Jun 8, 2016

Khilwat-o-jalwat main tum mujh se mili ho baar'ha


Khilwat-o-jalwat main tum mujh se mili ho baar'ha 
Tum ne kya daikha nahin , main muskura sakta nahin 

Main keh mayoosi meri fitrat main daakhil ho chuki 
Jabar bhi khud par karon to gun'guna sakta nahin 

Mujh main kya daikha keh tum ulfat ka dam bharnay lagein 
Main to khud apnay bhi koi kaam aa sakta nahin 

Rooh afza hai junoon-e-ishq kay naghmay magar !
Ab main in gaa'iye huye geeton ko gaa sakta nahin 

Main ne daikha hai shakist saaz ulfat ka samaa 
Ab kisi tehreek par bar'bat utha sakta nahin 

Dil tumhari shiddat-e-ehsaas se waqif to hai 
Apnay ehsa'saat se daman chura sakta nahin 

Tum meri ho kar bhi be'gana pao gi mujhay 
Main tumhara ho kar bhi tum main samaa sakta nahin 

Gaa'iye hain main ne khaloos-e-dil se bhi ulfat kay geet
Ab riya 'kaari se bhi chahon to gaa sakta nahin 

Kis tarah tum ko bana loon main shareek-e-zindagi 
Main to apni zindagi ka baar utha sakta nahin 

Yaas ki tareekiyon main doob janay do mujhay 
Ab main sham'ma-e-aarzu ki lo barha sakta nahin 

Chand kaliyan nishat ki chun kar


Chand kaliyan nishat ki chun kar 

Mud'daton mehav-e-yaas rehta hoon 

Tera milna khushi ki baat sahi 

Tujh se mil kar udaas rehta hoon 

Ufaq kay dareechay se kirno ne jhaanka


Ufaq kay dareechay se kirno ne jhaanka 
Fiza tan gayi raastay muskuraye 

Simat'nay lagi narm kohray ki chadar ! 
Jawan shaakh'saron ne ghoongat uthaye 

Prindon ki awaz se khait chonkay 
Pur'israar may main  rahat gun'gunaye 

Haseen shabnam alood pak'dandiyon se 
Lipatnay lagay  sabz pairron kay saye 

Woh dour aik teelay pe aanchal se jhalka 
Tasawur main lakhon diye jhil'milaye 


Daikha hai zindagi ko kuch itna qareeb se


Daikha hai zindagi ko kuch itna qareeb se
Chehray tamaam lagnay lagay hain ajeeb se

Ae rooh-e-asar jaag , kahan so rahi hai tu 
Awaz de rahay hain payamber saleeb se

Is reegti hayat ka kab tak uthaein baar 
Bee'maar ab uljahnay lagay hain tabeeb se

Is tarah zindagi ne diya hai hamara saath 
Jaisay koi nibha raha ho raqeeb se

Jab kabhi us ki tawajo main kami payi gayi


Jab kabhi us ki tawajo main kami payi gayi 
Az sar-e-no dastaan-e-shouq dohraai gayi 

Bik gaye jab teray lab phir tujh ko kya shikwa agar 
Zindgani bada-o-saghar se behlaai gayi 

Ae gham-e-duniya ! Tujhay kya ilam teray wastay 
Kin bahano se tabiyat raah pe laai gayi 

Hum karein tark-e-wafa acha chalo youn hi sahi 
Aur agar tark-e-wafa se bhi na ruswai gayi 

Kaisay kaisay chasham-o-aariz gard-e-gham se bujh gaye 
Kaisay kaisay paikron ki shaan zebai gayi 

Dil ki dharkan main tawazan aa chala hai khair ho 
Meri nazrein bujh gayi ya teri ra'nai gayi 

Un ka gham , un ka tasawur un kay shikway ab kahan 
Ab to yeh baatein bhi ae dil ho gayi aai gayi 

Arsa-e-hasti main ab tesha zano ka dour hai 
Rasam-e-changaizi uthi , toqeer taar'tari gayi !  

