Sep 9, 2016

Bara ehsaan hum farmaa rahay hain


Bara ehsaan hum farmaa rahay hain 
Keh un kay khat unhein lota rahay hain 

Nahin tark-e-mohabbat pe woh raazi 
Qayamat hai keh hum samjha rahay hain 

Yaqeen ka raasta teh karnay walay 
Bhout tezi se wapis aa rahay hain 

Yeh mat bhoolo keh yeh lamhaat hum ko 
Bicharnay kay liye milwaa rahay hain 

Ta'ajub hai keh ishq-o-aashqui se 
Abhi kuch log dhoka khaa rahay hain 

Tumhein chahein gay jab chinn jao gi tum 
Abhi hum tum ko arzan paa rahay hain 

Kisi surat unhein nafrat ho hum se
Hum apnay Aaib khud ginwaa rahay hain 

Woh pagal mast hai apni wafa main 
Meri aankhon main aansu aa rahay hain 

Daleelon se ussay qayel kiya tha 
Daleelein de kay ab pachtaa rahay hain 

Teri baanhon se hijrat karnay walay 
Naye mahool main ghabraa rahay hain 

Yeh juz ba ishq hai ya juz ba'reham 
Teray aansu mujhay rulwaa rahay hain 

Ajab kuch rabt hai tum se keh tum ko
Hum apna jaan kar thukraa rahay hain 

Wafa ki yaad'garein tak na hon gi 
Meri jaan bas koi din jaa rahay hain 

Dil kitna aabaad hua jab deed kay ghar bar'baad huye


Dil kitna aabaad hua jab deed kay ghar bar'baad huye 
Woh bichra aur dhiyaan main us kay so mousam ijaad huye 

Na'moori ki baat digar hai warna yaaro socho to 
Gagoon ab tak kitnay taishay be'khoon-e-farhaad huye 

Layein kahan se bol raseelay honton ki na'daari main 
Samjho aik zamana guzra boson ki imdaad huye 

Tum meri ik khud masti ho main hoon tumhari khud beeni 
Rishtay main is ishq kay hum tum dono be'buniyaad huye 

Mera kya ik moj-e-hawa hoon par youn hai ae ghuncha-e-dehan 
Tu ne dil ka baagh jo choora ghunchay be'ustaad huye 

Ishq mohalay main ab yaaro kya koi mashooq nahin 
Kitnay qaatil mousam guzray shor huye fariyaad huye 

Barq kya hai aks-e-badan ne teray hamein ae tang qaba 
Teray badan pe jitnay til hain teray hum ko yaad huye 

Tu ne kabhi socha ho ga , socha bhi ae mast adaa 
Teray adaa ki abaadi par kitnay ghar bar'baad huye 

Jo kabhi bhi rudaad-e-sukhan thi honton ki doori se thi 
Jab honton se hont milay to yak dam be'rudaad huye 

Khaak nasheeno se koochay kay kya kya nakhoot kartay hain 
Jaan-e-jaana ! teray darbaan to firon-o-shadaad huye 

Shaheron main hi khaak uraa lo shor macha lo be'halo 
Jin rishton ki soch rahay ho kab kay bar'baad huye 

Simton main bikhri woh khilwat , woh dil ki rang abaadi 
Yehni woh jo baam-o-dar thay yak'sar gard'baad huye 

Tu ne rindon ka haq maara meh'khanay main raat gaye 
Shaikh kharray sayed hain hum to , hum ne suna na'shaad huye

