Mar 12, 2016

Mohabbat mustaqil gham hai , Mohabbat gham ka gehwara


Mohabbat mustaqil gham hai , Mohabbat gham ka gehwara 
Jo aansoo rang le aaye wohi daman ka sheh'para 

Jissay arman ka khoon de kar be'naam-e-aarzu seecha 
Khuda janay kahan hai woh jahan-e-zindagi araa

Mera zouq-e-khari'dari hai ik jins-e-garaan maya 
Kabhi phoolon ka shaida'i , kabhi kaanton ka banjara

Jahan munsib Ataa hotay hain be'fikar-o-farasat bhi 
Wahan her justagoo jhooti , wahan her azam na'kara 

Basa auqaat choo leti hai daman kabirai ka 
Tumhari jumbish-e-aabru , meri takhleeq-e-awara 

Na'janay mohtasib kiyon meh'kaday ka naam detay hain 
Jahan kuch aadmi kartay hain apnay dard ka chaara 

Teray gaisoo khayalon ki girift-e-naaz se guzray 
Keh jaisay aik jigi ban main lehraata hai do tara 

Palat aaye hain shayed inqalab-e-deed kay lamhay 
Nazar ki wusaton main  doobta jata hai nazara 

Faqat ik haath main toota hau "Saghar" uthane se 
Larz utha hai ae yazdan ! teri azmat ka meenara

Jazba-e-soz-e-talab ko be'karan kartay chalo


Jazba-e-soz-e-talab ko be'karan kartay chalo 
Zarhay zarhay ko chragh-e-karwan kartay chalo 

Chasham-e-saqi par tabasum-e-meh'kada behka hua 
Aao , qismat ko hareef-e-keh'kishan kartay chalo 

Jin se zinda ho yaqeen-o-Aagahi ki Aabru 
Ishq ki raahon main kuch aisay guman kartay chalo 

Zindagi ko log kehtay hain bara-e-bandagi  !
Zindagi kat jaye gi zikar-e-buttan kartay chalo 

Her nafs ae jeenay walo ! shughal-e-paymana rahay 
Be'khudi ko zindagi ka paas'ban kartay chalo 

Toor par moqoof kiyon ho her taj'jali ki jhalak 
Tootay phootay jhompray jalwa fishan kartay chalo 

Chairr kar "Saghar" kisi kay gaiso'on ki dastaan 
Laal-o-gul ko zara shola zuban kartay chalo 

Koi titli hai na jugno , Aah shaam-e-be'kasi


Koi titli hai na jugno , Aah shaam-e-be'kasi 
Aaj dil main nastran ki shaakh phir chubhnay lagi 

Tu ne kya tora gulistan se wafa ka aik phool
Her kali hai ghair mehram , her shagufa ajnabi 

Be'irada chal raha hoon zindagi ki raah par 
Meray maslik main nahin hai kar-o-bar-e-rahbari 

Jis main kuch insan ki toqeer kay ehkaam thay 
Woh shariyat mah'badon kay zer-e-saya so gayi 

Aa gayein bazar main biknay Khuda ki zamatein 
Jee uthi hain khwaishein aur mar gaya aadmi 

Main sho'aon main pighal jaon meri fitrat nahin 
Woh sitara hoon keh jis ko dhoondti hai roshni 

Aur kiti door hain "Saghar" adm ki manzilein 
Zindagi se pooch loon ga raastay main gar mili 

Feb 27, 2016

Zehar-e-qaatil hai abgeeno main


Zehar-e-qaatil hai abgeeno main 
Saamp paltay hain Aasteeno main 

Chand qatray hain khoon-e-sa'il kay 
Ab sha'inshah  kay khazeeno main 

Khair ho ! Aasman sitaron ki 
Jag'magaye hain daagh seeno main 

Inqalaab-e-hayat kya kehiye 
Aadmi dhal gaye masheeno main 

Meray naghmon ka jee nahin lagta 
Mah paron main , meh jabeeno main 

Jao ! ehal-e-khird ki mehfil main 
Kya karo gay junoon nasheeno main 

Moj-e-sahil ko barh kay choom aayi 
Hum taraptay rahay safeeno main 

Kuch farishton ka naam insaan hai 
Meray ehsaas kay qareeno main 

Ab sha'raron ki fasal hai "Saghar"
Rang ugtay thay jin zameeno main

Waqar-e-anjuman hum se , farogh-e-anjuman hum hain


Waqar-e-anjuman hum se , farogh-e-anjuman hum hain
Sakoot-e-shab se poocho , subha ki pehli kiran , hum hain 

Ham hi si gulistan ki bijliyon ko khaas nisbat hai 
Baharein jaanti hain ronaq-e-sehan-e-chaman , hum hain

Zamanay ko na de ilzaam ae na'waqif-e-manzil ! 
Zamanay ki nazar hum hain , zamanay ka chalan , hum hain 

Qareeb-o-door ki baatein , nazar ka weham hain pyaray 
Yaqeen-e-reh'numa hum se , fasoon-e-rah'zan , hum hain 

