Jun 29, 2014

Suraj sar pe aa poncha hai


Suraj sar pe aa poncha hai 
Saye bhi chupty jate hain 

Aisi hi muskaan tumhari 
Guncha jaisay khil jata hai 

Zakham laga ky woh kehti hain 
Bol re sajan tu kaisa hai 

Baatein kar amrooze ki piyaare
Chor de us ko jo farda hai 

Is duniya main ulfat dhoondy 
Kuch kuch deewana lagta hai 

 

Tum agar mujh ko na chaho to koi baat nahin


Tum agar mujh ko na chaho to koi baat nahin 
tum kisi aur ko chaho gi to mushkil ho gi 

Ab agar mail nahin hai to judai bhi nahin hai 
Baat tori bhi nahin tum ne banai bhi nahin 

Yeh sehra bhi bhout hai mere jeenay ky liye 
Tum agar meri nahin ho to parai bhi nahin 

Mere dil ko na sraho to koi baat nahin 
Ghair ky dil ko sraho gi to mushkil ho gi 

Tum haseen ho , tumhain sab pyaar kartay hon ge
Main jo marta hoon to kiya aur bhi martay hon gy 

Sab ki aankhon main isi shouq ka toofaan ho ga 
Sab ky seenay main yahi dard ubharty hon gy 

Mere gham main na kraahoto koi baat nahin 
Aur ky gham main kraaho gi to mushkil ho gi

Kisi ki aankh jo pur'nam nahin hai


Kisi ki aankh jo pur'nam nahin hai 
Na samjho yeh keh us ko gham nahin hai 

Sawaad-e-dard main tanha khara hoon 
Palat jaon magar mousam nahin hai 

Samjh main kuch nahin ata kisi ki 
Agarcha guftagoo mabham nahin hai 

Sulagta kiyon nahin tareek jungle 
Talab ko boo agar madham nahin hai 

Yeh basti hai sitam par'war'digaan ki 
Yahan koi kisi se kam nahin hai 

Kina dosraye dariya ka jaisay 
Woh sathi hai magar mehram nahin hai 

Dilon ki roshni bhujhney na dena 
Wajood tairagi mehkam nahin hai 

Main tujh ko chah kar pachta raha hoon 
Koi is gham ka marham nahin hai 

Jo koi sun sake amjad to duniya 
Ba'juz ik baaz'gashat-e-gham nahin hai

Yaad main teri jahan ko bhoolta jata hoon


Yaad main teri jahan ko bhoolta jata hoon 
Bhoolney wale kabhi tujh ko bhi yaad ata hoon main 

Ik dhundla sa tasawar hai keh dil bhi tha yahan 
Ab to seenay main faqat ik tees si paata hoon main 

O wafa-e-na'ashna kab tak suno tera gila
Be'wafa kehtay hain tujh ko aur sharmata hoon main 

Aarzoo'on ka shabaab aur marg-e-hasrat haye haye 
Jab bahaar aye gulistaan main to mur'jhata hoon main 

Hashar meri shair goi hai faqat fariyaad-e-shouq
Apna gham dil ki zubaan main , dil ko samjhata hoon main

Honton pe kabhi un ky mera naam hi aye


Honton pe kabhi un ky mera naam hi aye 
Aye to sahi bar sar-e-ilzaam hi aye 

Hairaan hain , lab basta hain , dil'geer hain gunchay
Kushboo ki zubaani tera paighaam hi aye 

Lamhaat musarat hain tasawar se guraizaan 
Yaad aye hain jab bhi gham-o-aalaam hi aye 

Taron se saja lein gy raah-e-shaher-e-tamana 
Madoor nahin subho chalo shaam hi aye 

Kiya raah badalney ka gila hum safron se 
Jis raah se chalay teray dar-o-baam hi aye 

Thak haar ky baithay hain sar-e-koo-e-tamana 
Kaam aye to phir jazba-e-nakaam hi aye

Baaqi na rahay saakh ada dasht-e-junoon ki 
Dil main agar andesha-e-anjaam hi aye  

