Dec 20, 2014

Keh main ab dost koi banaata nahin


Kehtay hain , kuch log zindagi main aatay hain is tarah 
kab , kaisay jigar jaan dost ban jaatay hain kiya pata 
Par meri veeraan zindagi main yeh hota nahin 
Keh main ab dost koi banaata nahin 

Kuch log milay thay mujhay bhi raah-e-zindagi main 
Saath chalain gay woh mera aisa waada tha un ka 
Koi kisi kay liye yahaan rukta nahin 
keh main ab dost koi banaata nahin 

Her baar mujhay ik chot lagi hai kuch aisay 
Keh tukray huye hain kai aaitabaar kay meray 
Bikhray un tukron ko main samait'ta nahin 
keh main ab dost koi banaata nahin 

Meray dil kay tukray to her koi lay gaya mujh se 
Badlay main bas ik soona pan dy gaya her koi 
Keh mera dil bhi ab meray paas nahin 
Keh main ab dost koi banaata nahin

Sar pe mohabbat ki rida taanta nahin


Main jal raha hoon dhoop main , woh maanta nahin 
Sar pe mohabbat ki rida taanta nahin 

Jissay ghar ki eent eent pe likha hai mera naam 
Iss ghar main ab koi mujhay pehchaanta nahin 

Kiya chahata hoon us se meri aarzoo hai kiya 
Sab kuch woh jaanta hai magar jaanta nahin 

Sulee pe taankta hai magar iss adaa kay saath 
Mujrim bhi pyaar ka mujhay gar'daanta nahin 

Hoti hai sab ko ishq main sood-o-ziyaan ki aas
Meri tarah to khaak koi chaanta nahin

Pehlay itna roye nahin thay jitna roye barson baad


Yaadon ka aik jhonka aaya hum se milnay barson baad 
Pehlay itna roye nahin thay jitna roye barson baad 

LAmha lamha dil ujraa hai mushkil se yeh ehsaas hua 
Pathar aaye barson pehlay sheeshay tootay barson baad 

Bhool jaaon kis ne tora , kaisay tora , kiyon tora 
Dhoond rahay ho galiyon main dil kay tukray barson baad 

Dastak ki umeed lagaye kab tak aakhir jeetay hum 
Kal ka wada karnay walay milnay aaye barson baad 

Yaadon ka aik jhonka aaya hum se milnay barson baad
Pehlay itna roye nahin thay jitna roye barson baad

Saa'khi Baithay rahay koi gada'gar hi nahin aaya


Sakhawat na namood afroz manzar hi nahin aaya 
Saa'khi Baithay rahay koi gada'gar hi nahin aaya 

Yeh socha tha teri khaatar koi motti nikaalon ga 
MAin jis raastay main tha us main samandar hi nahin aaya 

Pehan kar ayein gay , phirti dewaangi apni 
Tamana thi bhout jis ko woh pathar hi nahin aaya 

Baharain , bailain , jharray pattay lagay jalay dareechon par 
Makeen aisa gaya ghar se palat kar hi nahin aaya 

Chamak jis ki bulaa leti uqaabon ko nashaiman se 
Fizaon main koi aisa kabootar hi nahin aaya 

Dafeeno ki tarah dil main khazanay reh gaye saaray 
Samandar kiya karay koi shanawar hi nahin nahin aaya 

diya hi jab bahib ho ga hawa kis ko bujhaye gi 
Chraagh-e-raah main ab kay jala kay hi nahin aaya 

Kabhi barson nahin miltay kisi halki ranjish main


Kabhi hum bheegtay hain chahaton ki tez baarish main 
Kabhi barson nahin miltay kisi halki ranjish main 

Tum hi main devtaaon ki koi khoobi na thi warna 
KAmi koi nahin thi meray andaaz-e-parastish main 

Yeh pehlay soch lo phir aur bhi tanha na ho jaana 
Ussay choonay ki khwaish main ussay paanay ki koshish main 

Bhout se zakham hain dil main magar ik zakham aisa hai 
Jo jal utha hai raaton main jo loo deta hai baarish main  