Talu-e-aaftab hamaray naam par ho ga 
Woh jin ki khaak kay zarhay hain khursheed-e-watan , hum hain 

Behar surat hamari zaat se hain sil'salay saray 
Junoon ki sadagi hum hain , khir ka baank'pan , hum hain 

Hamaray haath main hai Saghar-e-farda idher dekho !
Idher dekho ! hareef-e-gardish-e-chirkh-e-kohan , hum hain 


Sar-e-maqtal hamein naghmaat ki taleem detay hain


Sar-e-maqtal hamein naghmaat ki taleem detay hain 
Yahan ehal-e-nazar zulmaat ki taleem detay hain 

Yahan kaliyan mehakti hain magar khushbu nahin hoti 
Shagoofay bar'mla  Afaat ki taleem detay hain 

Yahan kuch log aisay bhi hain zar'tabi qabaon main 
Sehar ka naam le kar raat ki taleem detay hain

Jinhein faizaan-e-gulshan hai na irfan-e-baharan hai 
Woh phoolon ko naye jazbaat ki taleem detay hain 

Rah-e-taqdeer us din kay liye kya dhoop aur saaye 
Teray gaiso jinhein halaat ki taleem detay hain 

Hamein zeba nahin deta rah-e-dushwar ka manzir 
Keh sehraon main bhi barsat ki taleem detay hain 

Jahan "saghar" sharab-e-zindagi ik zehar-e-qaatil hai 
Yaqeen walay wahan khad'shaat ki taleem detay hain



Feb 25, 2016

Mata-e-kosar-o-zam zam kay paimanay teri aankhein


Mata-e-kosar-o-zam zam kay paimanay teri aankhein 
Farishton ko bana deti hain dewane teri aankhein 

Jahan rang-o-bu uljha hau hai in kay doron main 
Lagi hain ka'kal-e-taqdeer suljhanay teri aankhein 

Isharon se dilon ko chairr kar iqraar karti hain 
Luta'ti hain bahar-e-no kay nazranay teri aankhein 

Woh dewanay zama'may-e-lala-o-gul thaam letay hain 
Jinhein mansoob kar deti hain veeranay teri aankhein 

Shagufon ko shararon ka machalta roop deti hain
Haqeeqat ko bana deti hain fasanay teri aankhein 


Gadaa qana'at ko bechtay hain


Gadaa qana'at ko bechtay hain 
Khuda ki doulat ko bechtay hain 

Yeh husn walay qadam qadam par 
Qaraar-o-rahat ko bechtay hain 

Ajeeb hain baagh'ban chaman kay 
Gulon ki nikhat ko bechtay hain 

Watan main aisay bhi reh'numa hai 
May qayadat ko bechtay hain 

Yeh wa'iz-o-parsa Khudaya !
Teri fazeelat ko bechtay hain 

Khird ka letay hain naam "Saghar"
Junoon ki azmat ko bechtay hain

Her marhala-e-shouq se lehraa kay guzar jaa


Her marhala-e-shouq se lehraa kay guzar jaa
Asaar-e-tala'tum hoon to bal kha kay guzar jaa

Behki hui makh'moor ghatta'on ki awaz sun !
Firdos ki tadbeer ko behlaa kay guzar jaa

Mayoos hain ehsaas ki uljhi hui raahein 
Payal dil-e-majboor ki chhan'ka kay guzar jaa

Yazdaan-o-ehar mann ki hikayat kay badlay 
Insaan ki riwayaat ko dohraa kay guzar jaa

Kehti hain tujhay meh'kada-e-waqat ki raahein 
Bigri hui taqdeer ko suljha kay guzar jaa

Bujhti hi nahin tishnagi-e-dil kisi surat 
Ae abar-e-karam aag hi barsaa kay guzar jaa

Kaantay jo lagein haath to kuch gham nahin "Saghar"
Kaliyon ko her gaam pe bikhraa kay guzar jaa

Haadsay kya kya tumhari be'rukhi se ho gaye


Haadsay kya kya tumhari be'rukhi se ho gaye 
Sari duniya kay liye hum ajnabi se ho gaye 

Gardish-e-doran , zamanay ki nazar , aankhon ki neend 
Kitnay dushman aik rasam-e-dosti se ho gaye 

Kuch tumharay gaiso'on ki bar'hami ne kar diye 
Kuch andheray meray ghar main roshni se ho gaye 

Youn to hum Aagaah thay siyaad ki tadbeer se
Hum aseer-e-daam-e-gul apni khushi se ho gaye 

Banda parwar ! khul gaya hai Aastano ka bharram 
Aashna kuch log raaz-e-be'khudi se ho gaye 

Ab kahan ae dost ! chasham-e-muntazir ki aabru 
Ab to un kay ehad-o-paymaan her kisi se ho gaye 

Her qadam "Saghar" ! nazar aanay lagi hain manzilein 
Marhalay kuch teh meri awargi se ho gaye
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...