Feb 25, 2016

Mata-e-kosar-o-zam zam kay paimanay teri aankhein


Mata-e-kosar-o-zam zam kay paimanay teri aankhein 
Farishton ko bana deti hain dewane teri aankhein 

Jahan rang-o-bu uljha hau hai in kay doron main 
Lagi hain ka'kal-e-taqdeer suljhanay teri aankhein 

Isharon se dilon ko chairr kar iqraar karti hain 
Luta'ti hain bahar-e-no kay nazranay teri aankhein 

Woh dewanay zama'may-e-lala-o-gul thaam letay hain 
Jinhein mansoob kar deti hain veeranay teri aankhein 

Shagufon ko shararon ka machalta roop deti hain
Haqeeqat ko bana deti hain fasanay teri aankhein 


Gadaa qana'at ko bechtay hain


Gadaa qana'at ko bechtay hain 
Khuda ki doulat ko bechtay hain 

Yeh husn walay qadam qadam par 
Qaraar-o-rahat ko bechtay hain 

Ajeeb hain baagh'ban chaman kay 
Gulon ki nikhat ko bechtay hain 

Watan main aisay bhi reh'numa hai 
May qayadat ko bechtay hain 

Yeh wa'iz-o-parsa Khudaya !
Teri fazeelat ko bechtay hain 

Khird ka letay hain naam "Saghar"
Junoon ki azmat ko bechtay hain

Her marhala-e-shouq se lehraa kay guzar jaa


Her marhala-e-shouq se lehraa kay guzar jaa
Asaar-e-tala'tum hoon to bal kha kay guzar jaa

Behki hui makh'moor ghatta'on ki awaz sun !
Firdos ki tadbeer ko behlaa kay guzar jaa

Mayoos hain ehsaas ki uljhi hui raahein 
Payal dil-e-majboor ki chhan'ka kay guzar jaa

Yazdaan-o-ehar mann ki hikayat kay badlay 
Insaan ki riwayaat ko dohraa kay guzar jaa

Kehti hain tujhay meh'kada-e-waqat ki raahein 
Bigri hui taqdeer ko suljha kay guzar jaa

Bujhti hi nahin tishnagi-e-dil kisi surat 
Ae abar-e-karam aag hi barsaa kay guzar jaa

Kaantay jo lagein haath to kuch gham nahin "Saghar"
Kaliyon ko her gaam pe bikhraa kay guzar jaa

Haadsay kya kya tumhari be'rukhi se ho gaye


Haadsay kya kya tumhari be'rukhi se ho gaye 
Sari duniya kay liye hum ajnabi se ho gaye 

Gardish-e-doran , zamanay ki nazar , aankhon ki neend 
Kitnay dushman aik rasam-e-dosti se ho gaye 

Kuch tumharay gaiso'on ki bar'hami ne kar diye 
Kuch andheray meray ghar main roshni se ho gaye 

Youn to hum Aagaah thay siyaad ki tadbeer se
Hum aseer-e-daam-e-gul apni khushi se ho gaye 

Banda parwar ! khul gaya hai Aastano ka bharram 
Aashna kuch log raaz-e-be'khudi se ho gaye 

Ab kahan ae dost ! chasham-e-muntazir ki aabru 
Ab to un kay ehad-o-paymaan her kisi se ho gaye 

Her qadam "Saghar" ! nazar aanay lagi hain manzilein 
Marhalay kuch teh meri awargi se ho gaye

Ru'daad-e-mohabbat kya kehiye , kuch yaad rahi kuch bhool gaye


Ru'daad-e-mohabbat kya kehiye , kuch yaad rahi kuch bhool gaye 
Do din mussarat kya kehiye , kuch yaad rahi kuch bhool gaye 

Jab jaam diya saqi ne  , jab dour chala tha mehfil main 
Ik hosh ki sa'at kya kehiye , kuch yaad rahi kuch bhool gaye 

Ab waqat kay nazuk honton par majrooh taranum raqsan hai 
Be'daad-e-mash'eeat kya kehiye , kuch yaad rahi kuch bhool gaye 

