Apr 10, 2016

Samay samay ki khalish pe tera malaal rahay


Samay samay ki khalish pe tera malaal rahay 
Judaiyon main bhi youn aalam-e-wisaal rahay 

Ana ki jung main hum jeet gaye lakin 
Phir is kay baad dair tak nidhaal rahay 

Rah-e-junoon main yahi zaad-e-raah hota hai 
Keh justagoo barhay dewangi bahaal rahay 

Haseen raatein bhi mehkein tumhari yaadon se
Garray dino main bhi pal pal tera khayal rahay 

Tu aik baar zara kashtiyan jala to sahi 
Hai kya majaal keh ik lamha bhi zawal rahay

Chand kay saath meri baat na thi pehli si


Chand kay saath meri baat na thi pehli si 
Raat aati thi magar raat na thi pehli si 

Hum teri yaad se kal shab bhi milay thay lakin 
Yeh mulaqaat , mulaqaat na thi pehli si 

Aankh kiyon loot gayi khouf se sehraaon ko 
Kiyon keh is baar to barsaat na thi pehli si 

Ab kuch aur tarah ki thi udasi in main 
Chand taron ki yeh baraat na thi pehli si 

Ishq ne pal main badal di meri sari duniya 
Main ne dekha keh meri zaat na thi pehli si

Dil roye zaar-o-zaar sajan


Dil roye zaar-o-zaar sajan 
Tera kab ho ga deedar sajan 

Tera lamha-e-ehsaas piya 
Teray her janib Asaar sajan 

Aur tera kaam masehaai 
Hum sadiyon kay beemar sajan 

Ik veerani , ik tanhai 
Tu in dono kay paar sajan 

Kar lein aankhon kay dariya main 
Hum ne palkein patwaar sajan 

Kuch dair galay lag ro payein 
Na'mumkin hai do yaar sajan 

Mohabbat ka safar kaisa laga hai


Mohabbat ka safar kaisa laga hai 
Yeh jazbon ka bhanwar kaisa laga hai 

Basay ho dil main  to yeh bhi batao 
Yeh ghair abaad gahr kaisa laga hai 

Yahi shikwa tha na tum ko kahon ab 
Dawa na chasham-e-tar kaisa laga  hai

Gali ki ronaqon kay darmiyan main 
Mera sun'saan dar kaisa laga hai 

Meri to rooh tak ghayel hui hai 
Tumhein ujra nagar kaisa laga hai 


Tera wajood to mera gumaan doob gaya


Tera wajood to mera gumaan doob gaya 
Ufaq main door kahin aasman doob gaya 

Bhari hain jis tarah aankhein hamari ashkon se
Hamein to lagta hai sara jahan doob gaya 

Hawa se raabta karnay ki dair thi aur phir 
Samandron main mera baad'ban doob gaya 

Tera khayal ubharta nahin labon se meray 
Meri pannah main mera sayeban doob gaya 

Yahein kahin koi roya hai baith kar "Farhat"
Yahien kahin tumhara nishan doob gaya

Ik yahi roshni imkaan main hai


Ik yahi roshni imkaan main hai 
To abhi tak dil veeran main hai 

Shor bar'pa hai teri yaadon ka 
Ronaq hijar-e-biyabaan main hai 

Pyar aur zindagi se lagta hai 
Koi zinda dil be'jaan main hai 

Aaj bhi teray badan ki khushbu 
Teray bhejay huye guldan main hai 

Zindagi bhi hai meri aankhon main 
Mout bhi deeda-e-hairaan main hai 

Dil abhi nikla nahin seenay se 
Aik qaidi abhi zindaan main hai 

Sard sa haath milanay wala tu wohi hai na zamanay wala


Sard sa haath milanay wala
Tu wohi hai na zamanay wala 

Tum mujhay yaad rakho gay kaisay 
Jab khuda bhi ho bhulanay wala 

Dukh ki mazdoori mujhay karna hai 
Hai koi haath batanay wala 

Raat aagay na janay wali 
Hijar bhi shor machanay wala 

Janay ab shaher rahay ya na rahay 
Main to ik shakhs hoon janay wala 

Shayed ik gham hi faqat hota hai 
Umar bhar saath nibhanay wala 

Ab zamana hi nahin hai Farhat 
Deep se deep jalanay wala

Is qadar baraf pari sadmon ki jam gaya sabar meri aankhon main


Is qadar baraf pari sadmon ki 
Jam gaya sabar meri aankhon main 

Sham hoti hai to jal uth'ti hai 
Hijar ki qabar meri aankhon main 

Dekh kar ashkon kay kamzor badan 
Ro paray abar meri aankhon main

Meri sham-e-gham meray paas aa mujhay raas aa


Tanhai

Meri sham-e-gham meri sham-e-gham
Meray paas aa mujhay roz-o-shab ki faseel par
Meri por por main dard ban kay utar gaya
Jo kahin kahin pe paraao tha mera ab ashk ki jheel par
Teray jaisay hi kisi khair khawah se kam na tha
Kabhi raakh tha kisi murda dil se wisaal ki
To kabhi alaao tha be'qaraar hijar ka
Kisi shaher sabar ki saij par
Jo sakoot tha mera umar bhar
Kisi bain se kisi sard aah se kam na tha
Kabhi khaar dekhay hain tum ne neend kay bistaron par uggay huye
Meri aarzu thi to aarzu
Mera khawab kisi qatal gaah se kam na tha
Meri ungliyan bhi hain resha resha jamood se
Meri khawaishein mera dasht-e-dil
Meri chahatein meri chasham-e-nam , meri chasham-e-nam
Meri saham nam , meri shaam nam
Meray paas aa mujhay raas aa
Main na'janay kaisi aziyaton ki rafaqaton main ulajh gaya
Main ulajh gaya kisi ehad-e-halat-e-zaar se
Kisi pyar se koi sach nikal kay nahin mila
Wohi zard rut , wohi zard rut
Wohi barf si meray hum'qadam
Meri shaam nam , meri sham nam 
Meray paas aa mujhay raas aa

Aalam-e-intizaar hai duniya


Aalam-e-intizaar hai duniya 
Teray bin be'qaraar hai duniya 

Aik tum hi nahin zamanay main 
Dekh lo be'shumaar hai duniya 

Be'kali hi nahin udasi bhi 
Teri yadon ka saath deti hai 

Jitnay bhi raaz'daar thay meray 
Bastiyon ki hawa chura laai 

Khouf kay dard'naak lamhon main 
Zindgani mujhay urra laai 

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...