Jul 9, 2016

Kab us ka wisaal chahiye tha


Kab us ka wisaal chahiye tha 
Bas ik khayal chahiye tha 

Kab dil ko jo ab se gharz thi 
Honton ko sawal chahiye tha 

Shouq ik nafs tha aur wafa ko 
Paas-e-mah-o-saal chahiye tha 

Aik chehra sada tha jo hum ko
Be'misal-o-misaal chahiye tha 

Ik karb main zaat-o-zindagi hain 
Mumkin ko mohaal chahiye tha 

Main kya hoon bas ik malaal-e-mazi 
Us shakhs ko haal chahiye tha 

Hum tum jo bichar gaye hain hum ko 
Kuch din to malaal chahiye tha 


Hum tera hijar mana'nay kay liye niklay hain


Hum tera hijar mana'nay kay liye niklay hain 
Shaher main aag laganay kay liye niklay hain 

Shaher koochon main karo hashar bar'pa aaj keh hum 
Us kay waday ko bhulanay kay liye niklay hain 

Hum se jo rooth gaya hai woh bhout hai masoom 
Hum to aur'on ko mana'nay kay liye niklay hain 

Shaher main shor hai woh youn keh gumaan kay safri 
Apnay hi aap main aanay kay liye niklay hain 

Woh jo thay shaher-e-ta'hiyur teray pur fun ma'maar 
Wohi pur'fun tujhay dhaanay kay liye niklay hain 

Rah'guzar main teri qaleen bichanay walay 
Khoon ka farsh bichanay kay liye niklay hain 

Hamein karna hai Khuda'wand ki imdaad so hum 
Dair-o-kaaba ko laraanay kay liye niklay hain 

Sar-e-shab ik nayi tamseel bar'pa honi hai 
Aur hum parda uthanay kay liye niklay hain 

Hamein sai'raab nayi nasal ko karna hai so hum 
Khoon main apnay nahanay kay liye niklay hain 

Hum kahin kay bhi nahin par yeh hai ru'daad apni 
Hum kahin se bhi na janay kay liye niklay hain  

Ik gumaan ka haal hai , aur faqat gumaan main hai


Ik gumaan ka haal hai , aur faqat gumaan main hai
Kis ne azab-e-jaan saha , kon azab-e-jaan main hai 

Lamha-ba-lamha dam-ba-dam aan-ba-aan rm-ba-rm 
Main bhi guzishta'gaan main hoon , tu bhi gazashta'gaan main hai 

Aadam-o-zaat-e-kibriya  karb main hain juda juda 
Kya kahoon un ka maajra jo bhi hai imtihaan main hai 

Shaakh se urr gaya prind hai dil-e-shaam-e-dard mand 
Sehan main hai malaal sa huzan sa samaan main hai 

Khud bhi be'amaan hoon main , tujh main bhi be'amaan hoon main 
Kon sahay ga us ka gham woh jo meri amaan main hai 

Kaisa hisaab kya hisaab halat-e-haal hai azaab 
Zakham nafs nafs main hai zehar zaman zaman main hai 

Us ka firaaq bhi ziyaan , us ka wisaal bhi ziyaan 
Aik ajeeb kash'ma'kash halqa-e-be'dilaan main hai 

Bood-o-na'mood ka hisaab main nahin jaanta magar 
Saray wajood ki "Nahin" meray adm ki "Haan" main hai 