Agar mohabbat meri sachi hai to ik din zaroor mila de gi


Agar mohabbat meri sachi hai to ik din zaroor mila de gi 
Agar zid meri paki hai to aye khuda asmaan ko bhi hila de gi 

Na inkaar kar sakta haikoi meri wafa se , mujhe yaqeen hai 
Par tum sambhalna ek din meri wafa tujhe be'wafi ka sila de gi 

Yeh baat sach hai tum ne hum se pyaar kiya aur doosray pal hi bhula dia
Mera pyaar itna asaan na tha na socha tha keh tero mohabbat daga de gi

Na bhula sakoon gi woh mohabbat na woh be'wafai jo tu ne ki 
Saza is se barh kar kiya de gi keh umar bhar meri mohabbat tujhe dua de gi 

Agar dam hai meri wafa-e-mohabbat main to woh ik din aye ga zaroor 
Jab meri yaad main tu tarpaye ga par tab tujhe apni mohabbat na de gi

Woh hai manind-e-sang to main sang traash ban jaon


Woh hai manind-e-sang to main sang traash ban jaon 
Chaahon ussay itna keh pathar bhi devta ban jaye 

Ho aisi khalish meri chahat main key ussay her bandhan se azaad karoon 
Woh loat aye her baar magar aur mera ban jaye 

Ho shiddat aisi keh Mujhe hi kiya mere aks ko bhi tera khyaal ho 
MAin jo aaina dekhon kabhi mujhe khud par bhi tera gumaan ho jaye 

Mera ishq ho ishq ki us manzal par keh khud ishq tarap uthaye
Main tujhe nazar bhar ky dekhon hi keh meri aankh bhar aye

Her shakhs us ky baad mujhe anjana laga


Her shakhs us ky baad mujhe anjana laga 
Bhool jane main ussay poora zamana laga 

Peet main bhi maaray khanjar , dil ko bhi kiya zakhmi 
Andaaz ua ka yeh mujhay bara qatlaana laga 

Her baar ghairon ki tarah woh milta raha mujhe magar 
Phir bhi na woh zaalam mujhe bei'gaana laga 

Kahin bhi na mili jab mujhae dard-e-dil ki dawa 
Tab mai'khana hi mujhe apna dawa'khana laga 

Kahani sun mere barbaad hone ki woh bola 
Bhout khoob hamain yeh afsana laga 

Aaj ky is dour main woh dhoond raha hai wafa 
Kiya kahoon , mujhe to dilbar poora deewana laga 

Meri zindagi bhi meri nahin , yeh hazaar khano main bat gayi


Meri zindagi bhi meri nahin , yeh hazaar khano main bat gayi 
Mujhe ik mutthi zameen de , yeh zameen kitni simat gayi 

Teri yaad aye to chup rahoon , zara chup rahoon to ghazal kahoon 
Yeh ajeeb aag ki bail thi , mere tan badan se lipat gayi 

Mujhe likhney wala likhey bhi kiya , mujhay parhney wala parhay bhi kiya 
Jahan mera naam likha gaya , wahin roshni ulat gayi 

Na koi khushi na koi malaal hai , keh sabhi ka ik sa haal hai 
Tere sukh ky din bhi guzar gaye , mere dukh ki raat bhi kat gayi 

Meri band palkon pe toot ky koi phool raat bikhar gaya 
Mujhay siskiyon ne jaga dia , meri kacchi neend uchat gayi

Jitna bhi behak jaye insaan to rehta hai


Jitna bhi behak jaye insaan to rehta hai 
Her lamha sambhlney ka imkaan to rehta hai 

Sadiyon ky mrasam ki apni hai jaga lakin 
Dam bhar ka ta'aluq bhi pehchaan to rehta hai 

Dam torti yaadain hon ya khwaab parishaan se
Kuch paas mere us ka samna to rehta hai 

Ek ky jab rishtay lamhon main bikhar jayein 
Aankhain to barasti hain armaan to rehta hai 

Bichray huwey logon ka milna  to hai mushkil par 
Umeed to rehti hai imkaan to rehta hai
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...