May 23, 2016

Woh thak'ka hua meri baanhon main zara so gaya tha to kya hua


Woh thak'ka hua meri baanhon main zara so gaya tha to kya hua 
Abhi main ne dekha hai chand bhi kisi shaakh-e-gul pe jhuk'ka hua 

Meray saath sada raha woh meri nazar se chup'pa hua  
Yeh ajeeb hijar-o-wisal hai , na kabhi mila , na juda hua 

Koi phool dhoop ki patiyon main harray ribon se bandha hu a
Woh ghazal ka lehja naya naya , na kaha hua , na suna hua 

Jissay lay gayi hai abhi hawa woh warq tha dil ki kitab ka 
Kahin aansu'on se mitta hua , kahin aansu'on se likha hua 

Kai meel rait ko kaat kar koi moj phool khila gayi 
Koi pairr pyas se mar raha hai nadi kay paas kharra hua

Mujhay haadson ne saja saja kay bhout haseen bana diya 
Mera dil bhi jaisay dulhan ka haath ho mehandiyon se racha hua 

Wohi shaher hai wohi raastay , wohi ghar hai aur wohi lawn bhi 
Magar is dareechay se poochna , woh darakht-e-anaar ka kya hua

Meray saath jugnoo hai aur jugnoo ki is safar main bisaat kya 
Yeh chragh koi chragh hai na jala hua na bujha hua 

Wohi khat keh jis pe jaga jaga do mehaktay honton kay chand thay 
Kisi bhooli bisri si taaq par teh gard ho ga daba hua

Aansu'on se dhulli hui khushi ki tarah


Aansu'on se dhulli hui khushi ki tarah 
Rishtay hotay hain shairy ki tarah 

Door ho kar bhi hoon usi ki tarah 
Chand se door chandni ki tarah 

Khoobsurat , Udaas , Khouf'zada 
Woh bhi hai 20 sadi ki tarah 

Jab kabhi badalon main ghirta hai 
Chand lagta hai aadmi ki tarah 

Hum Khuda ban kay ayein gay warna 
Hum se mil jao aadmi ki tarah 

Sab nazar ka faraib hota hai 
Koi hota nahin kisi ki tarah 

Jaanta hoon keh aik din mujh ko 
Woh badal de ga dairy ki tarah 

Aarzu hai keh koi shair kahon 
Khoob'surat teri gali ki tarah

Fursat kahan khatoot parhon aaj pyar se


Fursat kahan khatoot parhon aaj pyar se 
Ab khairiyat bataya karo yaar taar se

Wali kay taaj-o-takhat ka aik daway'daar to 
Dakhil tha haspatal main pani ki maar se

Naita ki shaan dekh ussay vote youn milay 
Murday nikal kay aa gaye apnay mazaar se 

Rally nikalnay ka irada jahan kiya 
Mujh ko zukaam ho gaya halki phuwaar se 

Main rail roknay kay liye teray saath hoon 
Fursat agar mujhay mili sardi bukhaar se 

Main dar raha hoon mujh ko Ghalib kahein gay log 
Yeh ghar chala karay ga hamesha udhaar se

Meray baray hawaon se woh kab poochay ga


Meray baray hawaon se woh kab poochay ga 
Khaak jab khaak main mil jaye gi tab poochay ga 

Ghar basanay main yeh khatra hai keh ghar ka maalik 
Raat main dair se aanay ka sabab poochay ga 

Apna gham sab ko batana hai tamasha karna 
Haal-e-dil us ko sunaein gay woh jab poochay ga 

Jab bicharna bhi to hanstay huye jana warna 
Her koi rooth kay janay ka sabab poochay ga 

Hum lafzon kay jahan daam lagay baich diya 
Shair poochay ga hamein ab na adab poochay ga 

Mera kya kahin bhi chala jaon ga 
Magar raasta to bana jaon ga 

Hawaon ko is ka sharf kiyon milay 
Main apna diya khud bujha jaon ga 

Kahin bhi rahoon , main kisi se milon 
Hamesha tumhara kaha jaon ga 

Lahoos agar husan-e-takhleeq hai 
Koi chehra main bhi bana jaon ga 

Baghal geer honay kay andaz se 
Pata dushmano ka bata jaon ga

Jab us ki nawazish hoti hai , yeh mo'jaza tab ho jata hai


Jab us ki nawazish hoti hai , yeh mo'jaza tab ho jata hai 
Alfaaz mehaknay lagtay hain , kaghaz bhi adab ho jata hai 

Us ki thokar main hoti hai , sari duniya ki sha'inshahi 
Darbar-e-madeena main jab bhi , dewana talab ho jata hai 

