Feb 17, 2015

Luta kar her cheez manzil-e-ishq ki raah main


Luta kar her cheez manzil-e-ishq ki raah main 

MAin hans para hoon aaj khud ko bar'baad dekh kar

Main tum se kaisy kahon Ae meharban meray


Main tum se kaisy kahon Ae meharban meray 

Keh tu hi ilaaj hai meri her udaasi ka

Auron pe ho rahi hain hazaron nawazishein


Auron pe ho rahi hain hazaron nawazishein 

Afsoos hum yaad kay bhi qaabil nahin rahay

Baadshah teray asaab pe taari main thi


Baadshah teray asaab pe taari main thi 
Woh bhi din thay keh teri raaj kumaari main thi 

Yeh bhi sach hai keh mujhay maar diya hai tu ne 
YEh bhi sach ahi keh tujhay jaan se pyaari main thi 

Sari duniya ko pata hai keh tum meray ho 
Sari duniya ko pata hai tumhari main thi 

Dard kab tha woh teray dil miain junoon tha mera 
Ashk kab thay woh teri aankh se jaari main thi

Ab to ik jism hoon jis main koi dharkan hai na dil 
KAbhi saanson ki tarah jaari-o-sari main thi 

Mujh ko duniya ne baant'na chaha lakin 
Jiss taraf dil tha udhar saari ki saari main thi 

Kya phir ik matti kay mujasmay se umeed-e-wafa


Kya phir ik matti kay mujasmay se umeed-e-wafa

Ae dil tujhay sach main izzat raas nahin

Mujhay doston ki lambi qataron se nahin matlab


Mujhay doston ki lambi qataron se nahin matlab 

Agar tum dil se meray ho to ik tum hi kaafi ho 

Kamray ko jo phoolon se saja doon to rulaa doon


Kamray ko jo phoolon se saja doon to rulaa doon 
Woh raat tujhay yaad dila doon to rulaa doon 

KAb samna kar paye ga tu meri nigah ka 
Chehray se teray zulf hata doon to rulaa doon 

Ae jatay huye shakhs tera hosla kya hai 
Surkhi si jo aankhon main barha doon to rulaa doon 

Do ashk bhula detay hain khud se kiye paimaan 
Ik baar agar haath barha doon to rulaa doon 

Paishaani pe ab tak hai teray lams ka par tao
YEh shamma achanak jo bujha doon to rulaa doon 

Ae meray dushman , Ae meray sang sifat dil 
Ehsaas jo tujh ko bhi dila doon to rulaa doon

Jo waqat baaqi hai ik shaam main guzar jaye


Jo waqat baaqi hai ik shaam main guzar jaye 
Main zehar itna piyoon sara shaher mar jaye 

Udaasiyon ka woh taizab hai meray funn main 
MAin shiar likhon tera husan na bikhar jaye 

Andehri raat main jalnay ko dil tarasta hai 
Kabhi to chaand zara dair ko utar jaye

Meray qalam ka wajood itna khoobsurat ho 
Ameer-e-shaher meri zindagi se dar jaye 

Mujhay mitanay ki dhun main kahan woh shakhs 
Apnay hi honay se na mukar jaye

Main kaisay bhula doon woh din


Main kaisay bhula doon woh din 
JAb pehli baar main ne tumhari awaz suni thi 
Us waqat se le kar aaj talak 
Meri dharkano main tum basi ho 

Main kaisay bhula doon woh din 
Jab main ne tumhara naam suna tha 
Meri zubaan ne qasam uthaai thi 
Keh tumharay naam kay siwa
Kisi ka naam na loon ga 

MAin kaisay bhula doon woh din 
Jab tumharay wajood ki khushboo paa kar 
Meri her saans mehak uth'ti thi 
US aik din ne meri zindagi , meray halaat 
meray din raat badal kar rakh diye 

MAin kaisay bhula doon woh din

Meri jaan aa meray paas zara sham kay baad


Meri jaan aa meray paas zara sham kay baad 
Mil kay maangain gay mohabbat ki dua shaam kay baad 

Jin ki taqdeer main khwaab nahin neend nahin 
Orh letay hain woh sitaron ki rida shaam kay baad

Aao mil baith kay kuch waqat guzarain jana 
Main sochon tujhay tu apni suna shaam kay baad

Tum mujhay chor gaya shaam se pehlay pehlay 
Yeh na poocho mera kya haal hua shaam kay baad 

Tum yahan thay to her ik shaam saji rehti thi 
Ab to lagta hai raat hoti hi nahin shaam kay baad
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...