Jul 10, 2014

Itna bhi hum se naraz na hua kar


Itna bhi hum se naraz na hua kar 

Bad'naseeb zaroor hain par be'wafa nahin

Kisi aur ko meray haal se na gharz hai na koi wasta


Kisi aur ko meray haal se na gharz hai na koi wasta 

Main bikhar gaya hoon smait lo, main bigar gaya hoon sanwaar do

Meri zaat zarah-e-be'nishaan


Meri zaat zarah-e-be'nishaan 
Main woh kis tarah se karoon biyaan 
Jo kiye gaye hain sitam yahan 
Sunay kon meri yeh daastaan
Koi hamnasheen hai na raaz'daan 
Jo tha jhoot woh bana sach yahan 
Nahin kholi magar main ne zubaan 
Yeh akela pan yeh udasiyaan 
Meri zindagi ki hain tarjumaan 

Meri zaat zarah-e-be'nishaan 

Kabhi sooni subha main dhoondna 
Kabhi ujri shaam ko dekhna
Kabhi bheegi palkon se jaagna 
KAbhi beetay lamhon ko sochna 
MAgar ik pal hai umeed ka 
Hai mujhe khuda ka jo asaraa
Nahin main ne koi gila kiya 
Na hi main ne di hain dohaiyaan

Meri zaat zarah-e-be'nishaan 

Main batayon kiya mujhe kiya milay
Mujhe sabar hi ka sila milay 
Kisi yaad hi ki rida milay
Kisi dard hi ka sila milay 
Kisi gham ki dil main jaga milay 
Jo mera hai woh mujhe aa milay 
Rahay shaad youn hi mera jahan 
Keh yaqeen main badlay mera gumaan 

Meri zaat zarah-e-be'nishaan





Kaisay in lamhon main teray paas aayon


Kaisay in lamhon main teray paas aayon 

Sagar gehra , raat andheri, main tanha

Pathar hai teray haath main ya koi phool hai


Pathar hai teray haath main ya koi phool hai 
JAb tu qabool hai tera sab kuch qabool hai 

Phir tu ne de diya hai naya faasla mujhe
Sar pe abhi to pichli musaafat ki dhool hai 

Tu dil pe bojh le ke mulaqaat ko na aa 
Is juram main to teri judai qabool hai 

Tu yaar hai to itni karri gutagoo na kar 
Tera asool hai to mera bhi asool hai 

Lafzon ki abroo ko ganwao na youn "adeem"
Jo maanta nahin ussay kehna fazool hai

Sookhay hont sulagti aankhain , sarsoon jaisa rang


Sookhay hont sulagti aankhain , sarsoon jaisa rang 
Barson baad woh dekh ke mujh ko dekh ke reh jaye ga dang

Maazi ka woh lamha mujh ko aaj bhi khoon rulaye ga 
Ukhri ukhri baatain us ki ghairon jaisay dhang 

Dil ko to pehlay hi dard ki deemak chaat gayi thi 
Rooh ko bhi ab khaata jaye tanhai ka zang 

Inhi ke sadqay ya'rab meri mushkil kar asaan 
Meray jaisay aur bhi hain jo dil ke haathon tang 

Sab kuch de ke hans di aur phir kehnay lagi taqdeer 
Kabhi na ho gi teray dil ki poori aik umang 

Kiyon na apni chooriyon ko kirchi kirchi kar daloon 
Dekhi aaj aik sundar naari piyaaray piya ke sang 

Shabnam koi tum se haaray , jeet pe maan na karna 
Jeet woh ho gi jab jeeton gi apnay aap se jung

Ab karb ke toofaan se guzarna hi paray ga


Ab karb ke toofaan se guzarna hi paray ga 
Suraj ko samandar main utarna hi paray ga 

Fitrat ke taqazay kabhi badlay nahin jaatay 
Kushboo hai agar woh to bikharna hi paray ga 

Parti hai tp par jaye shikan us ki jabeen par 
Sachai ka izhaar to karna hi paray ga 

Her shakhs ko ayein gay nazar rang sehar ke 
Khrasheed ki kirno ko bikharna hi paray ga 

Main soch raha hoon yeh sar shaher-e-nigaaran 
Yeh us ki gali hai to tehrna hi paray ga

Ab shaana-e-tadbeer hai hathon main hamaray 
Halaat ki zulfon ko sanwarna hi paray ga 

Ik umar se be,noor hai yeh mehfil-e-hasti 
"Ejaaz" koi rang to bharna hi paray ga 
 

Chragh samnay wale makaan main bhi na tha


Chragh samnay wale makaan main bhi na tha 
Yeh saneha meray weham-o-gumaan main bhi na tha 

Jo pehlay roz se do aangano main tha hayal 
Woh fasala to zameen-o-asmaan main bhi na tha 

Yeh gham nahin hai keh hum dono aik ho na sake
Yeh ranj hai keh koi darmiyaan main bhi na tha 

Hawa na janay kahan le gayi  woh teer keh jo 
Nishanay par bhi na tha aur kamaan main bhi na tha 

"Jamaal" pehli shanasai ka woh ik lamha 
Ussay bhi yaad na tha meray dehaan main bhi na tha

Door se aye thay saaqi sun ke may'khanay ko hum



Door se aye thay saaqi sun ke may'khanay ko hum 
Bas tarastay hi chalay afsoos paimaanay ko hum 

May bhi hai meena bhi hai sagar bhi hai saaqi nahin 
Dil main ata hai laga dain aag may'khanay ko hum 

Hum ko phansana tha qafas  main kiya gila siyaad se 
Bas tarastay hi rahay hain aab aur daanay ko hum 

Taaq-e-abroo main sanam ke , kiya khudai reh gayi 
Ab to poojain gay isi kaafar kay shaikhanay ko hum 

Baagh main lagta nahin sehra se ghabrata hai dil 
Ab kahan le jaa ke baithain aisay dewanay ko hum 

Kiya hui taqseer hum se to bata de Ae "Nazir"
Ta keh shaad-e-marg samjhain aisay mar jaane ko hum

Jahan tera naqsh-e-qadam dekhtay hain


Jahan tera naqsh-e-qadam dekhtay hain 
Khiyabaan khiyabaan arm dekhtay hain 

Dil aashafta  gaan khaal-e-kanj-e-dehan ke 
Saweeda main sair-e-adm dekhtay hain 

Teray saroo-e-qamat se ik qad-e-adam
Qayamat ke fitnay ko kam dekhtay hain 

Tamasha kar Ae mehv-e-aaina daari
Tujhe kis tamana se hum dekhtay hain 

Suraag-e-tuf-e-naal-e-daagh-e-dil se 
Keh shab ru ka naqsh-e-qadam dekhtay hain 

Bana kar faqeeron ka hum bhais ghalib 
Tamashaye Ehl-e-karam dekhtay hain

Poet : Mirz Ghalib
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...