Mar 13, 2014

Aik toota hua sheesha hon utha kar rakh lo



Aik toota hua sheesha hon utha kar rakh lo
Kaam ayon ga mujhay ghar main saja kar rakh lo

Meray halat pe hanstay hain zamaney walay
Aisay aalam main mujhay apna bana kar rakh lo

Main bhi aik phool hoon ho jayon ga pati pati
Tum utha kar mujhay joray main saja kar rakh lo

Yaad rakhna keh main tanhai main kaam ayon ga
Main khilona hoon mujhay sab se chupa kar rakh lo

Woh nahin paas to tum kyn ho pareshaan sabir
Un ki tasveer ko seenay se laga kar rakh lo

Poet : Sabir Ali Sabir

Rabt-e-ba'ham ki ibtida kaghaz



Rabt-e-ba'ham ki ibtida kaghaz
Woh tumhara likha hua kaghaz

Motiyon se sajay huye alfaaz 
Kushbo'on se basa hua kaghaz 

Is pe likha hua tha naam tera
Is liye bhi bhala laga kaghaz

Hijar ki shab main jagti ankhain
Aur askhon main bheegta kaghaz

MAin ne kaghaz pe dil ka bojh likha
Mujh ko dil ki tarah laga kaghaz

Pehlay tukron main bat gaye tehreer
Phir hawa'on ke sang ura kaghaz

Mout shehbaz taiz barish thi
Zindagi raah main para kaghaz

Poet : Shehbaz Khawja

Tum se ulfat ke takazay na nibhaye jatay


Tum se ulfat ke takazay na nibhaye jatay 
Warna hum ko bhi tamana thi keh chahay jatay

Dil ke maron ka na kar gham keh yeh andha naseeb
Zakham bhi dil main na hota to karahay jatay

Kaash ae abr-e-bahari teray behkay se qadam
Meri umeed ke sehra main bhi gahay jatay

Lazat-e-dard se Asooda kahan dil wale
Hain faqat dard ki hasrat se krahay jatay

HAi teray fitna-e-raftaar ka shohra kiya kiya
Garcha dekha na kisi ne sar-e-raahay jatay

Di na mohlat hamain hasti ne wafa ki warna 
Aur kuch din gham-e-hasti se nibahay jatay

Poet : Shaan-ul-haq Haqi

Aur ik haseen shaam ko main chal para salam ko



Aur ik haseen shaam ko 
Main chal para salam ko
Gali ka rang dekh kar
Nai tarang dekh kar
Mujhay bari kushi hui
Main kuch isi kushi main tha
Kisi ne jhaank kar kaha
Praye ghar se ja'yea
Meri qasam na ai'ya
Wohi haseen shaam hai
Bahar jis ka naam hai
Chala hoon ghar ko chor kar
Na janey jayon ga kidher
Koi nahin jo tok kar
Koi nahin jo rok kar
Kahay keh loat ayeah
Meri qasam na jayea
Meri qasam na jayea

Poet Salam Machli Shaheri

Ashiyane ki baat kartay ho dil jalaney ki baat kartay ho



Ashiyane ki baat kartay ho
Dil jalaney ki baat kartay ho

Sari duniye ke ranj-o-gham de kar
Muskuraney ki baat kartay ho

Hum ko apni khaber nahin yaro
Tum zamaney ki baat kartay ho

Zikar mera suna to chir kar kaha
Kis dewane ki baat kartay ho

Hadsa tha guzar gaya ho ga
Kis ke janey ki baat kartay ho

Poet : Javaid Qureshi

Main khyal hoon kisi aur ka mujhay sochta koi aur hai


Main khyal hoon kisi aur ka mujhay sochta koi aur hai
Sar-e-aina mera aks hai pas-e-aina koi aur hai

Main kisi ki dast-e-talab main hoo tu kisi ke harf-e-sawal main
Main naseeb hoon kisi aur ka mujhay manghta koi aur hai

Meri roshni taray khdo-khaal se mukhtalif to nahin magar
Tu qareeb a tujhay dekh loon tu wohi hai ya koi aur hai

Tujhay dushmano ki khabar na thi mujhay dostonka pata na tha
Teri dastaan koi aur thi mera waqiya koi aur hai

