Aug 1, 2014

Rait se buut na banana ae mere ache funkaar


 Rait se buut na banana ae mere ache funkaar

ik lamhe ko thahar main tujhe patthar laa dun
main tere samane ambaar laga dun lekin
kon se rang kaa patthar tere kaam aaye ga
surkh patthar jise Dil kehti hai bedil duniya
Ya wo pattharai hui aankh ka Neela patthar
jis mein sadiyon kay tahayur kay paray hon Dore

kya tujhe Rooh kay pathar ki zaroorat ho gi
jis pe haq baat bhi patthar ki tarah girti hai
ik wo patthar hai jise kehte hain tahaziib-e-safed
Us k mar_mar mein siyah khoon jhalak jata hai
ik insaaf ka patthar bhi to hota hai magar
haath mein tesha-e-zar ho to wo hath aata hai

jitne mayaar hain is daur k sab pathar hain
sher bhi raqs bhi tasveer-o-ginaa bhi patthar
mere ilhaam tera zahan-e-rasaa bhi patthar
is zamaane mein har fan ka nishaan pathar hai
hath patthar hain tere merii zuban pathar hai
rait se buut na bana ay mere ache funkaar

Jab tera hukam mila tark mohabbat kar di


Jab tera hukam mila tark mohabbat kar di 

Dil magar is pe woh dharka keh qayamat kar di 

Tujh se kis tarah main izhaar-e-tamana karta 

Lafz soojha to mahni ne baghawat kar di 

Main to samjha tha keh loat atay hain janay wale

Tu ne ja kar to judai meri qismat kar di 

Mujh ko dushman kay iradon pe bhi pyaar ata hai 

Teri hlfat ne mohabbat meri aadat kar di 

Pooch baitha hoon main tujh se tere koochay ka pata 

Teri halat ne kaisi teri surat kar di 
 


Ya rab gham-e-hijraan main itna to kiya hota



Ya rab gham-e-hijraan main itna to kiya hota 

Jo haath jigar pe hai woh dast-e-dua hota 

Ek ishq ka gham aafat aur us pe yeh dil aafat 

Yeh gham na diya hota ya dil na diya hota 

NAkaam tamana dil is soch main rehta hai 

Youn hota to kiya hota , youn hota to kiya hota 

Umeed to bandh jaati taskeen to ho jaati 

Wada na wafa kartay wada to kiya hota 

Dil se her guzri baat guzri hai


Dil se her guzri baat guzri hai 
Kis qayamat ki raat guzri hai 

Chandani neem'wa dareecha , sakoot 
Ankhon ankhon main raat guzar jaati hai 

Haye woh log , khoobsurat log 
Jin ki dhun main hayat guzri hai 

Kisi bhatkay huye khayal ki moj 
Kitni yaadon kay saath guzri hai 

Tam'tamata hai chehra-e-ayaam 
Dil pe kiya wardaat guzri hai 

Phir koi aas larkhari hai 
Keh naseem-e-hayat guzri hai 

Bhujhaye jaatay hain dukhi palkon pe deep 
Neend aai hai , raat guzri hai 
 

December jab bhi ata hai woh pagli phir se beetay mousam ko yaad karti hai


December jab bhi ata hai woh pagli phir se beetay mousam ko yaad karti hai 

Puranay card parhti hai 
Keh jis main us ne likha tha 
main loaton ga december main 

Naye kapray banati hai woh sara ghar sajati hai 
December kay her ik din ko woh gin gin kar bitaati hai 
Jun hi 15 guzarti hai woh kuch kuch toot jaati hai 

Magar phir bhi puraani album ko khol kar maazi ko bulaati hai 
Nahin maloom yeh keh beetay waqat ki khushiyaan 
Bhout takleef deti hain mehaz dil ko jalati hain 

Youn hi din beet jaatay hain december loat jaata hai 
Magar woh khush feham larki dobara se calaner main 
December kay maheenay kay safar ko mor kay phie se

December kay safar main doob jaati hai 
Keh aakhir us ne likha tha 
Main loaton ga december main 
 

