Jun 1, 2014

Woh kehti hai sabhi ghazlain mujhay kaaghaz pe likh bhajo


Woh kehti hai
sabhi ghazlain mujhay kaaghaz pe likh bhajo

main kehta hoon 
meri ghazlain to sab teri hi batain hain

woh kehti hai 
koi din main milan ka din bhi aye ga 

main kehta hoon 
keh kiya behtar nahon woh aaj ka din ho

woh kehti hai 
tumhain kyn is qadar jaldi hai milnay ki

main kehta hoon 
mujhay her pal azaab-e-jaan sa lagta hai 

woh kehti hai 
mohabbat se musarat bhar gayi dil main

main kehta hoon 
abhi kuch gham bhi niklain gy ta'aqub main

woh kehti hai 
mohabbat main bhout nadaan ho tum

main kehta hoon 
ms'saail se bhout anjaan ho tum

Aadat hi bana li hai is shaher ke logon ne


Aadat hi bana li hai is shaher ke logon ne
andaaz badal lena , awaaz badal lena

duniya ki mohabbat main atwaar badal lena
mousam jo naya aye raftaar badal lena

agiyaar wohi rakhna ehbaab badal lena
aadat hi bana li hai is shaher ke logon ne 

raastay main agar milna nazron ko jhuka lena
awaaz agar do to khatra ka nikal jana

her aik se juda rehna her aik se khafa rehna her aik ka gila karna
jaatay huye rahi ko manzal ka pata de kar rastay main rula dena

aadat hi bana li hai is shaher ke logon ne


Aankh se door na ho dil se utar jaye ga


Aankh se door na ho dil se utar jaye ga 

waqat ka kiya hai guzarta hai guzar jaye ga

itna manoos na ho khilwat-e-gham se apni

tu kabhi khud ko bhi dekhay ga to dar jaye ga

tum sar-e-raah-e-wafa dekhtay reh jayo gy

aur woh baam-e-rafaqat se utar jaye ga

zindagi teri ata hai to yeh jany wala

teri bak'shish teri dahleez pe dhar jaye ga

doobtay doobtay kashti ko oochala de doon

main nahin koi to sahil pe utar jaye ga

zabat lazim hai magar dukh hai qayamat ka  faraz

zaalim ab ke bhi na roye ga to mar jaye ga

shikwa-e-izhaar kyn karay

shikwa-e-izhaar kyn karay 
apni duniya khraab kyn karay 
gin to letay hain ungliyon pe gunnah 
rehmaton ka hisaab kon karay
ishq ki talkh kamayon ke nisaar
zindagi kamyaab kon karay
daawat-e-mae'kashi  un aankhon main
jurat-e-iztaraab kon karay
dil ka aaina samney le kar
tujh ko tera jawaab kon karay
hum se may'kash jo toba kar baithay
phir yeh kaar-e-sawaab kon karay
gharq-e-jaam-o-sawaab ho ke
shughal-e-jaam -o-shraab kon karay

kaisay keh doon keh mulaqaat nahin hoti


kaisay keh doon keh mulaqaat nahin hoti

roz miltay hain magar baat nahin hoti

aap lillah na dekha karain aaina kabhi

dil ka aa jana badi baat nahin hoti

chup ke rota hoon teri yaad main duniya bhar se

kab meri aankh se barsaat nahin hoti

haal-e-dil poochnay waley teri duniya main kabhi 

din to hota hai magar raat nahin hoti

jab bhi miltay hain to kehtay hain kaisay ho 

is se aagay to koi baat nahin hoti

Hangama-e-gham se tang aa kar izhaar-e-musarat kar baitha


Hangama-e-gham se tang aa kar izhaar-e-musarat kar baitha

mashoor thi apni zinda dili danasta shrarat kar baitha

koshish to bhout ki hum ne magar paya na gham-e-hasti ka mafir

veerani-e-dil jab had se barhi ghabra ke mohabbat kar baitha 

nazron s na kartay pristish-e-gham khamosh hi rehna behtar tha

dewano ko tum ne chaid diya wallah qayamat kar baitha 

her cheez nahin ek markaz par ek roz idher ik roz udhar

nafrat se na dekho dushman ko shayed yeh mohabbat kar baitha

Ik hijr-e-musalsal hai ansoo hain meray sathi

 
Ik hijar-e-musalsal hai 
ansoo hain meray sathi
kuch khwaab puranay hain
kuch pass nahin baqi
teray paas chala ayon
teri neend chura loon
meray dil se na janay kyn
yeh khwaish nahin jati
din raat tumhain dekhon
aur pyaar kiye jayon
meri aankhon se
meray honthon se
teri pyaas nahin jati
ik doojay se dono ko
yeh kaisi adawat hai
teri yaad aa jaye
phir neend nahin ati

Teri yaad aa jaye phir neend nahin ati



Ik hijar-e-musalsal hai 
ansoo hain meray sathi
kuch khwaab puranay hain
kuch pass nahin baqi
teray paas chala ayon
teri neend chura loon
meray dil se na janay kyn
yeh khwaish nahin jati
din raat tumhain dekhon
aur pyaar kiye jayon
meri aankhon se
meray honthon se
teri pyaas nahin jati
ik doojay se dono ko
yeh kaisi adawat hai
teri yaad aa jaye
phir neend nahin ati

Abhi kiya kahain , abhi kiya sunain


Abhi kiya kahain , abhi kiya sunain 

keh sar-e-faseel sakoot-e-jana

kaf-e-roz-o-shab pe sharar numa

woh jo harf harf chraagh tha

ussay kisi hawa ne bhuja diya

kabhi lab hilain ge to poochna 

sar-e-sehar ehad-e-wasal-e-dil

woh jo nighaton ka hajoom tha

ussay dast-e-moj-e-firaaq ne

teh-e-khaak kab se mila diya

kabhi gul kilain to poochna 

abhi kiya kahain abhi kiya sunain

youn hi khwaishon ke hisaar main

kabhi be'sabab kabhi be'khalal

kahan kon kis se bichar gaya

kabhi phir milain ge to poochna

kabhi phir milain ge to poochna


Abhi kiya kahain , abhi kiya sunain 

keh sar-e-faseel sakoot-e-jana

kaf-e-roz-o-shab pe sharar numa

woh jo harf harf chraagh tha

ussay kisi hawa ne bhuja diya

kabhi lab hilain ge to poochna 

sar-e-sehar ehad-e-wasal-e-dil

woh jo nighaton ka hajoom tha

ussay dast-e-moj-e-firaaq ne

teh-e-khaak kab se mila diya

kabhi gul kilain to poochna 

abhi kiya kahain abhi kiya sunain

youn hi khwaishon ke hisaar main

kabhi be'sabab kabhi be'khalal

kahan kon kis se bichar gaya

kabhi phir milain ge to poochna
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...