Apr 1, 2016

Ghamon se is qadar hai dosti ab


Ghamon se is qadar hai dosti ab 
Khushi ki bhi nahin mujh ko khushi ab 

Khuda janay issay kya ho gaya hai 
Bhout hi bolti hai khamoshi ab 

Karon ga yaad jo fursat mili to 
Bari masroof hai yeh zindagi ab 

Qana'at seekh li hai meray dil ne 
Kami lagti nahin mujh ko kami ab 

Kabhi jin ki talab hi zindagi thi 
Zaroorat hi nahin us ki rahi ab 

Kabhi kehtay to kitni eham hoti 
Wohi ik baat jo tum ne kahi ab 

Jissay tareekiyan raas aa gayi hain 
Ussay kiyon dhoondti hai roshni ab 

Main kab ka bo chuka takiya main taray 
Dilaasa de rahi hai chandani ab 

Main shaam yaadon kay junglon main guzarta hoon keh kuch likhon ga


Main shaam yaadon kay junglon main guzarta hoon keh kuch likhon ga  
Yeh shaher sara hi so chuka hai main jaagta hoon keh kuch likhon ga  

Bahar rut kay woh khawab saray jo meri palkon pe aa sajay thay 
Woh khawab aankhon main jal chukay hain main jal raha hoon keh kuch likhon ga  

Main pichlay mousamon ki barishon ko phir apni aankhon main laa raha hoon 
Keh ab kay sawan ki rut main , main bhi yeh sochta hoon keh kuch likhon ga  

Ajeeb rut hai judaiyon ki , azab din hain azab raatein 
Main chand meh'mal se lafz likh kar yeh sochta hoon keh kuch likhon ga  

Main lafz palkon se chun raha hoon , main khawab kaghaz pe bun raha hoon 
Main teri aahat bhi sun raha hoon main jaanta hoon keh kuch likhon ga  

Woh saray rastay keh jin pe hum tum chalay thay chahat kay sang "Atif
Main ab jo un par kabhi gaya to yeh jaanta hoon keh kuch likhon ga 
 

Meray andar saans lena chor de


Meray andar saans lena chor de 
Ae udasi ! mera peecha chor de
Chand kya aangan main utra hai kabhi 
Sun meri jaan yeh tamana chor de
Tu kabho sookhay huye paton pe likh 
Sabz shakhon ka qaseeda chor de
Aik din rakha meray shanay pe sar 
"Aur yeh boli keh " duniya chor de 
Zindagi ab thak gaya hoon main bhout 
Ab khudara yeh tamasha chor de
Yeh mohabbat hai tijarat to nahin 
Kya kisi kay haath aaya chor de
Us ki ulfat main na itni door ja 
Wapsi ka ik rasta chor de
 
 

Kuch khushi kay saa'iy main aur kuch ghamon kay sath sath


Kuch khushi kay saa'iy main aur kuch ghamon kay sath sath 
Zindagi kat hi gayi hai uljhano kay sath sath 

Aaj tak us ki thakan se dukh raha hai yeh badan 
Ik safar main ne kiya tha khwaishon kay sath sath 

Kis tarah khaya hai dhoka kya bataon main tumhein 
Doston kay mashwaray thay , sazishon kay sath sath 

Kis tarah rakhey huye hain chand suraj ik jaga 
Nafratein bhi pal rahi hain chahaton kay sath sath 

Is dafa sawan main teri yaad kay badal rahay 
Is dafa main khoob roya barishon kay sath sath 

Woh jinhein main dost kehta tha baray hi maan se
Saf-ba-saf woh bhi kharay thay dushmano kay sath sath 

Kaash phir se loat ayein phir wohi bachpan kay din 
Bhaagna phoolon ki khatar titliyon kay sath sath 

Shaher main kuch log meray chahnay walay bhi hain 
Phool mujh ko lag rahay hain pathron kay sath sath 
 