Kabhi loat ayein to poochna nahin dekhna unhain ghour se
Jinhain rastay main khabar hui keh yeh rasta koi aur hai

Poet : Saleem Kosar

Baat niklay gi to phir door talak jaye ge


Baat niklay gi to phir door talak jaye ge

Log be-waja udasi ka sabab poochain ge

Yeh bhi poochain ge keh tum itni parishaan kyn ho

Ungliyaan uthain ge sookhay huaye balon ki taraf

Ik nazar dekhain ge guzray huaye salon ki taraf

Choriyon par bhi kai tanz ke'ehye  jayain ge 

Kanptay haye hathon pe bhi fikray kassay jayien ge

Log zalim hain her aik baat ka tah'na daien ge

Baton baton main mera zikar bhi lay ayein ge

In ki baton ka zara se bhi asar mat lena

Warna chaheray ke tah'sur se samjh jayein ge

Chahay kuch bhi ho sawalaat na karna in se

Meray baray main koi baat na karna in se

Baat niklay gi to phir door talak jaye ge

   

Poet : Sadarshan fakir

   

Yeh doulat bhi le lo yeh sohrat bhi le lo



Yeh doulat bhi le lo yeh sohrat bhi le lo
Bhalay cheen lo mujh se meri jawani
Magar mujh ko lota do bachpan ka sawan
Woh kaghaz ki kashti woh barish ka pani

Mohalay ki sab se purani nishani
Woh burhiya jissay bachay kehtay thay nani
Woh nani ki baton main paroyon ka deera
Woh chaheray ki jhuriyon main sadiyon ka pehra

Bhulaye nahin bhool sakta hai koi 
Woh choti se ratain woh lambi kahani

Kari dhoop main apney ghar se nikalna
Woh chriya woh bulbul woh titli pakarna

Woh guriya ki shadi pe larna jhagarna 
Woh jhoolo'on se girna woh gir ke sambhalna

Woh peetal ke chal'lon ke piayaray se tohfay
Woh tooti hui choriyon ki nishani 

Woh kaghaz ki kashtiwoh barish ka pani
Woh kaghaz ki kashtiwoh barish ka pani

Poet : Sadarshan Fakir

Main pal do pal ka shaair hoon



Main pal do pal ka shaair hoon 
Pal do pal meri kahani hai
Pal do pal meri hasti hai
Pal do pal meri jawani hai

Mujh se pehlay kitney shaier 
Aye aur a kar chalay gaye
Kuch Aahaien bhar kar loat gaye
Kuch naghmay ga kar chalay gaye

Woh bhi Ik pal ka qissa thay
Main bhi ik pal ka qissa goon 
Kal tum se juda ho jayon ga
Go aaj tumhara hissa hoon

Main pal do pal ka shair hoon

Kal aur ayien ge naghmon ki 
Khilti kaliyaan chun'na'nay waly
Mujh se behtar kehnay walay
Tum se behtar sun'na'nay walay

Kal mujh ko koi yaad karay
Kyn koi mujh ko yaad karay
Masroof zamana meray liye
Kyn waqat apna barbaad karay

Main pal do pal ka shaier hoon 
Pal do pal meri kahani hai

Poet : Sahir Ludhanvi

Main ne chaand aur sitaron ki tamana ki thi



Main ne chaand aur sitaron ki tamana ki thi 
Mujh ko raton ki sihayi ke siwa kuch na mila

Main woh naghma hoon jissay piyaar ki mehfil na mili 
Woh musafir hoon jissay koi bhi manzil na mili

Zakham paye hain baharon ki tamana ki thi 
Main ne chaand aur sitaron ki tamana ki thi 

Kisi gaisoo kisi anchal ka sahara bhi nahin 
Rastay main koi dhundla sa sitara bhi nahin

Meri nazron ne nizaron ki tamana ki thi 
Main ne chaand aur sitaron ki tamana ki thi

Dil main na-kaam umeedon ke basairay paye
Roshni lenay ko nikla to andheray paye

Rang aur noor ke dhar'on ki tamana ki thi
Main ne chand aur sitaron ki tamana ki thi

Poet : Sahir Ludhanivi
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...