Jun 25, 2016

Kya yaqeen aur kya gumaan chup reh


Kya yaqeen aur kya gumaan chup reh 
Shaam ka waqat hai miyan , chup reh 

Ho gaya qissa-e-wajood tamaam 
Hai ab aaghaz-e-daastan , chup reh 

Main to pehlay hi jaa chuka hoon kahin 
Tu bhi jaana nahin yaahan , chup reh 

Tu ab aaya hai haal main apnay 
Jab zameen hai na aasman , chup reh 

Tu jahan tha , jahan jahan tha kabhi 
Tu bhi ab to nahin wahan , chup reh 

Zikar chaira Khuda ka phir tu ne 
Yahan hai insaan bhi rai'gaan , chup reh 

Sara soda nikaal de sar se 
Ab nahin koi aastaan , chup reh 

Ehar man ho , Khuda ho , ya aadam 
Ho chuka sab ka imtihaan , chup reh 

Darmiyani hi ab sabhi kuch hai 
Tu nahin apnay darmiyan , chup reh 

Ab koi baat teri baat nahin 
Nahin teri , teri zuban , chup reh 

Hai yahan zikar haal-e-mo'jooda 
Tu hai ab az-gaz'shat'gaan , chup reh 

Hijar ki jaan kani tamaam hui 
Dil hua Jon-e-be'imaan , chup reh 

Jun 14, 2016

Barson kay baad daikha , ik shakhs dil'ruba sa




Barson kay baad daikha , ik shakhs dil'ruba sa
Ab zehan main nahin hai par naam tha bhala sa

Aabru khichay khichay se aankhein jhuki jhuki si 
Baatein ruki ruki si lehja thaka thaka sa 

Alfaaz thay keh jugnu awaz kay safar main 
Ban jaye junglon main jis tarah raasta sa

Khawabon main khawab us kay yaadon main yaad us ki 
Neendon main ghull gaya ho jaisay keh rat'jaga sa

Pehlay bhi log aaye kitnay hi zindagi main 
Woh her tarah se lakin auron se juda sa

Agli mohabbaton ne woh nu'muradiyan dein 
Taza rafaqaton se dil tha dara dara sa

Kuch yeh keh muddaton se hum bhi nahin thay roye 
Kuch zehar main bujha tha ehbaab ka dilaasa 

Phir youn hua keh sawan aakhon main aa basay thay 
Phir youn hua keh jaisay dil bhi tha aabla sa

Ab sach kahein to yaaro hum ko khabar nahin thi 
Ban jaye ga qayamat ik waqiya zara sa 

Taiwar thay be'rukhi kay andaz-e-dosti kay 
Woh ajnabi tha lakin lagta tha aashna sa 

Hum dast thay keh dariya hum zehar thay keh amrat 
Na'haq tha Zoham hum ko jab woh nahin tha payasa

Hum ne bhi us ko daikha kal shaam ita'faaqan 
Apna bhi haal hai ab logo faraz ka sa  

Aazard'gaan-e-shaher ka jaisa bhi haal ho


Aazard'gaan-e-shaher ka jaisa bhi haal ho
Aye yaar-e-khush diyaar  tujhay kiyon malaal ho

Ab baat dosti ki nahin hoslay ki hai
Laazim nahin keh tu bhi mera hum'khayal ho

Khud mera haath jab meri bar'badiyon main tha
Teri jabeen pe kiyon arq-e-in'fa'aal ho

Phir tu ne chairr di hai gayi sama'aton ki baat
Woh guftagoo na kar keh tujhay bhi malaal ho

Meri zarooraton se ziyada karam na kar
Aisa salook kar keh meray hasb-e-haal ho

Toota to hoon magar abhi bikhra nahin Faraz
Meray badan pe jaisay shakiston ka jaal ho


Jun 13, 2016

Sitam gari ka her andaz meharmana laga


Sitam gari ka her andaz meharmana laga 
Main kya karon mera dushman mujhay bura na laga 

Her aik ko zoham tha kis kis ko na'khuda kehtay 
Bhala hua keh safeena kinaray ja na laga 

Meray sukhan ka qareena dao gaya mujh ko 
Keh jis ko haal sunaya ussay fasana laga 

Baroon-e-dar na koi roshni na saya tha 
Sabhi fasaad mujhay androon-e-khana laga 


Main thak gaya tha bhout pay-ba-pay uraano se
Jabhi to daam bhi is baar aashiyana laga 

Sitam kay ehad main , main bhi shareek hoon jaisay 
Mera sakoot mujhay sakhat mujar'mana laga 

Woh laakh zood faramosh ho Faraz magar 
Ussay bhi mujh ko bhulanay main ik zamana laga 




Sehar kay suraj main ro raha hoon


Sehar kay suraj 

Sehar kay suraj 
Main ro raha hoon 
Keh mera mashriq lahu lahu hai 
Woh mera mashriq 
Jo mera bazu hai mera dil hai meri namu hai 
Jo meray atraaf ka nishan 
Meri aabru hai 
Lahu lahu hai 
Sehar kay suraj 
Main nisf tareek 
Nisf roshan hoon 
Kya hua hai 
Tujhay ghunn lag gaya 
Keh mera wajood tukron main batt gaya hai 
Teri shua'on ka noor andheron main ghatt gaya hai 
Keh aaj her rishta-e-rafaqat hi katt gaya hai 