Ehsaas kay meh'khanay main kahan ab fikar-o-nazar ki qandeelain 
Aalaam ki shiddat kya kehiye , kuch yaad rahi kuch bhool gaye 

Kuch haal kay andhay sathi thay , kuch mazi kay ayaar sajan 
Ehbaab ki chahat kya kehiye , kuch yaad rahi kuch bhool gaye 

Kaanton se bharra hai daman , shabnam se sulagti hain palkein 
Phoolon ki sakhawat kya kehiye , kuch yaad rahi kuch bhool gaye 

Ab apni haqeeqat bhi "Saghar" be'rabt kahani lagti hai 
Duniya ki haqeeqat kya kehiye , kuch yaad rahi kuch bhool gaye

Ae dost ! yahan veerano ko gulzaar samjhna parta hai


Ae dost ! yahan veerano ko gulzaar samjhna parta hai 
Kuch oonchi neechi raahon ko hum'waar samjhna parta hai 

Ehsaas kay ultay paaon se jab chaltay chaltay thak jayein 
To raah'guzar ko ae rahi dewar samjhna parta hai 

Majrooh ma'eeshat kay haathon insan ka ab yeh aalam hai 
Her zakham laganay walay ko gham'khwar samjhna parta hai 

Jab shahi qabaon ki khatar kuch jism bar'hana ho jayein 
Us waqay ghulamon ko "Saghar" mukhtaar samjhna parta hai

Meri nigah-e-shouq se her gul hai devta


Meri nigah-e-shouq se her gul hai devta 

Main ishq ka Khuda hoon mujhay yaad keejiye

Bhuli hui sada hoon mujhay yaad keejiye


Bhuli hui sada hoon mujhay yaad keejiye 
Tum se kahin mila hoon mujhay yaad keejiye 

Manzil nahin hoon , khizer nahin , raah'zan nahin 
Manzil ka raasta hoon mujhay yaad keejiye 

Meri nigah-e-shouq se her gul hai devta 
Main ishq ka Khuda hoon mujhay yaad keejiye 

Naghmon ki ibtida thi kabhi meray naam se
Ashkon ki intihaa hoon mujhay yaad keejiye 

Gum sum kharri hain dono jahan ki haqeeqatein 
Main in se keh raha hoon mujhay yaad keejiye 

"Saghar" kisi kay Husan-e-taghafal shiyaar ki 
Behki hui adaa hoon mujhay yaad keejiye

Her shay hai pur'malaal bari tez dhoop hai


Her shay hai pur'malaal bari tez dhoop hai 
Her lab pe hai sawal bari tez dhoop hai 

Chakraa kay gir na jaon main is tez dhoop main 
Mujh ko zara sambhaal bari tez dhoop hai 

De hukam badalon ko khayaban-e-nash-e-man hoon 
Jaam-o-sabu uchaal bari tez dhoop hai 

Mumkin hai abar-e-rehmat-e-yazdan baras paray 
Zulfon ki chaaon daal bari tez dhoop hai 

Ab shaher-e-aarzoo main woh ra'naiyan kahan 
Hain gul'kaday nidhaal bari tez dhoop hai 

Samjhi hai jis ko saaya-e-umeed aqal-e-khaam 
"Saghar" ka hai khayal bari tez dhoop hai  

Chot kha kar khud shanas-o-khud'nigar ho jaaiye


Chot kha kar khud shanas-o-khud'nigar ho jaaiye
Kiyon kisi kay ishq main shoreeda-e-sar ho jaaiye

Apnay dil kay daagh bhi lo de uthein to kam nahin 
Apni amnzil kay liye khud rah'bar ho jaaiye

Chor deejiye ! azmat-e-yazdan ki jhooti dastaan 
Aaj insan ki nazar main moh'tabar ho jaaiye

Aap bhi do chaar qatray pee kay meray jaam kay 
Ehal-e-dil , ehal-e-wafa , ehal-e-nazar ho jaaiye

Sirf toofan main yahi bachnay ki tadbeer hai 
Jis taraf mojein umadti hon udher ho jaaiye

Phir zara chalkaiye ! Saghar may dedaar kay 
Phir niqab-e-rukh ulat kar jalwa'gar ho jaaiye
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...