Jun 7, 2014

Ya rab dil-e-mslim ko , woh zinda tamana de


Ya rab dil-e-mslim ko , woh zinda tamana de
Jo qalab ko garma de , jo rooh ko tarpa de

Phir wadi-e-faraan ky her zarre ko chmka de 
Phir shouq-e-tamasha de , phir zoq-e-tamana de

Mehrrom-e-tamasha ko , phir deeda-e-beena de
Dekha hai jo kuch main ne auron ko bhi dikhla de

Bhatakti hui aahaon ko , phir soo-e-haram le chal
uss shahaer ky khoogar ko phir wusat-e-sehra de

Paida dil-e-veeran main , phir shoorish mehshar kar 
Is mehmal-e-khali ko , phir shahid -e-laila de

Is daur ki zulmat main , her qalb-e-parishaan ko
Woh daagh-e-mohabbat de , jo chaand ko shrma de

Raf'ath main maqasad ko , hamdosh-e-suriyya kar
khuddari-e-sahil de , azaadi-e-dariya de

Be'lous-e-mohabbat ho , be'baak sdaaqat ho
Seenon main ujala kar , dil surat-e-meena de

Ehsaas inayat kar asar-e-musibat ka
imroz ki shorish main andesha-e-farda de

Main bul'bul-e-nadaan hoon , ik ujray gulistaan ki
taseer ka saa'il hoon mohtaaj ko daataa de

Is zamaney se na hum koi gila rakhein gay


Is zamaney se na hum koi gila rakhein gay
Dil laganey gaye to na shrt-e-wafa rakhain gay

Na dekhayein gy kabhi dil pe laga zakham unhain 
Dard uthay ga magar dil ko daba rakhain gay

Jaan de dain gy agar aik ishara kar day
Hum usay apney liye bhi na bacha rakhain gay

Sab hata dain gy teri raah ki rukawat ham'dam
Ghar ky darwazay ko her waqat  khula rakahin gay

Un ki her baat ko bhoolay se na bhulaein gy kabhi
Un ki yadon ko bhi seenay se laga rakhain gay

Toot bhi jaye gi umeed jo teray anay ki
Ek diya phir bhi hawaon main jala rakhain gay

Tum ne kabhi dekha hai mujhay


Tum ne murjha'ye huye phool kabhi dekhay hain 

Dil ki qabron pe paray

Hijar ki laash ki aankhon pe dharay 

Tum ne uktaye huye khawaab kabhi dekhay hain 

Dard ki palkon se liptay huye

Ghabraye huye

Tum ne be'chain dua'ein kabhi dekhi hain 

Mohabbat ky kinaron pe bhatakti phirti

Tum ne kabhi dekha hai mujhay 

Kiya kabhi dekha hai mujhay 

Kabhi tum kitabon main kuchli hui koi titli jo dekho


Kabhi tum kitabon main kuchli hui koi titli jo dekho
to yeh jaan lena
Mujhay asmaan aur zameen ne kuchal kar tumhari kitabon main 
Titli ki surat baqa baksh di hai
Kabhi phool tota hua koi pao
To yeh jaan lena
Mujhay meray andar ne khud tor kar Teray qadmon main naqsh-e-wafa kar diya hai
Kabhi koi sagar um'mandta jo dekho
To yeh jaan lena 
Yeh meray hi ansoo hain Jo ab samandar main toofan banay hain 
Kabhi phool titli samandar kinaray 
Guzartay huye taray qadmon ko tham'mein
tu yeh jaan lena
Yeh main hoon jo thak ky yahan aa gaya hoon 
Hamaray liye aisay din bhi likhay thay 
Keh jin main ana ne fana ky safar main 
kai dard jheelay
Kai roop dharay 
Kabhi phool titli samandar kinaray 
Kabhi rang kushboo ujala sitaray 
to yeh jaan lena 

Dua kay liye hath jab bhi uthaye hain


Dua kay liye hath jab bhi uthaye hain

Tamana'on ki bheer main sab se agay

Wohi ik chahera nighaon main ata hai 

Main bhool jata hoon 

Bichraney ky dukh main kami 

ya Milan ki dua

Chaand madham hai aasmaan chup hai


Chaand madham hai aasmaan chup hai
Neend ki goad main jahan chup hai

Door vadiyon main doodhiya badal
Jhuk ky parbat ko pyaar kartay hain 
Dil main na'kaam hasratein ly kar
Hum tera intizaar kartay hain 
In baharon ky saye main aa ja 
Phir mohabbat jawaan rahay na rahay
Zindagi teri na'muradon par
Kal tak meharbaan rahay na rahay
Roz ki tarah aaj bhi taray 
Subha ki gard main kho jayein 
Aa teray gham main jaagti aankhain 
Kam se kam aik raat so jayein