Yeh aag , yeh matti , yeh pani , yeh aanchal ki gul'rez hawa 
Phir kuch nahin rehta apna jab paisa bhi rab ho jata hai 

Baarish kay baad paharon par qaleen bich'ha deta hai Khuda 
Yeh dil ka ujra ray'gistan bhi shaher-e-tarb ho jata hai  

Ik shair ghazal ka duniya ki tanqeed se bala'tar jano 
So matlab is main hotay hain , jo be'matlab ho jata hai 

Pandit , jolaha kehlaya , mann laakh is faqeeri main 
Jis par sona chandi barsay , woh aali nasab ho jata hai

Falak se chand sitaron se jaam lena hai


Falak se chand sitaron se jaam lena hai 
Mujhay sehar se nayi aik shaam lena hai 

Kissay khabar keh farishtay ghazal samjhtay hain 
Khuda kay samnay kaafar ka naam lena hai 

Mo'amla hai tera bad'tareen dushman se 
Meray aziz mohabbat se kaam lena hai 

Mehakti zulf se khushbu , chamakti aankh se dhoop 
Shabon se jaam , sehar ka salam lena hai 

Tumhari chaal ki aahistagi kay lehjay main 
Sukhan se dil ko masalnay ka kaam lena hai 

Nahin main Mir kay dar par kabhi nahin jata 
Mujhay Khuda se ghazal ka kalam lena hai 

Baray saleeqay se noton main us ko tulwa kar 
Ameer-e-shaher se ab intaqaam lena hai

Ghazal ko maan ki tarah ba'waqar karta hoon


Ghazal ko maan ki tarah ba'waqar karta hoon 
Main maam'ta kay katoron main doodh bharta hoon 

Tu aaina hai tujhay dekh kar sanwarta hoon 
Kahan kahan tera chehra talash karta hoon 

Yeh dekh hijar tera kitna khoobsurat hai 
Ajeeb mard hoon sola singhaar karta hoon 

Badan samait kay lay jaye jaisay shaam ki dhoop
Tumharay shaher se main is tarah guzarta hoon 

Tamam din ka safar kar kay roz shaam kay baad 
Pahariyon se ghirri qabar main utarta hoon 

Mujhay sakoon ghannay junglon main milta hai 
Main raaston se nahin manzalon se darta hoon

Be'libasi jo her libas ki hai


Be'libasi jo her libas ki hai 
Muflasi ehad-e-bad'hawaas ki hai 

Mut'maein hain zara ameer-o-ghareeb 
Her musibat middle claas ki hai 

Aaina ban gaye dar-o-dewaar 
Chandni yeh usi libaas ki hai 

Sab ko saqi ne yeh jawab diya 
Yeh khat'ta aap kay gilaas ki hai 

Teri khushbu main dekh leta hoon 
Yeh mehak teray aas paas ki hai 

 


Duniya ne dil ko pyar ka tohfa diya nahin


Duniya ne dil ko pyar ka tohfa diya nahin 
Hum zindagi thay hum ko kisi ne jiya nahin 

Suraj se , chand se bhi haseen aik roop hai 
Aisay makan main jahan koi diya nahin 

Duniya ki ab shikayatein kis munh se hum karein 
Hum se wafa ka wada kisi ne kiya hai 

Roti bhi chahiye m hamein pani bhi chahiye 
Hum aam aadmi hain miyan Oliya nahin 

Us ko bhi kuch khabar nahin aanchal kaha gira 
Hum ne bhi apna chaak giriban siya nahin 

Ik roz ghar pe chand sitaray bhi aye thay 
Hum ne magar zameen ka soda kiya nahin 

Mousam khizan ka hai meri baanhein udaas hain 
Phoolon ko main ne goad main kab se liya nahin 

Meray liye kisi ki mohabbat thi kainaat 
Main zameen-o-aasman , kuch bhi liya nahin

Aisa lagta hai , zindagi tum ho


Aisa lagta hai , zindagi tum ho 
Ajnabi kahay , ajnabi tum ho 

Log kehtay hain , ajnabi tum ho 
Ajnabi meri zindagi tum ho 

Dil kisi aur ka na ho paya 
Aarzu meri aaj bhi tum ho 

Mujhay apna shareek-e-gham kar lo 
Youn akelay bhout dukhi tum ho 

Doston se wafa ki umeedein 
Kis zamanay kay aadmi tum ho 

Main zameen par ghan'na andhera hoon 
Aasmano ki chandni tum ho 

Log aatay hain log jatay hain 
Meri aankhon main aaj bhi tum ho 
 
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...