Apr 16, 2016

Main tumhara maqrooz nahin hoon


Main tumhara maqrooz nahin hoon 
Aur na tumhara paband hoon 
Mohabbat karnay ka matlab 
Yeh nahin keh insan qaid ho kar reh jaye 
Mohabbat azadi ka naam 
Rooh ki azadi ka naam  
Zameer ki azadi ka naam  
Fitrat ki azadi ka naam  
Main tumhari kisi baat ko hukam ka darja doon 
To yeh meri neki hai 
Aur na doon to mera insaaf 
Tumhein chahiye tha keh ussay samait rakho 
Mehfooz aur malfoof 
Bikhraa kay urra detay ho aur chahtay ho mehdood rahon 
Aik dar band kar kay chahtay ho masdood rahoon 
Kitnay pagal ho 
Jao pehlay kisi se mohabbat karo 

Juz ishq kahin sacha relation nahin koi


Juz ishq kahin sacha relation nahin koi 
Chahat se bari Justification nahin koi 

Yeh dard mila hai jo teray payar main mujh ko 
Yeh kaar-e-musalsal hai Vacation nahin koi 

Hum bikhri hui daar prindon ki hain yaaro 
Hum log to ik bheer hain Nation nahin koi 

Yeh shaher sitam cash sitan khaiz hai yaro 
Is shaher main zaalim ki Nagation nahin koi 

Her shakhs bana phirta hai sacchai ka otaar 
Aur is pe sitam Verification nahin koi 

Hai saal'girha aaj judai ki magar kiyon 
Ae chasham-e-karam Celebration nahin koi 

Ik baar jo chal parta hai rukta nahin Farhat 
Is raah-e-mohabbat main Station nahin koi

Isi se hota hai zaahir jo haal dard ka hai


Isi se hota hai zaahir jo haal dard ka hai 
Sabhi ko koi na koi wabaal dard ka hai 

Sehar siskatay huye aasman se utri 
To dil ne jaan liya yeh bhi saal dard ka hai 

Ab is kay baad koi raabta nahin rakhna 
Yeh baat teh hui lakin sawal dard ka hai 

Yeh dil , yeh ujjri hui chasham-e-nam , yeh tanhai 
Hamaray paas to jo bhi hai maal dard ka hai 

Yeh jhaank leti hai dil se jo doosray dil main 
Meri nigah main sara kamal dard ka hai 

Aseer hai meri shaakh naseeb patt jhar main 
Meray prinda-e-dil par bhi jaal dard ka hai 

Badal gaye meray halaat dil to kya ho ga 
Yeh aisi baat hai jis main zawal dard ka hai 

Dilon pe zinda tha dil hi nahin rahay hain yahan 
Ab aisay shaher main jeena mohaal dard ka hai

Jamood torti aankhein , sakoot tortay lab 
Yeh naak naqsha yeh sab khad-o-khaal dard ka hai 

Suna hai teray nagar jaa basa hai be'chara 
Sunao kaisa wahan haal chaal dard ka hai 

Wagarna khaar-o-khizan kay siwa kuch bhi nahin 
Bas ik phool meri daal daal dard ka hai 

Ukharti jati hai dewana waar Ae'riyon se 
Zameen-e-jaan pe hamari dhamaal dard ka hai 

Faqeer baithay huye hain bhout sakoon se hum 
Teri judai ki kutiya hai haal dard ka hai 

Keh hum ne kis kay liye jaan azab main daali 
Hamein to aaj bhi khud se malaal dard ka hai  

Hamaray seenay main dil ki jaga pe pathar hai 
Isi liye to yahan aisa kaal dard ka hai 

Tumhari chah ne dhoondi thi meri abadi 
Yeh ghaao seenay ki basti main khaal dard ka hai 

Yeh ishq hai issay temaar'dariyan kaisi 
Issay na pooch yeh boorha nidhaal dard ka hai 

Hum us ko dekhtay jatay hain , rotay jatay hain 
Yeh sehan-e-shab main para hai jo thaal dard ka hai 

Na tum main koi sukh ki baat hai na mujh main hai 
Tumhara aur mera milna wisaal dard ka hai 

Abhi kahin se karri koi bhi nahin tooti 
Abhi to silsala sara ba'haal dard ka hai 

Meri taraf se guzar ka khayal rehnay do 
Yeh raasta bhi bhout pai'maal dard ka hai 

Dil-o-nazar to rahein gay sakoon main lakin 
Shab-e-firaaq mujhay ehtimaal dard ka hai 

Kisi ka dard ho apna samjhnay lagtay hain 
Hamaray paas yahi kuch maal dard ka hai 

Yahin kahin meray andar koi tarapta hai 
Yahin kahin pe koi yar'ghamaal dard ka hai 

Isi liye to hamein ajz ka qareena hai 
Hamari zaat main jaah-o-jalaal dard ka hai 

