Jan 30, 2015

Hum apni shaam ko jab nazar-e-jaam kartay hain


Hum apni shaam ko jab nazar-e-jaam kartay hain 
Adab se hum ko sitaray salaam kartay hain

Galay lagatay hain dushman ko bhi saroor main hum 
Bhout buray hain magar naik kaam kartay hain 

Sajaayen kiyon na issay yeh saraaye hai dil ki 
Yahan haseen musafir qayaam kartay hain 

HAyat baich di thoray se pyaar kay badlay 
Yeh karo'baar bhi teray ghulaam kartay hain 

Hamain bhi ek nazar  se nawaz de saqi 
Hum apnay hosh-o-khird teray naam kartay hain 

Qateel kitnay sukhan saaz hain yeh sanaatay 
Sakoot-e-shab main jo hum se kalaam kartay hain

Us ki kaali aankhon main hain yeh antar mantar sab


Us ki kaali aankhon main hain yeh antar mantar sab 

Chaaku waaku 
Churiyaan wuriyaan 
Khanjar wanjar sab 

Jis din se tum roothay mujh se , yeh bhi rootay roothay hain 

Chaadar waadar 
Takiya wakiya 
Bistar wistar sab 

Aakhir main kis din doobon ga , fikar main dooba rehta hoon 

Yeh dariya wariya 
KAshti washti 
Langar wangar sab 

Dukh kay chaman kay baasi hain yeh , dard kay shaher kay baani sab 

Yeh mohsin wohsin 
Ghalib shalib 
Sagar wagar sab 


Dil jo toota to nigahon ne bahaye aansoo


Dil jo toota to nigahon ne bahaye aansoo 
Qatra qatra meri palkon ne giraye aansoo 

Tishna lab is ne mera naam liya hai jab bhi 
Jaam bhar bhar kay mujhay is ne pilaye aansoo 

JAhan kuch bholi wafaon kay nishaan baaqi hain 
Hum ne un raahon pe ruk ruk kay bahaye aansoo 

Dard ka bojh zara kam to hua hai mera 
Surat-e-shair jo lafzon main sajaye aansoo 

MAin nahin dekh saka dard kisi ka 
Meri aankhon main to aaye hain paraye aansoo

Kis qadar ehtamam kartay ho


Kis qadar ehtamam kartay ho 

Dil dukhaana sawaab ho jaisay

Meri soch kay tehray pani main


Meri soch kay tehray pani main 
Teray nain kanwal jab hanstay hain 
Meray dhyaan kay uljhay aangan main 
JAb subha sitaaray chunti hain 
Jab shaam koi sur bunti hai 
Main sochta hoon in raaston main 
Hum kitni dair kay baad milay 

JAb kitnay mousam beet gaye 
Is karb kathor musafat main 
Dil sadiun chakna choor hua 
Is hijar kay taptay sehra main 
Kya ghazlein thein jo raakh hui 
Kya neendain thein jo khaak hui
Hum kitni dair kay baad milay 
Kiyon itni dair kay baad milay 

Ussay main kiyon bataon main ne us ko kitna chaha hai


Ussay main kiyon bataon main ne us ko kitna chaha hai

Bataya jhoot jaata hai

Keh sachi baat ki khushboo to

Khud mehsoos hoti hai

Meri baatein meri sochein

Ussay khud jaan janay do

Abhi kuch din

Mujhay meri mohabbat azmaanay do

Agar woh ishq kay ehsaas ko pehchaan na paye

Mujhay bhi jaan na paye

To phir aisa karo ae dil

Khud gum'naam ho jaao

Magar us be'khabar ko zindagi bhar muskuranay do

Abhi kuch din mujhay meri mohabbat azmanay do ...?

Ojhal sahi nigah se , dooba nahin hoon main


Ojhal sahi nigah se , dooba nahin hoon main

Ae raat khabardaar keh haara nahin hoon main

Dar'paish subh-o-shaam yahi kash'makash hai ab

US ka bano main kaisay keh apna nahin hoon main

Mujh ko farishta honay ka dawa nahin magar

Jitna bura samjhtay ho , utna nahin hoon main

IS tarah phair phiar kay baatain na keejiye

Lehjay ka rujh samjhta hoon bacha nahin hoon main

Mumkin nahin hai mujh se yeh tarz-e-munafqat

Duniya teray mizaaj ka banda nahin hoon main

Ghazab tha aaj gulshan main yeh hasrat khaiz nazara


Ghazab tha aaj gulshan main yeh hasrat khaiz nazara 

Idhar bulbul ka dam toota , udhar fasal-e-bahaar aayi

Haath main haath un ka youn aaya


Haath main haath un ka youn aaya 

Zindagi haath lag gayi jaisay

Ek tasveer jo kamray main lagai hui hai



Ek tasveer jo kamray main lagai hui hai 
Ghar ki tooti hui dewaar chupai hui hai 

Dhol ka shor qayamat hai keh teri baraat 
Doosray gaa'on se is gaa'on main ayi hui hai 

Aankh pe sheesha lagaya hai keh mehfooz rahay 
Teri tasveer jo paani main banai hui hai 

Takhat aur taaj to paa'on main paray rehtay hain 
Woh gadai teray darwaish ne pai hui hai 

Qabar par deep na rakh naam ka kutba na laga 
Hum ne mushkil se yeh tanhai kamai hai
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...