Aug 28, 2014

JAhan tera naqsh-e-qadam mila

Kabhi gham ki aag  main jal uthaye 
Kabhi dil ka daagh jala dia 

Ae junoon-e-ishq bata zara 
Mujhay kiyon tamasha bana diya 

Gham-e-ishq kitna ajeeb hai 
Yeh junoon se kitna qareeb hai 

KAbhi ashk palkon pe ruk gaye 
Kabhi main ne dariya baha diya 

Mera jazba-e-shouq to dekhiye 
Meri bandagi hai woh bandagi 

JAhan tera naqsh-e-qadam mila 
Wahin kaaba main ne bana diya

Abhi kar rahay ho tum ibtidaa
Mara keh raha hai yeh tajurba 

Tumhain zindagi ki hai aarzoo
Mujhay zindagi ne mitta diya 

Bhout hi yaad aata hai mere dil ko tarpaata hai

Woh tera paas na hona bhout mujh ko rulaata hai 

Woh mera teri aankhon kay samandar main utar jaana 
Aur teri muskurahat kay bhanwar main doobtay jaana 

Teri awaaz kay sehar se na nikal paana
Tujh ko dekhna aur be'khudi se dekhtay jaana

Bhout chaha in guzray huye lamhon ko na sochna 
Na teri yaad main reh kay teray saath ka sochna 

Bhulaa doon sari yaadon ko keh jin se dil tarapta hai 
Keh jin se tees uth'ti hai keh jin se dard hota hai 

Tum mohabbat bhi mousam ki tarah nibhaatay ho

Kabhi barastay ho kabhi ek boond ko tarastay ho 

Pal main kehtay ho zamanay main faqat teray hain 
Pal main izhaar-e-mohabbat se mukar jaatay ho

Bhari mehfil main dushmano ki tarah miltay ho
Aur duaaon main mera naam liye jaatay ho

Dyaar-e-ghair main mujh ko talaash kartay ho
Milon to paas se chup chaap guzar jaatay ho

Laakh mousam ki tarah rang badaltay raho
Aaj bhi toot kay shiddat se hamain chahatay ho

Jissay chaha tha raaton kay andheron se ziada

Jis ki muskaan ki chamak thi suraj ki roshni se juda 

Jis ne kiya tha kabhi mujh se aik wada 

Keh meri sirf meri rahay gi woh sadaa

Toot gaye kaanch ki tarah sab waday 

Ab to sirf bachi hain sirf mere aansoo aur us ki yaadain 

Kabhi baithay baithay youn hi khooklay pan ka ehsaas hota hai 

Keh aisa mera hi haal hai ya waisa us kay saath bhi hota hai 

Ab to nazar aata hai sirf aik hi chehra , teray door janay se pehlay 

Keh yeh khwaish , meri poori ho jaye 

Us kay badlay main meri her saans chali jaye

Ikhlaaq na bartain gy mudara na karain gay

Ab hum kisi shakhs ki parwaah na karain gay 

Kuch log kai lafz ghalat bol rahay hain 

Islaah magar hum bhi ab islaah na karain gay 

Kam'goai kay ik wasf-e-himaaqat hai bahaar to 

KAm'goai ko apnaein gay cheh'ka na karain gay 

Ab sehal'pasandi ko banain gay wateera 

Ta'dair kisi baab main socha na karain gay 

Meri jaan wapsi ka aik raasta rakhna parta hai

Taaluq toot bhi jaye to rishta rakhna parta hai 

Jinhain hum dil ki gehraiyon se savha pyaar kartay hain 
Jab us se baat ho to khaas lehja rakhna parta hai 

Hamari rooh ki hiddat ko jo na sard parnay dy 
Hamain apnay badan main aisa shola rakhna parta hai 

Tujhay gar apni baatein na sunaaon ! to kahan jaaon 
Keh tere samnay isi dil ka sheesha rakhna parta hai 

Sada abaad rakhaye jo teri yaadon ko is dil main 
Keh anay saath ik aisa bhi lamha rakhna parta hai 

Hamaray dil main chahaye chaand jaisi laakhon galiyaan hon 
Andheray kay liye bhi aik raasta rakhna parta hai 

Bhalay jitnay bhi dukh , jitnay bhi gham hum ko milain 
Mizaaj apna her ik surat shagufta rakhna parta hai
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...