Sehar kay suraj 
Main apnay paikar ki nisf tasveer ho gaya hoon 
Main aap hi aaj apni tehqeer ho gaya hoon 
Main ism-e-sagheer ho gaya hoon 
Main apna aadha badan liye kis taraf ko jaon 
Kissay dikhaon 
Yeh sheesha-e-jaan ki kirchiyan 
Apnay khawab rezay kahan chupa'on 
Main apni wahiddat kahan se laon 

Sehar kay suraj 
Sitam ki aandhi rukay 
To main yeh ujaar aankhein jhapak sakon ga 
Sis'sak sakon ga 
Lahu ki baarish thamay 
To main is dukhi badan ko thapak sakon ga 
Abhi to main jaan'kani kay dohray azaab main hoon 
Jo bujh chukay woh chragh daikhon 

Keh apnay maathay ka dagh daikhon 


Sehar kay suraj 
Meri nazar main to in rafeeqon kay qaaflay hain 
Jo ghar se niklay thay sar uthaye qadam jamaye 
Jo muntazir thay 
Keh rizam gaah-e-talab bulaye 
Jo aazmaish ki her gharri main 
Yaqeen ki mish'alein jalaye 
Watan ki na'moos kay liye 
Be'shumaar bazu ilam uthaye  
Rawan huye thay yeh ehad kar kay 
Keh in ki jaanein rahein , keh jayein 
Magar wafa par na harf aaye 

Sehar kay suraj 
Meri nazar main in hi rafeeqon kay qaaflay hain 
Keh jin ka pindaar reza reza 
Keh jin kay maathay arq arq hain 
Jo pa'zanjeer 
Munfa'ilgardanein jhukaye 
Adu kay narghay main 
In andheron ki sar'zameen ki taraf rawan hain 
Jahan haqarat kay ta'an 
Nafrat kay sang 
Ruswaiyon kay bazar 
Muntazir hain 

Sehar kay suraj 
Yeh main na daikhon 
Yeh tu na daikhay 
Yeh jaan'nisaron , shaheed yaron ka cham'chamata lahu na daikhay 
Yeh main na daikhon 
Yeh tu na daikhay 

Her tamashai faqat sahil se manzir daikhta


Her tamashai faqat sahil se manzir daikhta 
Kon dariya ko ulat'ta kon gohar daikhta 

Woh to duniya ko meri dewangi khush aa gayi 
Teray hathon mian wagarna pehla pathar daikhta 

Aankh main aansu jarray thay par sada tujh ko na di 
Is tawaqo par keh shayed tu palat kar daikhta 

Meri qismat ki lakeerain meray hathon main na thein 
Teray maathay par koi mera muqaddar daikhta 

Zindagi phaili hui thi shaam-e-hijran ki tarah 
Kis ko itna hosla tha kon jee kar daikhta 

Doobnay wala tha aur sahil pe chehron ka hajoom 
Pal ki mohlat thi main kis ko aankh bhar kar daikhta 

Tu bhi dil ko ik lahu ki boond samjha hai Faraz 
Aankh agar hoti to qatray main samandar daikhta  

Tujh se bichar kay hum bhi muqaddar kay ho gaye



Tujh se bichar kay hum bhi muqaddar kay ho gaye 
Phir jo bhi dar mila hai , usi dar kay ho gaye

Phir youn hua keh ghair ko dil se laga liya 
Andar woh nafratein thein keh baahir kay ho agye 

Kya log thay keh jaan se barh kar aziz thay 
Ab dil se mehav naam bhi aksar ho gaye 

Aye yaad-e-yaar tujh se karein kya shikayatein 
Ae dard-e-hijar hum bhi to pathar kay ho gaye 

Samjha rahay thay mujh ko sabhi naas'haan-e-shaher 
Phir rafta rafta khud usi kaafir kay ho gaye 

Ab kay na intizaar karein chara'gar ka hum
Ab kay gaye to ku-e-sitam'gar kay ho gaye 

Rotay ho ik jazeerah-e-jaan ko Faraz tum 
Daikho to kitnay shaher samandar kay ho gaye   
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...