Chaand madham hai asmaan chup hai 
Neend ki goad main jahan chup hai

Ajeeb larka hoon khud ko jalana chahta hoon


Ajeeb larka hoon khud ko jalana chahta hoon 
Main khud ko rakh kar kahin bhool jana chahata hoon 

Meray naseeb ki kushiyaan bhi kab milain mujh ko 
Bas ab to umar bhar ansoo bahana chahta hoon 

Na'janey kitni mohabbat hai ranj-o-gham se mujhay 
Koi bhi dard ho Dil main chupana chahta hoon 

Bha bha ky yeh ansoo bikhar chuka hoon bhout
Simat ki zaat main ab muskurana chahta hoon

Jisay ik umar dil main chupa ky rakha hai 
Woh raaz main aj sab ko batana chahta hoon 

Wohi hai yaad jo acha kaha hai logon ne 
Baaqi saray sitam bhool jana chahta hoon 

Mujhay zamaney ne pathar samjh liya magar
Main larka hoon sab ko batana chahata hoon 

Jo mujh se rooth chuki hai zamaney ki kushiyaan 
To main bhi un kushiyon se rooth jana chahata hoon

Koi to ho lagaye mujhay seenay se
Kisi ko main bhi apney gham sunana chahata hoon 

Tu apney dil ky her darr ko khol dy
Main dard ban kar teray dil main ana chahta hoon

Hamain awaaz de dena


Ham'ein awaaz de dena

Hamain awaaz de dena
Agar dukh zindgani ky 
Tumhain azaar ponchaein 
Koi jalti hui saa'at ' koi bujhta hua lamha
Tumharay dil pe dastak de
To hum ko yaad kar lena
Hamain awaaz de dena
Abhi zinda hain hum is zindagi ki be'karani main 
Abhi tak de rahay hai imtihaan 
Is kaar'gaah imtihani main 
Abhi tak mubtala hain hum isi khwaab-e-jawani main 
Tum apna dukh hum se to kis se banto gy
Kissay awaaz do gy tum

Agar kabhi meri yaad aye


Agar kabhi meri yaad aye

To chaand raton ki naram  dil'geer roshni main 
kisi sitaray ko dekh lena
Agar woh nakhal falak se ur kar tumharay qadmon main aa gairay to 
Yeh jaan lena woh ista'aara tha meray dil ka
Agar na aye
Magar yeh mumkin hi kis tarah hai Keh tum kisi par nigha dalo
To us ki deewar jaan na tootay 
Woh apni hasti na bhool jaye
Agar kabhi meri yaad aye
guraiz karti hawa ki lehron pe hath rakhna 
MAin kushboo'on main tumhain milon ga
Mujh gulabon ki patiyon main talash karna
Main Ous qatron ky aain'on main tumhain milon ga
Agar sitaron main Ous qatron main kushboo'on main 
na payo mujh ko
To apney qadmon main dekh lena
Main gard hoti 
Musafton main tumhain milon ga
Kahin pe roshan chraagh dekho to yeh soch lena
Keh her patangay ky sath main bhi bikhar chuka hoon 
Tum apney haton se un patangon ki khaak dariya main daal dena
Main khaak ban ky samandron main safar karon ga
Kisi na dekhay huye jazeeray pe ruk kar tum ko 
Sada'ein doon ga 
Samandron ky safar pe nakilo to 
Is jazeeray par bhi utarna 

Poet : Amjad Islam Amjad

Aa bhi jayo keh zindagi kam hai


Aa bhi jayo keh zindagi kam hai 
Tum nahin ho to her kushi kam hai 

Wada kar ky kyon aya nahin 
Shaher main aaj roshni kam hai 

Jane kiya ho gaya hai mousam ko 
Dhoop ziada hai chandani kam hai 

Aaina dekh kar khyal aya 
Aaj kal un ki dosti kam hai 

Teray daam se hi main mukamal hoon 
Bin teray teri yamini kam hai
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...