Soz-e-gham de kay mujhe us ne ye irshaad kiya





Soz-e-gham de kay mujhe us ne ye irshaad kiya
ja tujhe kash-ma-kash-e-dahar se aazad kiya

wo karen bhi to kin alfaaz mein tera shikwa
jin ko teri nigaah_e lutf ne barbaad kiya

dil ki choton ne kabhi chain se rehne na diya
jab chalii sard hawa main ne tujhe yad kiya,

aise mein main tere taj-takalluf pe nisaar
phir to farmaaye wafa aap ne irshaad kiya

is ka rona nahi kyun tum ne kiya dil barbaad
is ka gham hai k bahut der mein barbaad kiya,

itna masuum hon fitrat se, kali jab chatakii
jhuk k main ne kaha, mujh se kuch irashaad kiya

meri har saans hai is baat ki shaahid_e maut
main ne har lutf k mauqe pe tujhe yad kiya

mujh ko to hosh nahi tum ko khabar ho shaayad
log kehte hain k tum ne mujhe barbaad kiya

wo tujhe yad kare jis ne bhulaya ho kabhi
hum ne tujh ko na bhulaya na kabhi yad kiya

kuch nahi is k siwaa 'josh' hariifon ka kalaam
wasl ne shaad kiya hijar ne nashaad kiya 

Ab naye saal ki mohlat nahin milnay wali


Ab naye saal ki mohlat nahin milnay wali 

Aa chukay ab to roz-o-shab azaabon wale 

Ab to sab dashnaa-o-khanjar ki buzaan boltay hain 

Ab kahan log mohabbat kay nisaabon wale

Zinda rehnay ki tamana ho to ho jaatay hain 

Faakhton kay bhi kardaar uqaabon wale

Na meray zakham khilay hain na tera rang-e-hina 

Mousam aye hi nahin ab kay gulaabon wale

Woh dil'nawaaz hai nazar shanaas nahin


Woh dil'nawaaz hai nazar shanaas nahin 
Mera ilaaj meray chara gar kay paas nahin 

Tarap rahay hain zubaan par kai sawaal magar 
Mere liye koi shayaan-e-iltamaas nahin 

Teray ujalon main bhi dil kaamp uth'ta hai 
Meray mizaaj ko asoodgi bhi raas nahin 

Kabhi kabhi jo teray qurb main guzray thay 
Ab un dino ka tasawur bhi meray paas nahin 

Guzar rahay hain ajab marhalon se deeda-o-dil 
Shaher ki ass to hai zindagi aas nahin 

Mujhay yeh dar hai keh teri arzoo na mit jaye
Bhout dino se tabiyat meri udaas hai 

Gayi woh baat ki ho guftagoo to kiyon kar

Gayi woh baat ki ho guftagoo to kiyon kar
kahin se kuch na hua phir kaho to kiyon kar ho

humare zehan mein is fikr ka hai naam wisaal
ki gar na ho to kahan jaayen ho to kiyon kar ho

adab hai aur yahi kash'makash to kya kiije
hayaa hai aur yahi go'ma'go to kiyon kar ho

tumhin kaho ki guzara sanam paraston ka
buton ki ho agar aisi hi Khu to kiyon kar ho

uljhate ho tum agar dekhte ho aaina
jo tum se shahar mein hon ek do to kiyon kar ho

jise naseeb ho roz-e-siyaah mera saa
Wo shaqs din na kahe raat ko to kiyon kar ho

humein phir un se umeed aur unhin humari qadr
humari baat hi puchhe na wo to kiyon kar ho

Galat na tha humein Khat par gumaan tasalli ka
na maane deedaa_e deedaar ju to kiyon kar ho

bataao us mishaa ko dekhakar ho mujh ko qarar
Yah nesh ho rag_e jaan mein faro to kiyon kar ho

mujhe junoon nahi Gaalib wale baqaul_e huzoor
firaaq-e-Yar mein taskeen ho to kiyon kar ho

Aakhir yeh december bheeg gaya


Aakhir yeh december bheeg gaya 

Aakhir yeh december bheeg gaya 

Ab dil na lagay ga kitaabon main 

Ab phir se yaad staye gi 

Ab sard yeh shaan rulaye gi 

Dil phir se yeh ghabraye ga 

ik sookhaye pairr ki tehni pe 

Koi panchi geet sunaye ga 

Aakhir yeh december bheeg gaya 

Bin teray december beet gaya 


Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...