Dil ki takleef kam nahin kartay


Dil ki takleef kam nahin kartay 
Ab koi shikwa hum nahin kartay 

Jaan-e-jaan tujh ko ab teri khatar 
Yaad hum koi dam nahin kartay 

Doosri haar ki hawas hai so hum ko 
Sar-e-tasleem-e-kham nahin kartay 

Woh bhi parhta nahin hai ab dil se 
Hum bhi naalay ko num nahin kartay 

Jurm main hum kami karein bhi to kiyon 
Tum saza bhi to kam nahin kartay 

Yahan to koi mann chala hi nahin


Yahan to koi mann chala hi nahin 
Keh jaisay yeh shaher-e-balaa hi nahin 

Teray hasrati kay hain dil par yeh daagh 
Koi ab tera mubtalaa hi nahin 

Hui us gali main fazeehat bhout 
Magar main wahan se tal'la hi nahin 

Nikal chal kabhi aap se jaan-e-jaan 
Teray dil main to wal'wala hi nahin 

Dam-e-aakhir-e-shab jo bichray to bas 
Pata phir kisi ka chala hi nahin 

Qayamat thi us kay shikam ki shakan 
Koi bas mera phir chala hi nahin 

Kahan jaa kar duniya ko daalon bhala 
Idher ko koi maz'bala hi nahin 

Ik ambu-e-khu nain-e-dilaan hai magar 
Kisi main koi hosla hi nahin 





Rehan sar'shaari fiza kay hain


Rehan sar'shaari fiza kay hain 
Aaj kay baad hum hawa kay hain 

Hum ko har'giz nahin khuda manzoor
Yehni hum be'tarah khuda kay hain 

Hum ko hain "Jon" hasil-e-ijaad 
Kya sitam hai keh hum fanaa kay hain 

Kainaat-e-sakoot bas khamosh 
Hum to shouq-e-sukhan saraa kay hain 

Jitnay bhi ehal-e-fun hain duniya kay 
Mul'tamis baab-e-iltaja kay hain 

Baaz aa jaaiye keh sab fitnay 
Aap ki kiyon kay aur kya kay hain 

Ab koi guftagoo nahin ho gi 
Hum fanaa kay thay hum fanaa kay hain 

Jul 24, 2016

Bakh'shish hua yakeen , gumaan be'libaas hai


Bakh'shish hua yakeen , gumaan be'libaas hai 
Hai aag jama-e-zaib , dhuwan be'libaas hai 

Hai yeh fiza hazar libason ka ik libaas
Jo be'libaas hai woh kahan be'libaas hai 

Malboos taar tar-e-nafs hai ziyan-e-sood 
Sood-e-ziyan yeh hai keh ziyan be'libaas hai 

Meh'mal nasheen-e-rang ! Koi posteen-e-rang 
Raig rawan hoon raig-e-rawan be'libaas hai 

Ab para para poshish-e-guftaar bhi nahin 
Hain saans be'rafu soziyan be'libaas hai 

Sad jama-e-posh jis ka hai jism bar'hana bhi 
Khilwat sara'iye jaan main woh jaan be'libaas hai 

Hai bood aur nabood main poshish na pai'rahan 
Yaaran-e-makeen kya keh makaan be'libaas hai 

Tu khud hi daikh rang-e-badan apna josh-e-rang 
To apnay libaas main jaan be'libaas hai 

Gham ki bar'hangi ko kahan se jurray libaas 
Main lab seesay huye hon , faghan be'libaas hai 

Koi gumaan bhi nahin darmiyan , gumaan hai yahi


Koi gumaan bhi nahin darmiyan , gumaan hai yahi 
Isi gumaan ko bacha loon keh darmiyan hai yahi 

Yeh aadmi kay hain anfaas jis kay zehar farosh 
Ussay bithao keh mera mizaaj wahan hai yahi 

Kabhi kabhi jo na ayo nazar to seh lain gay 
Nazar se door na hona keh imtihaan hai yahi 

Main aasman ka ajab kuch lihaaz rakhta hoon 
Jo is zameen ko seh lay woh aasman hai yahi 

Yeh aik lamha jo dariyaft kar liya main ne 
Wisal-e-jaan hai yahi aur firaaq-e-jaan hai yahi 

Tum un main se ho jo yahan fateh'mand thehray hain 
Suno keh wajah gham-e-dil-e-shakistagaan hai yahi 

Kon se shouq kisi hawas ka nahin


Kon se shouq kisi hawas ka nahin 
Dil meri jaan teray bas ka nahin 

Raah tum karwaan ki lo keh mujhay 
Shouq kuch naghma-e-jars ka nahin 

Haan mera woh mo'amla hai keh ab 
Kaam yaaran-e-nukta ras ka nahin 

Hum kahan se chalay hain aur kahan 
Koi andaza-e-paish ka nahin 

Ho gayi is gilay main umar tamaam 
Paas sholay ko khaar-o-khash ka nahin 

Mujh ko khud se juda na honay do 
Baat yeh hai main apnay bas ka nahin 

Kya laraai bhala keh hum main se
Koi bhi sainkron bars ka nahin 

Dil tamana se dar gaya jaanam


Dil tamana se dar gaya jaanam 
Sara nasha utar gaya jaanam 

Ik palak beech rishta-e-jaan se
Her zamana guzar gaya jaanam 

Tha ghazab faisalay ka ik lamha 
Kon phir apnay ghar gaya jaanam 

Janay kaisi hawa chali ik baar 
Dil ka daftar bikhar gaya jaanam 

Apni khawab-o-khayal duniya ko 
Kon bar'baad kar gaya jaanam 

Thi sitam hijar ki maseehai 
Aakhrish zakham bhar gaya jaanam 

Ab bhala kya raha hai kehnay ko 
Yehni main be'asar gaya jaanam 

Na raha dil na daastan dil ki 
Ab to sab kuch basar gaya jaanam 

Zaahir tha apnay tor se jeena 
Koi ik tha jo mar gaya jaanam

Gumaan ki ik parishan manzari hai


Gumaan ki ik parishan manzari hai 
Bas ik deewar hai aur be'dari hai 

Agarcha zehar hai duniya ki her baat 
Main pee jaon isi main behtari hai 

Tu aye baad-e-khizaan us gul se kehna 
Keh shaakh umeed ki ab tak harri hai 

Gali main us nigar-e-na'shano ki 
Faghan karna hamari nokari hai 

Koi leh'kay khayaban-e-saba main 
Yahan to aag seenay main bharri hai  

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...