Jul 17, 2014

Her gharri phirta hai aankhon main tumhara chehra


Her gharri phirta hai aankhon main tumhara chehra 
Zehan ki shaakh pe rehta hai yeh piyaara chehra 

Tum ne jab baat kahi hum se bichar jaanay ki 
Kaash tum dekhtay us waqat hamara chehra 

Itni hairaani se taktay hain hamain sab jaisay 
Humkahin bhool kay aye hain hamara chehra

Shaher ki bheer main khoya hoon  tumhari khaatir
Main ne is bheer main khoya hai tumhara chehra

Log kehnay lagay tasveer bana doon teri 
MAin ne ik phool ka kaaghaz pe utara chehra 

MAin ne kamray main sajai hain tumhari baatein 
Main ne kamray main sajaya hai tumhara chehra 

Poet : Khawari 

Woh ghaar-e-sor se baahir nikalnay wala hai


Woh ghaar-e-sor se baahir nikalnay wala hai 

Tulooh-e-fajar hai lashkar nikalnay wala hai 

Sufaid honay wali hai aankh aur is se 

Her ik rang ka manzar nikalnay wala hai

Yeh satah-e-aab jo ham'waar hoti jaati hai

To seedhi baat hai pathar nikalnay wala hai 

Poet : Amaad Azhar 

Woh mousam aankh main tehraa hua hai



Woh mousam aankh main tehraa hua hai


Woh baarish main teray anay ka mousam 
Woh mousam aankh main tehraa hua hai 

Nasheeli nam si madham tairagi main 
Badan main ik chaman sa khil raha hai 
Dikhaye aks meri khwaishon ke 
Chamakta jisam hai ya aaina hai 

Bhout se raaz mujh pe khul rahay hain 
Meri nazron main ik band qaba hai 
Chupay hain chaand abar-e-ehmareen main 
Kinaron se ujaala phoot'ta hai 

Teray jisam pe thandak chaand jaisi 
Badan main surajon si roshni hai 

Khulay shaano se dhalkay pera'han main 
Yeh mar mar si qayamat kiya tanni hai 
Tujhay main dekhon kis kis zawiye se 
Tu saray zawiyon se deedni hai 

Tujhay woh raat shayed bhool jaye 
Magar meray liye to waqiya hai 
Woh baarish main teray anay ka mousam 

Poet Khawar Ahmed

Woh baarish main teray anay ka mousam



Woh baarish main teray anay ka mousam 
Woh mousam aankh main tehra hua hai 

Nasheeli nam si madham tairagi main 
Badan main ik chaman sa khil raha hai 
Dikhaye aks meri khwaishon ke 
Chamakta jisam hai ya aaina hai 

Bhout se raaz mujh pe khul rahay hain 
Meri nazron main ik band qaba hai 
Chupay hain chaand abar-e-ehmareen main 
Kinaron se ujaala phoot'ta hai 

Teray jisam pe thandak chaand jaisi 
Badan main surajon si roshni hai 

Khulay shaano se dhalkay pera'han main 
Yeh mar mar si qayamat kiya tanni hai 
Tujhay main dekhon kis kis zawiye se 
Tu saray zawiyon se deedni hai 

Tujhay woh raat shayed bhool jaye 
Magar meray liye to waqiya hai 
Woh baarish main teray anay ka mousam 

Poet Khawar Ahmed

Bicharnay se zara pehlay



Bicharnay se zara pehlay

Bicharnay se zara pehlay 
Tumhain bhi soch lena chayea tha 
Tumhain bhi soch lena chayea tha 
Keh youn chahat ko thukraya nahin kartay 
Keh youn beetay dino ko bhoolna acha nahin hota 
Keh youn anjaan ban kar chain se jeena hamaray wastay 
mumkin nahin ho ga 

Tumhain bhi soch lena chayea tha 
Keh woh baatein jo hum aik dosray se kar chukay hain 
Ab kabhi wapis nahin ayein gi 
Keh woh lamhay jo hum aik doosray mai jee chukay hain 
Phir kabhi zinda nahin hon gay 
Bicharnay se zara pehlay 
Tumhain bhi soch lena chayea tha 

