Jun 2, 2014

December main apni aankhon ki nami se


December main apni aankhon ki nami se

mujhay yeh matti nam karni hai

ta keh ugg sakay is banjar zameen par 

woh fasl-e-gul jis ka izhaar

iqbaal ky lafzon main hai

Raqas main raat hai badan ki tarah


Raqas main raat hai badan ki tarah


Raqas main raat hai badan ki tarah
barishon ki hawa main , ban ki tarah
chaand bhi meri karwaton ka gawah
meri bistar ki her shikan ki tarah
chaak hai daaman qaba-e-bahar 
meray khawabon ky pehrahan ki tarah
zindagi , tujh se door reh kar main
kaat loon gi jila watan ki tarah
mujh ko tasleem, meray chaand keh main
teray hamraah hoon ghun ki tarah
baar ha tera intizaar kiya
apnay khwabon main ik dulhan ki tarah

Taraash kar meray baazu uraan chor gaya


Taraash kar meray baazu uraan chor gaya 
Hawa kay paas bar'hana makan chor gaya 

Rafaqaton ka meri , us ko dhiyaan kitna tha 
Zameen lay li magar aasman chor gaya 

Ajeeb shakhs tha , barish ka rang dekh kay bhi 
Khulay dareechay pe ik phool'daan chor gaya 

Jo badalon se bhi mujh ko chupaye rakhta tha 
Barhi hai dhoop to be'saa'ibaan chor gaya 

Nikal gaya kahin un'dekhaye paniyon ki taraf 
Zameen kay naam khula baad'baan chor gaya 

Uqaab ko thi gharz fakhita pakarnay se
Jo gir gayi to youn hi neem jaan chor gaya 

Na'janay kon sa asaib dil main basta hai 
Keh jo bhi tehra woh aakhir makan chor gaya 

Aqab main gehra samandar hai , samnay jungle
Kis intihaa pe mera meharban chor gaya

Tarash kar meray bazoo uraan chor gaya


Tarash kar meray bazoo uraan chor gaya


Tarash kar meray bazoo uraan chor gaya
hawa ke paas barhan amakaan chor gaya

rafaqaton ka meri , us ko dehaan kitn atha 
zameen  ly li magar asmaan chor gaya

ajeeb shakhs tha , barish ka rang dekh ky bhi 
khulay dareechay pe ik phool'daan chor gaya

jo badlon se bhi mujh ko chupaye rakhta tha 
barhi hai dhoop to be'saybaan chor gaya

nikal gaya kahin un'dekhay panion ki taraf
zameen ky naam khula baad'baan chor gaya

uqaab ko thi gharz fakhata pakarney se 
jo gir gyi youn hi neem'jaan chor gaya 

na'janey kon sa asaib dil main basta hai 
keh jo bhi tehra woh aakhir makaan chor gaya

aqab main gehra samandar , samney jungle
kis intiha pe mera mehrbaan chor gaya



Dhoop ka mousam



Main rang main dekhti thi , kushbu main sochti thi
mujhay gumaan tha 
keh zindagi ujli khwaishon ke chragh le kar
meray dareechon main roshni-e-naveed ban kar utar rahi hai
main kohar main chandani pehan kar 
banafshi badal ka hath thamay 
fiza main parwaaz kar rahi thi
samaton main sa'haab lehjon ki barishein thein
basaraton main gulaab chaheron ki roshni thi
hawa ki resham rafaqa'tein thein
hayat khawabon ka silsala thi
khulein jo aankhain to saray manzar dhanak ky us paar reh gaye tahy
na rang meray , na khwaab meray 
huye to bas kuch azaab meray
na chaand ratain , na phool batain 
na neel subhein , na jheel shamein 
na koi aahat , na koi dastak
haroof mafhoom kho chukay thay
alamatein banjh ho chuki thein
gulabi khawabon ky perahan raakh ho chukay tahy
haqeeqaton ki barhangi 
apni sari safakiyon ky hamraah
jism-o-jaan par utar rahi thi
woh mehrbaan , saya daar badal
azaab ki rut main chor kar mujh ko ja chuka tha
zameen ki tez dhoop aankhon main chubh rahi thi