Bhar'ka rahay hain aag lab-e-naghma gar se hum


Bhar'ka rahay hain aag lab-e-naghma gar se hum 
Khamosh kya rahein gay zamanay kay dar se hum 

Kuch aur barh gaye jo andheray to kya hua 
Ma'yoos to nahin hain talooh-e-sehar se hum 

Lay de kay apnay paas faqat aik nazar to hai 
Kiyon dekhein zindagi ko kisi ki nazar se hum 

Mana keh is zameen ko na gulzaar kar sakay 
Kuch khaar kam to kar gaye guzray jidher se hum


Jun 7, 2016

Nafs kay loch main rum hi nahin , kuch aur bhi hai


Nafs kay loch main rum hi nahin , kuch aur bhi hai 
Hayat , saghar sam hi nahin , kuch aur bhi hai 

Teri nigah meray gham ki paas'daar sahi 
Meri nigah main gham hi nahin , kuch aur bhi hai 

Meri nadeem mohabbat ki rif'aton se na guzar 
Buland bam-e-haram hi nahin , kuch aur bhi hai 

Yeh ijtinaab hai aks shaoor-e-mehboobi 
Yeh ehtiyat sitam hi nahin kuch aur bhi hai 

Idher bhi aik achat'ti nazar keh duniya main 
Farogh-e-mehfil jam hi nahin , kuch aur bhi hai 

Naye jahan basaye hain fikar-e-aadam ne 
Ab is zameen pe iram hi nahin , kuch aur bhi hai 

Her qadam marhala-e-daar-o-saleeb aaj bhi hai


Her qadam marhala-e-daar-o-saleeb aaj bhi hai 
Jo kabhi tha wohi insaan ka naseeb aaj bhi hai 

Jag'magatay hain ufaq par yeh sitaray lakin 
Raasta-e-manzil hasti ka moheeb aaj bhi hai 

Sar-e-maqtal jinhein jana tha woh jaa bhi ponchay 
Sar-e-manzil koi mohtaat khateeb aaj bhi hai 

Ehal-e-daanish ne jissay amar-e-mu'sanam jana 
Ehal-e-dil kay liye woh baat ajeeb aaj bhi hai 

Teri yaad hai ya meri aziyat koshi 
Aik nashtar sa rag-e-jaan kay qareeb aaj bhi hai  

Kon janay yeh tera shair aashafta mizaaj 
Kitnay maghroor khudaon ka raqeeb aaj bhi hai 

Hawas naseeb nazar ko kahin qaraar nahin


Hawas naseeb nazar ko kahin qaraar nahin 
Main muntazir hoon magar tera intizaar nahin 

Hum hi se rang-e-gulistan Hum hi se rang-e-bahar 
Hum hi ko nazam-e-gulistan pe ikhtayar nahin 

Abhi na chairr mohabbat kay geet ae mutrab 
Abhi hayat ka mahol khush'gawar nahin 

Tumharay ehad-e-wafa ko main ehad kya samjhon 
Mujhay khud apni mohabbat pe Aitabar nahin 

Na janay kitnay gilay is main muztarib hain Nadeem 
Woh aik dil jo kisi ka gila guzar nahin 

Gu'raiz ka nahin qatil hayat se lakin !
Jo sach kahon keh mujhay mout na'gawar nahin 

Yeh kis maqam pe poncha diya zamanay ne 
Keh ab hayat pe tera bhi ikhtiyar nahin 

Yeh zameen jis qadar sajai gayi


Yeh zameen jis qadar sajai gayi 
Zindagi ki tarap barhaai gayi 

Aainay se bigar kar baith gaye 
Jin ki surat jinhein dikhai gayi 

Dushmano hi se bair nibh jaye 
Doston se to aashnai gayi 

Nasal dar nasal intizaar raha 
Qasar tootay na be'nawai gayi 

Zindagi ka naseeb kya kehiye 
Aik seeta thi ji satai gayi 

Hum na otaar thay na paighambar 
Kiyon yeh azmat hamein dilaai gayi 

Mout paai saleeb par hum ne 
Umar ban baas main bitaai gayi 

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...