Feb 19, 2015

Her gharri na janay kiyon Aas paas rehtay ho


Her gharri na janay kiyon Aas paas rehtay ho 
Tum ajeeb mousam ho bas udaas rehtay ho 

Kuch bharam to rakhna hai apnay dil ki dharkan ka 
Tum meray nahin par paas rehtay ho 

MAin to aik larki hoon qaid main mohabbat ki 
Tum ko kya huwa sahib kiyon naraz rehtay ho 

Ek din bicharna hai jaanti hoon main lakin 
Tum aabhi se kiyon aakhir bad'hawaas rehtay ho 

Kiya koi nayi larki aa gayi hai zindagi main 
Aaj kal ziyada hi khush-libaas rehtay ho 

Hosla nahin mujh main tujh ko yeh batanay ka 
Jheel jaisay nainon main misal-e-pyaas rehtay ho

MAin roz diya jalaon ga wahan par


MAin roz diya jalaon ga wahan par 

Ae ishq tu mar kay apna mazaar to bana 

Ishq se biyaah ho gaya aur phir


Ishq se biyaah ho gaya aur phir 

Dil ki bulhan ko gham ka raja mila

Aanchal teri yaadon ka bhigo deti hai baarish


Aanchal teri yaadon ka bhigo deti hai baarish 
Sochon pe jami gard ko dho deti hai baarish

HAns hans kay sunaati hai jahan bhar kay fasanay 
Poochon teray baray main to ro deti hai baarish 

LAgtay hain pyaaray meri aankhon ko yeh manzar 
Hairat ! meray ehsaas ko woh deti hai baarish 

Yaadon ki mehak ho ya teray hijar kay taanay 
Chup chaap main rakh leta hoon jo deti hai baarish 

Mujh par tu jo karti hai so karti hai inayat 
Moti teray baalon main piro deti hai baarish

Agli baarish ak wada tha uss ka


Agli baarish ak wada tha uss ka 

Koi uss se kahay keh aa jayo baarish loat aayi hai

Aseer-e-dasht-e-wafa ka na maajra kehna


Aseer-e-dasht-e-wafa ka na maajra kehna 
Tamaam poochnay walon ko bas dua kehna 

Yeh kehna raat guzri hai ab bhi aankhon main 
Tumhari yaad ka qaaim hai silsala kehna 

Yeh kehna chaand nikalta hai baam par ab bhi 
Magar nahin woh shab-o-roz ka maza kehna 

Yeh kehna hum ne hi toofan main daal kay kashti 
Qasoor apna hai dariya ko kya bura kehna 

Yeh kehna tum se bichar kar bikhar gaya hoon main 
Keh jaisay haath se gir jaye "Aaina" kehna 

Aakhir yeh chooriyan teri lagti kya hain ?


Teri kalayi jo pakron to bhout shor machaati hain
Aakhir yeh chooriyan teri lagti kya hain ?
Her roz teri khushboo main nahaati hain
Tujhay subh-o-shaam pyaar ka geet sunaati hain 
Teray phool se hont jab in ko chootay hain 
Teri saanson ki mehak se yeh dehak si jaati hain 
Shokh-o-chan'chal rangon ki yeh chooriyan teri kalayi main 
Teray husan kay pai'kar ko aur haseen bana deti hain 
Teri kalayi ki yeh chooriyan jissay nazar aayein 
Ussay pagal dewana , paremi bana deti hain 
Teri kalayi ko jab bhi main ne choona chaha 
YEh chooriyan Aasman sar pe utha leti hain 
Teri kalayi jo pakron to bhout shor machaati hain 
Aakhir yeh chooriyan teri lagti kiya hain 

Jab mandron pe chaand kay ham'raah


Jab mandron pe chaand kay ham'raah 
Bujhti jaati hain aakhri shamein 
Kya teray wastay nahin tarasta 
Uss ka majboor muz'mahil chehra 
Kiya teray wastay nahin jageen 
Uss ki be'maar reham dil aankhein 
Kya tujhay yeh khyal hai keh ussay 
Apnay lotnay ka koi ranj nahin 

Uss ne dekhi hai din ki khoon khwaari 
Uss pe guzri hai shab ki ayyaari 
Phir bhi teri tarah woh be'chari 
Sari duniya se shikwa sanj nahin 

Zindabaad ae aaina-e-jazba-e-ishq
MArhaba ae shikwa-e-khuddami
Uss ki qurbat se tujh ko phool milay 
Zindagi kay naye asool milay 

Teri ulfat se kya mila us ko 
Zehmatein , iztraab bad'naami


Main kab kehta hoon woh acha bhout hai


Main kab kehta hoon woh acha bhout hai 
MAgar us ne mujhay chaha bhout hai 

Khuda is shaher ko mehfooz rakhaye 
Yeh bachon ki tarah hansta bhout hai 

Issay Aansoo ka ik qatra na samjho 
Kunwaan hai aur yeh gehra bhout hai 

Ussay sohrat ne tanha kar diya hai 
Samandar hai magar piyaasa bhout hai 

MAin ek lamhay main sadiyan dekhta hoon 
Tumharay saath ek lamha bhout hai 

Mera hansana zaroori ho gaya hai 
Yahan her shakhs sanjeeda bhout hai

Rafta rafta waqat se majboor hota gaya


Rafta rafta waqat se majboor hota gaya 
Bhout pyaar tha tujh se aur tujh se hi door hota gaya 

MAin ne iltaja ki keh teray bin waqat nahin guzarta 
Yeh sun kar tu bhi thora maghroor hota gaya 

Kisi ki judai ko bardaash nahin kar paya 
MAin bhi dil-o-dimagh se la'shaoor hota gaya 

Teri aankh main na janay kaisa hunar tha 
Jo main poori mehfil main masroor hota gaya 

Yeh kaisi mohabbat , keh muqaddar ki ruswai hui hai 
MAin be'wafa aur woh be'qaraar hota gaya
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...