Main rang main dekhti thi , kushboo main sochti thi


Main rang main dekhti thi , kushbu main sochti thi
mujhay gumaan tha 
keh zindagi ujli khwaishon ke chragh le kar
meray dareechon main roshni-e-naveed ban kar utar rahi hai
main kohar main chandani pehan kar 
banafshi badal ka hath thamay 
fiza main parwaaz kar rahi thi
samaton main sa'haab lehjon ki barishein thein
basaraton main gulaab chaheron ki roshni thi
hawa ki resham rafaqa'tein thein
hayat khawabon ka silsala thi
khulein jo aankhain to saray manzar dhanak ky us paar reh gaye tahy
na rang meray , na khwaab meray 
huye to bas kuch azaab meray
na chaand ratain , na phool batain 
na neel subhein , na jheel shamein 
na koi aahat , na koi dastak
haroof mafhoom kho chukay thay
alamatein banjh ho chuki thein
gulabi khawabon ky perahan raakh ho chukay tahy
haqeeqaton ki barhangi 
apni sari safakiyon ky hamraah
jism-o-jaan par utar rahi thi
woh mehrbaan , saya daar badal
azaab ki rut main chor kar mujh ko ja chuka tha
zameen ki tez dhoop aankhon main chubh rahi thi

Dar lagta hai


Sotay main bhi

Chaheray ko aanchal se chupaye rehti hoon

dar lagta hai

palkon ki halki si larzash 

honton ki mahoom si jumbash 

galon par reh reh kar utarney wali dhanak 

lahoo main chaand rachati is nanhi si kushi ka naam na le le

Umar bhar ka bharosa kya , pal ka saat ho jaye


Umar bhar ka bharosa kya , pal ka saat ho jaye 
Aik baar akelay main us se baat ho jaye

Dil ki gang sar'shari us ko jeet le lakin 
Arz-e-haal karnay main ehtiyat ho jaye

Aisa kiyon keh janay se sirf aik insan kay 
Sari zindgani hi be'sabaat ho jaye 

Yaad karta jaye dil aur khilta jaye dil 
Oas ki tarah koi paat paat ho jaye 

Sab chragh gul kar kay us ka haath thama tha 
Kya qasoor us ka , jo ban main raat ho jaye

Aik baar khelay to woh meri tarah aur phir
Jeet lay woh her bazi , mujh ko maat ho jaye

Raat ho paraao ki phir bhi jaagiye warna 
Aap sotay reh jayein aur baat ho jaye

Umar bhar ka bharosa kaya , pal saat ho jaye


Umar bhar ka bharosa kaya , pal saat ho jaye
aik baar akelay main is se baat ho jaye

dil ki gang sar'shari us ko jeet le lakin 
arz-e-haal karney main ehtiyaat ho jaye

aisa kyn keh janey se sirf aik insaan ke 
sari zindgani hi be'sabaat ho ajye

yaad karta jaye dil , aur khilta jaye dil 
Aaos ki tarah koi paat paat ho ajye

sab chragh gul kar ke us ka haath thama tha
kiya qasoor us ka , jo ban main raat ho jaye

aik baar khailay to woh meri tarah aur phir
jeet le woh her bazi , mujh ko maat ho jaye

raat ho paraow ki phir bhi jagye warna
aap sotay reh jayein aur haat ho jaye

Be'faiz rafaqat main samar kis kay liye tha


Be'faiz rafaqat main samar kis kay liye tha

jab dhoop hi qismat to shajar kis kay liye tha

pardes main sona tha to chhat kis kay liye dali

bahir hi nikalna tha to ghar kis kay liye tha

jis khaak se pooch ahai us khaak ki kushboo

pehchaan na paye to hunar kis kay liye tha

ay maadar-e-geeti , teri hairat bhi baja thi

teray hi na kaam aya to sar kis kay liye tha

youn shaam ki deh'shat se sar-e-dasht-e-irada

rukna tha , to phir sara safar kis kay liye tha

Parveen Shakir
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...