Jul 28, 2014

Juda honay kay mousam main juda hona zaroori tha


Juda honay kay mousam main juda hona zaroori tha 
Na'janay kiyon kisi ka be'wafa hona zaroori tha 

Meray dil ne jo us ko poojnay ki intihaa kar di 
To phir us be'wafa ka bhi, khuda hona zaroori tha 

Kisi se koi bhi shikwa na koi bhi shikayat hai 
Jo meray saath chahat main hua , hona zaroori tha 

Bhout nazdeek thay dil, is liye ab dooriyaan bhi hain 
Dilon kay darmiyaan kuch faasla hona zaroori tha 

Ussay bhi dard denay ka bhout hi shok tha 
Hamain bhi dard-o-gham se ashnaa hona zaroori tha 

Teri nazar ne hum ko apnay liye chunna hai


Teri nazar ne hum ko apnay liye chunna hai 

Pagal se ho gaye hain jab se hum ne yeh suna hai

Ganwa chuka hai to ik din , bhulaa bhi de ga tujhay


Ganwa chuka hai to ik din , bhulaa bhi de ga tujhay 

Keh hosla abhi itna dil-e-tabaah main hai

Ab bhala chor kay ghar kiya kartay


Ab bhala chor kay ghar kiya kartay 
Shaam kay waqat safar kiya kartay 

Teri masrofatein jaantay hain 
Apnay anay ki khabar kiya kartay 

Jab sitaray hi nahin mil paye 
Lay kay hum shams-o-qamar kiya kartay 

Woh musafir hi khuli dhoop ka tha 
Saaye phailaa kay shajar kiya kartay 

Khaak hi awal-o-aakhir tehri 
Kar kay zaray ko gehar kiya kartay 

Raa'e pehlay se bana li tu  ne 
Dil main ab hum teray ghar kiya kartay 

Ishq ne saray saleeqay bakshay 
Hussan se kasab-e-hunar kiya kartay 

Parveen Shakir 

Kainaat Kay Khaliq dekh tu mera chehra


Kainaat Kay Khaliq

Kainaat Kay Khaliq
Dekh tu mera chehra 

Aaj meray honton par 
Kaisi muskurahat hai 
Aaj meri aankhon main 
Kaisi jagmgahat hai 
Meri muskurahat se 
Tujh ko yaad kiya aya 
Meri bheegi aankhon main 
Tujh ko kuch nazar aya 
Is haseen lamhay ko 
Tu to jaanta ho ga 
Is samay ki azmat ko 
Tu to maanta ho ga 

Haan  ! Tera gumaan sach hai 
Haan  ! keh aaj main ne bhi 
Zindagi janam di hai !

Parveen Shakir


Haan mujhay nahin parwah ab kisi andheray ki


Teri Mohni Surat

Haan mujhay nahin parwah 

Ab kisi andheray ki 

Anay wali raaton kay 

Sab udaas raston par 

Aik chaand roshan hai 

Teri Mohni Surat

Parveen Shakir

Meray zard aangan main surakh phool ki khushboo


Mera Laal

Meray zard aangan main 

Surakh phool ki khushboo

Naqraai  kiran ban kar 

Kasni dino ki yaad 

Sabz karti jaati hai 

Parveen Shakir

Kitni sunsaan zindagi thi




Kitni sunsaan zindagi thi 

Sab taaq meray diye se khaali 
Be barg-o-samar badan ki daali 
Khirki pe na aa kay baithay chriya 
Aangan main bhatak sakay na titli 
Sanjoke ki be,namu ruton se
Main kitni udaas ho chali thi 
Awaaz kay sail-e-be'panna main 
Main thi meray ghar ki khamshi thi 

Par dekh to aa kay laal meray 
Is kulba-e-gham main mujh ko teray 
Anay ki naveed kiya mili hai 
Jeenay ka jawaaz mil gaya hai 

Parveen shakir

Jeenay ka jawaaz mil gaya hai


Jawaaz

Kitni sunsaan zindagi thi 

Sab taaq meray diye se khaali 
Be barg-o-samar badan ki daali 
Khirki pe na aa kay baithay chriya 
Aangan main bhatak sakay na titli 
Sanjoke ki be,namu ruton se
MAin kitni udaas ho chali thi 
Awaaz kay sail-e-be'panna main 
Main thi meray ghar ki khamshi thi 

Par dekh to aa kay laal meray 
Is kulba-e-gham main mujh ko teray 
Anay ki naveed kiya mili hai 
Jeenay ka jawaaz mil gaya hai 

Parveen shakir

Khulay gi us nazar par chashm-e-tar ahista ahista


Khulay gi us nazar par chashm-e-tar ahista ahista
Kiya jata hai paani main safar ahista ahista

Koi zanjeer phir wapis wahin par lay kar ati hai 
Khathan ho raah to chuthta hai ghar ahista ahista

Badal dena hai rasta ya kahin par baith jana hai 
Keh thakta ja raha hai hamsafar ahista ahista

Khlish kay saath is dil se na meri jaan nikal jaye 
Kheenchay teer-e-shnasai magar ahista ahista

Hawa se sar kashi main phool ka apna ziyaan dekha 
So jhukta ja raha hai ab yeh sar ahista ahista

Parveen Shakir
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...