sochta hoon phool kab tak
Shreek girya-e-shabnam na hon ge

Dilon ki uljhan'ein barhti rahain ge
Agar kuch mashwaray baham na hon ge

Zamaney bhar ke gham ya ik tera gham
Yeh gham ho ga to kitney gham na hon ge

Hamaray dil main sail-e-gariya ho ga
Agar ba-deeda-e-punam na hon ge

Agar tu itafaqa'an mil bhi jaye 
Teri furqat ke sadmay kam na hon ge

Hafeez Un se main jitna bad-gumaan hoon
Woh mujh se is qadar barham na hon ge

Poet : Hafeez Hoshiyaar puri

Chupkay chupkay raat din ansoo bahana yaad hai



Chupkay chupkay raat din ansoo bahana yaad hai
Hum ko ab tak woh aashqi ka zamana yaad hai

Tujh se kuch milat hi woh be-baak ho jana mera
Aur tera danton main woh ungli dabana yaad hai

Kheench lena woh mera parday ka kona dafatan
Aur dupatay se tera woh munh chupana yaad hai

Tujh ko jab tanha kabhi pana to az rah-e-lihaaz
Haal-e-dil baton hi baton main jatana yaad hai

Ghair ki nazron se bach kar sab ki marzi ke khilaf
Woh tera chori chupay raton ko ana yaad hai

Chori chori hum se tum a kar milay thay jis jaga
Mudat'ain guzr'ein par ab tak woh thikana yaad hai

Poet : Hasrat Mohani
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...