Meri manzalon kay hasool main teri raah aye to kiya karon


MAin bhula chuka sabhi waastay jo thay manzalon kay hasool main 
Meri manzalon kay hasool main teri raah aye to kiya karon 

Jo pukaarta tha her aik gharri jo jura tha dil se laree laree
KAho shakhs aisa agar kabhi mujhay bhool jaye to kiya karon 

Kabhi saath tha jo keh du'ba'du tha hamesha meri hi ru'ba'ru
Jo barhaa raha tha qadam meray woh hi dag'magaye to kiya karon 

Woh chragh-e-dar jo jala kabhi main bujha chuka hoon magar kabhi kay
Bujha hua bhi diya agar mera ghar jalaye to kiya karon 

MAin ne aks tak to mita diye sabhi aainay bhi chuppa diye 
Tujhay dekhta koi door se meray paas aye to kiya karon 

Dec 19, 2014

tu keh raha hai dil jissay woh meri khwaishon ka mizaar hai


Teray tabsaray hain be'khabar meri dastaan-e-hayat se
tu keh raha hai dil jissay woh meri khwaishon ka mizaar hai

Tera shukriya ae tabeeb-e-jaan yeh khaloos apni jaga magar
Teri masihaai bhi kiya karay mera dard hi be'shumaar hai

Meray raaston main jo aa gaya meray kaaflay ko jo kha gaya
Woh toofaan to kab ka guzar gaya par dil main ab tak ghubaar hai

Ae meharbaan dost sun meri mushkalon ko , samjh keh main 
Teri mohabbaton ka kiya karoon kissay dil pe ab ikhtiyaar hai 

Naye mousamon ko bulaao mat keh mujhay kushbo'on ki talab nahin 
Meri raah rehnay do khaar khaar meray liye to yahi bahaar hai 

Jo nafraton se jhulas gaya ussay dil se saaray duaein do 
Par us sitam zada ka kiya karain jo mohabbaton ka shikaar hai


Sar-e-raah kuch bhi kaha nahin , kabhi us kay ghar main gaya nahin


Sar-e-raah kuch bhi kaha nahin , kabhi us kay ghar main gaya nahin 
Hum janam janam se ussi kay hain , ussay aaj tak yeh khabar nahin 

Ussay paak nazron se choomna bhi ibaadaton main shumaar hai 
Koi phool laakh qareeb ho , kabhi main ne us ko chuaa nahin 

Yeh khudai din bhi ajeeb hai , keh usi kay naam naseeb hai 
Jissay tum ne chaha woh mil gaya , jissay main ne chaha woh mila nahin 

Isi shaher main kai saal se , meray kuch qareebi aziz hain 
Unhain meri kuch bhi khabar nahin , mujhay un ka koi pata nahin

Raaz-e-ulfat chupa kay dekh liya


Raaz-e-ulfat chupa kay dekh liya 
Dil bhout kuch jala kay dekh liya 

Woh meray ho kay bhi meray na huye 
un ko apna bana kay dekh liya 

Aur kiya dekhnay ko baaqi hai 
Aap se dil laga kay dekh liya 

"Faiz" takmeel-e-gham bhi na ho sakay 
Ishq ko azmaa kay dekh liya

Sulagtay labon pe giraa aur paani


Sulagtay labon pe giraa aur paani 
Bari tishnagi hai pilaa aur paani 

Sunaa jab wahan pyaas bujhti hai sab ki 
Samandar ki jaanib gaya aur paani 

Chalain gay to taaza rahain gay hamesha 
Hawa, khoon , samaa , raasta aur paani 

tahay khaak-e-sehraa mili aur kushki 
Samandar ki teh se mila aur paani 

Suna hai keh sehraaon main biktay hain aksar
Lahoo, jism , insaan . wafa aur paani 

Samandar nadi pee gaya aur bola 
Zara ur paani , zara aur paani 

Feroz us ne poocha keh kiyon aankh nam hai 
Meri aankh main bhar gaya aur paani
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...