Poet : Khalid sharif

Tumhain bhi soch lena chayea tha


Bicharnay se zara pehlay 
Tumhain bhi soch lena chayea tha 
Tumhain bhi soch lena chayea tha 
Keh youn chahat ko thukraya nahin kartay 
Keh youn beetay dino ko bhoolna acha nahin hota 
Keh youn anjaan ban kar chain se jeena hamaray wastay 
mumkin nahin ho ga 
Tumhain bhi soch lena chayea tha 
Keh woh baatein jo hum aik dosray se kar chukay hain 
Ab kabhi wapis nahin ayein gi 
Keh woh lamhay jo hum aik doosray mai jee chukay hain 
Phir kabhi zinda nahin hon gay 
Bicharnay se zara pehlay 
Tumhain bhi soch lena chayea tha 

Poet : Khalid sharif

Gir jaye jo dewaar to maatam nahin kartay


ஜ۩۞۩ஜ♥ஜ۩۞۩ஜ♥ஜ۩۞۩ஜ

Gir jaye jo dewaar to maatam nahin kartay 
Kartay hain bhout log magar hum nahin kartay 

Hai apni tabiyat main jo khaami to yahi hai 
Hum ishq to kartay hain magar kam nahin kartay

ஜ۩۞۩ஜ♥ஜ۩۞۩ஜ♥ஜ۩۞۩ஜ

Rukhsat hua to baat meri maan kar gaya


Rukhsat hua to baat meri maan kar gaya 
Jo us ke paas tha , woh mujjay daan kar gaya 

Bichra kuch is ada se keh rut hi badal gayi 
Ik shaks saray shaher ko veeraan kar gaya 

Dil'chasp waqiya hai keh kal ik aziz dost 
Apnay mufaad par mujhay qurbaan kar gaya 

Kitni sudhar gayi hai judai main zindagi
Haan woh jafa se mujh par to ehsaan kar gaya

"Khalid" main baat baat pe kehta tha jis ko jaan 
Woh shakhs aakhrish mujhay be'jaan kar gaya

Poet : Khalid sharif

Her shaks kibriya hai tujhay dekhnay ke baad


Her shaks kibriya hai tujhay dekhnay ke baad 
Dawa mera ba'jaa hai tujhay dekhnay ke baad 

Hum aa ke teray shaher se wapis na jayein gay 
yeh faisal kiya hai tujhay dekhnay ke baad 

Kehtay hain tujh ko log maseeha magar yahan 
Ik shaks mar gaya hai tujhay dekhnay ke baad 

Sajda karon keh naqash-e-qadam choomti rahoon 
Ghar kaaba ban gaya hai tujhay dekhnay ke baad 

Sajda karoon gi tujh ko to kaafir kahain gay log
Yeh kon sochta hai tujhay dekhnay ke baad 

Rehti hai khoi khoi si her waqat ab "hina"
Yeh haal ho gaya hai tujhay dekhnay ke baad 

Hina Taimuri

Is qadar ghour se us shakhs ko dekha na karo


Is qadar ghour se us shakhs ko dekha na karo 
Woh bharay gahr ka hai aadi ussay tanha na karo

Shor main dab kay na reh jaye tumhari awaaz
Shaher main khaao agar zakham to cheekha na karo

Gar woh aadi na raha dhoop na seh paye ga 
Chand lamhon ka kisi shakhs pe saya na karo 

Doston ne jo diye hain tumhain palkon kay liye 
Aisay moti sar-e-mehfil to lutaya na karo 

Zard chaheray pe jo ghazay ka gulaabi pan hai 
Bheegi aankhon se tum is rang ko ruswa na karo 

Sookhay patton ki sadaon se karo samjhta 
Waqat se pehlay baharon ki tamana na karo 

Maand par jaye "Humaira) na damak chaheron ki 
Pichlay khwaabon ko sar-e-bazam sunaya na karo

Humaira Rehman
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...