Feb 12, 2014

When You fall in Love with someone,

 

When You fall in Love with someone,
Don’t think just start enjoying it.
Because after some time.
You will not be in position to enjoy anything.

Mohabbat jeet hoti hai

 

Mohabbat jeet hoti hai

Magar yeh haar jate hai

woh kehti hai suno janaa mohabbat mom ka ghar hai




woh kehti hai suno janaa
mohabbat mom ka ghar hai
tapish bad'gumani ki
kahin pighla na de is ko

main kehta hoon
jis dil main zara bhi bad'gumani ho
wahan kuch aur ho to
mohabbat ho nahin skti


woh kehti hai
sada aisay hi
kiya tum mujh ko chayo ge
keh main is main kami ko bhi
gawara kar nahin sakti

main kehta hoon
mohabbat kiya hai
yeh tum ne sikhya hai
mujhay tum se mohabbat key siwa
kuch bhi nahin ata

woh kehti hai
judaai se bhout darta hai dil mera
keh khud ko tum se hat kar dekhna
mumkin nahin hai ab

main kehta hoon
yahi khadshay bhout mujh ko satatay hain
magar sach hai mohabbat main
judai sath chalti hai

woh kehti hai
batayo kiya mere bin jee sako ge tum
meri batain , meri yadein , meri aankhain
bhula do ge

main kehta hoon
kabhi is baat par socha nahin main ne
agar ik pal ko bhi sochon to
saansein rukney lagti hain

woh kehti hai
tumhain mujh se
mohabbat is qadar kyun hai
keh main ik aam si larki
tumhain kyn khaas lagti hoon

main kehta hoon
kabhi khud ko meri aankhon se tum dekho
meri deewani kyn hain
yeh khud hi jaan jayo gi

woh kehti hai
mujhay waraftagi se dekhtay kyn ho
keh main khud ko bhout
qeemti mehsoos karti hoon

main kehta hoon
mata-e-jaan bhout anmol hoti hai
tumhain jab dekhta hoon zindagi
mehsoos karta hoon

woh kehti hai
mujhay alfaz ke jugno nahin milty
keh tumhain bata sakon
keh dil main meray
kitni mohabbat hai

main kehta hoon
mohabbat to nighahon se jhalakti hai
tumhari khamoshi mujh se
tumhari baat karti hai

woh kehti hai
batayo na kis ko khoney se dartay ho
batayo kon hai woh jissy
yeh mausam bulatay hain

main kehta hoon
yeh meri shairy hai aaina hai dil ka
zara dekho batayo kiya
tumhain is main nazar aya

woh kehti hai
suno !! bhout batain banatay ho
magar sach hai yeh batain
bhout hi shaad rakhti hain

main kehta hoon
yeh sab batain yeh fasanay ik bahana hain
keh pal kuch zindagi ke
tumharay sath kat jayein
phir us ke baad khamoshi ka
dilkash raqs hota hai
nighaein bolti hain
lab khamosh rehtay hain

Pagal Ankhon wali larki itnay mehangay khawab na dekho



pagal aankhon wali arki
itney mehnge khwaab na dekho
kaanch se nazuk khwaab tumharay 
toot gaye to
pach'tao gi
soch ka sara ujla kundan
zabat ki raakh main ghul jaye ga
kachay pakay rishton ki kushboo ka reaisham
khul jaye ga
tum kiya jano
khwaab safar ki dhoop ke sheeshay
khwaab adhoori raat ka dozukh 
khwaab khyalon ka pachtawa
khawabon ki manzal ruswaei
khwabon ka hasil tanhaei
tum kiya jano
mehnge khwaab khreedney hon to
aankhain bechna parti hain
rishtay bhoolna partay hain
andeshon ki raakh na phanko
piyaas ki aot saraab na dekho
itnay mehnge khwaab na dekho
thak jayo gi


koi tum se poochay kon hon main




koi tum se poochay kon hon main
tum keh dena koi khaas nahin
ek dost hai kacha pakka sa 
ek jhoot hai adha sacha sa
jazbaat ko dhankay ek parda bas
ek bahana hai acha sa
jeevan ka ek aisa sathi hai
jo door ho keh pass nahin
koi tum se poochay kon hoon main 
tum keh dena koi khaas nahin
hawa ka ik suhana jhona hai
kabhi nazuk to kabhi toofano sa
shakal dekh kar jo nazrein jhuka le
kabhi apna to kabhi begano sa
zindagi ka ik hamsafar
jo samandar hai par dil ko piyaas nahin
koi tum se poochay kon hoon main
tum kehdena koi khaas nahin
ek sathi jo ankahi batain keh jata hai
yadon main jis ka ek dhundla  chahera reh jata hai
yeh to us ke na honey ka kuch gham nahin
par kabhi kabhi ankhon se ansoo ban kar beh jata hai
youn rehta to meri tasveer main hai
par in aankhon ko uski talaash nahin
koi tum se poochay kon hon main
tum keh dena koi khaas nahin


Dost kiya khoob wafaon ka sila detay hain





Dost kiya khoob wafaon ka sila detay hain
har naye mor par ek zakhm naya detat hain

tum se to khair ghari bhar ki mulakaat rahi
log barson ki rafakat ko bhula detay hain

kaise mumkin hai ke dhuwan bhi na ho aur dil bhi jalay
parti hai to patthar bhi sada detay hain

kaun hota hai musibat mein kisi ka Ae sanam
aag lagti hai to patte bhi hawa detay hain

jin pe hota hai bahut dil ka bharosa jane kyon
waqt psrnay pe wohi log daga detay hain

Kal halki halki barish thi



Kal halki halki barish thi
kal sard hawa ka ruqs bhi tha

kal phool bhi nikhray nikhray thay
kal un me aap ka aks bhi tha

kal badal kaalay gehrey thay
kal chaand pay laakhoon pehrey thay

kuch tukray aap ki yadoon kay
bari dair say dil me thehray thay

kal yaadain uljhi uljhi theen
or kal tak yeh na suljhi theen

kal yaad bohot tum aay thay
kal yaad bohot tum aay thay

Kitni ajeeb hai is shehr ki tanhai bhi

 
Kitni ajeeb hai is shehr ki tanhai bhi

Hazaron log hain magar phir bhi koi tum sa nahi

 

phir us k bad gir gya sone ka bhao bhi


phir us k bad gir gya sone ka bhao bhi

aik sham us ne hath se kamgan jo otaara
 

 

Tum ko sochon Ibadaton ke tarah



Tum ko  sochon Ibadaton ke tarah 

teri yadain sawab jaisi hain

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...