Hai maar rakhnay kay dar pe teri maseehai 
Jo dora hai mann main ghazaal dard ka hai 

Wahin kahin kisi ghaati main tera hijar bhi hai 
Meray lahu se jahan itisaal dard ka hai 

Nafs nafs pe paray aablon se lagta hai 
Na janay rooh main kab se ubaal dard ka hai 

Yahi to farq hai in main aur aap main Farhat 
Kisi ko apna kisi ko khayal dard ka hai 

Kisi ne poocha keh farhat bhout haseen ho tum 
To muskura kay kaha sab jamaal dard ka hai 

Adhoora pan


Adhoora pan 

Reh jata hai her baar sitara ya koi chand  
Apni to koi raat mukamal nahin hoti

Husan-o-jamal kay bhi zamanay nahin rahay


Husan-o-jamal kay bhi zamanay nahin rahay 
Aankhon main us kay khawab sohanay nahin rahay 

Milnay ko aa hi jata hai her chand roz baad 
Lagta hai us kay paas bahanay nahin rahay 

Larzish hai haath main to nazar bhi hai dhundli 
Pehlay se ab woh dil kay nishanay nahin rahay 

Uthti nahin hain shouq-o-tajas'sus kay ba'wajood
Aankhon kay kitnay kaam puranay nahin rahay 

Kamray se bhar gaye hain , masail ki gard se
Dil main teray khayal kay khanay nahin rahay

Charon janib phail gaya hai ik rasta ik gham


Charon janib phail gaya hai 
ik rasta ik gham 
Jaisay koi dheeray dheeray
Kheench raha ho dam 

Charon janib ......

Jahan bhi jaon saath main tera rasta bhi aa jaye 
Jaisay naari gutt lehraa'ey ya nagan bal khaye 
Youn bhi na koi dil walon kay tann mann main bas jaye 

Charon janib ......

Dil se teray darwaze tak teri aas bichi hai 
Jahan jahan tak nazrein jayein peeli ghaas bichi hai 
Saath main ik rasta hai jis par teri baas bichi hai 

Charon janibphail gaya hai .....

Aankhon main kuch aan basa hai mujh ko aisa laagay
Ya koi khawaish bal khaye ya koi sapna jaagay 
Ya tera rasta hai janaa dil kay aagay aagay 

Charon janib phail gaya hai 
ik rasta ik gham 
Jaisay ko dheeray dheeray 
kheench raha ho dam 


Zindagi kay ujaar raston par


Zindagi kay ujaar raston par 
Wehshaton ki ajara dari hai 

Zindagi aap ki sahi lakin 
Mout bhi kon si hamari hai 

Waqat aik khel tha keh jo shayed 
Tum ne jeeta hai hum ne haara hai 

Sabar ki aahani faseelon se
Dard takraa kay paash paash hua 

Yeh meri dharkano ki lay kari 
Be'sada mousamon ki bakshish hai 

Kon janay qabool hota ho 
Bandagi ik tarah se juwa hai 

Bichar gaya tha jo be'chainiyon kay mousam main


Bichar gaya tha jo be'chainiyon kay mousam main 
Ussay kaho keh zamanay ussay bulatay hain 

Main apnay aap ko kaisay dukhon se door karon 
Meri to khushiyan bhi wabasta meray gahm se hain 

Mujhay gunahon ka ehsaas bhi ghamon se hai 
Meray sawab bhi roshan meray alam se hain 

Ajab moamla Farhat  meray hawas ka hai 
Udas ho kay bhi main dil kay saath saath raha 

Hawa urra kay mujhay jis taraf bhi lay jaye 
Teray khayal se bichra hua prinda hoon 

Tamam shaher bharra hai ajeeb sarkon se
Jo ghum ghumaa kay kisi haadsay pe lati hain 

Qadam qadam pe mera samna inhi se hai 
Main apni zaat ki jin mushkalon se khaif hoon 

Jism taptay pathron par rooh sehraon main thi


Jism taptay pathron par rooh sehraon main thi 
Phir bhi teri yaad aisi thi keh jo chhaon main thi 

Aik pur haibat sakoot mustaqil aankhon main tha 
Aik tughyani musal'sal dil kay daryaon main thi 

Hum hi ho guzray hain khud apnay shaher ajnabi 
Woh jahan bhi thi wahan apnay shanasaon main thi 

Ik sada si barf ban kar gir rahi thi jism par 
Aik zanjeer hawa thi jo meray paon main thi

Din musibat kay tal gaye hotay


Din musibat kay tal gaye hotay 
Apna raasta badal gaye hotay 

Dil ki wehshat ne barh kay ghair liya 
Warna aagay nikal gaye hotay 

Teray gham ne qadam ukhair diye 
Warna kab kay sambhal gaye hotay 

Tum ne logon ko kiyon tawajo di 
Apnay hi aap jal gaye hotay 

Shukar hai hum nahin hain din warna 
Shaam kay waqat dhal gaye hotay
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...