Tamana'on kay sab dar kholta hai, teri aankhon ka lehja bolta hai


Tamana'on kay sab dar kholta hai 
teri aankhon ka lehja bolta hai 

Chupanay ki koi surat nahin hai 
Koi oper se sab kuch dekhta hai 

Suna hai bheegti hain us ki palkein 
Woh jab bhi kuch Khuda se maangta hai 

Kahin se roshni laao Khudara  
Meray ghar main andhera bolta hai 

Meray charon taraf phaili hai khushbu
Yeh lagta hai woh mujh ko sochta hai 

Na janay kiyon mujhay lagta hai aisa 
Keh woh kuch mujh se kehna chahata hai

Kitni muddat baad tumhari yaad aayi hai


Celebration

Kitni muddat baad tumhari yaad aayi hai 
Youn lagta hai jaisay dil yeh ruk jaye ga 
Youn lagta hai jaisay aankhein 
Apnay saray aansoo ro kar
Bilkul banjar ho jayein gi 
Youn lagta hai jaisay pichlay mousam phir se loat aaye hain 
Janaa ! yeh dil khush rehnay kay 
Tor tareeqay bhool chuka hai
Us apr teri yaad ki dastak 
Youn lagta hai jaisay dil par
Aik qayamat guzar rahi ho 
Koi toofan aan khara ho 
Jaisay aik akeli naao 
Beech bhanwar kay aan phansi ho 
Youn lagta hai jaisay sapnay 
Aik haqeeqat ban baithay hon 
Itni muddat baad tumhari yaad aayi hai 
Soch raha hoon kya us ki tazeem karon main 
Palkon par ashkon kay deep jala leta hoon 
Dil kay ujray aangan ko mehkaa leta hoon 
Dil kehta hai phir khud ko taqseem karon main 
Itni muddat baad tumhari yaad aayi hai 
Youn lagta hai jaisay pichlay mousam phir se loat aaye hon

Yeh soch hai deewangi keh taptay suraj kay talay main ghar bana'on moom ka


Deewangi 

Yeh soch hai deewangi 
keh taptay suraj kay talay 
main ghar bana'on moom ka  
Kab milay ghair ki panahon se
Dard miltay hain Aashna'on se
Khushk patton ko naachtay dekha 
Geet sunta raha hawaon se
Maal-o-zar ki talab nahin hai mujhay 
Meri jholi bhar do dua'on se
Aur kitna chalo gay tum aakhir
Aablon ne kaha yeh paaon se
Jin ko aadat hai be'wafaai ki 
Aao jeetein unhein wafaon se
Aao un ko qareeb se dekhein 
Jal gaye hain jo log chaaon se
Ho maseeha ya phir dua "Atif"
Dard ghat'tay hain kab duaon se


Mujhay khabar hai keh tum main , mujh main jo dooriyan hain


Mujhay khabar hai 
Keh tum main , mujh main jo dooriyan hain 
Hamari qismat main woh likhi thein 
Main qismaton kay likhay huay ko 
Mit'taon kaisay?
Bichar kay tum se , jo aag seenay main jal rahi hai 
Batao us ki bujhaon kaisay ?
Keh tum to waqif ho is hunar se

Mujhay khabar hai 
Tumhari aankhon main palnay wala her aik sapna 
Tumhara kal hai ,
Woh kal keh jis ki her aik aahat 
Tum apni dharkan se sun rahi ho 
Magar tumhara jo aik kal tha 
Tumhein khabar hai woh kal kahan hai ?
Tum is ko maazi bana chuki ho 
Her aik rishta bhula chuki ho 
Her aik lamhay ka aks dil se mitta chuki ho 
Magar tumhara woh kal abhi bhi 
Meri nigahon main jal raha hai 
Hawa ka rukh to badal raha hai 
Magar ajab yeh mohabbatein hain  
Keh dil abhi tak !
Tumhari raahon pe chal raha hai 
Tumhari khatar machal raha hai 
Batao ! is ko bataon kaisay ?
Tumhari aankhon main palnay wala 
Koi bhi sapna mera nahin hai 
Main aik kal jo guzar chuka hoon 
Mujhay batao main kaisay dil se 
Tumharay naqsh-e-qadam mitaon 
Batao kaisay tumhein bhulaon 
Keh tum to waqif ho is hunar se 

Yehi hua na keh tum ne mujh ko bhula diya hai


"Yehi hua naa"

Yehi hua na 
keh tum ne mujh ko bhula diya hai 
Jo naqsh-e-ulfat , tumharay dil pe khud'da  hua tha 
Ussay khurach kay mitta diya hai 

Main dosti kay ajab mousamon main rehta hoon


Main dosti kay ajab mousamon main rehta hoon 
Kabhi dua'on , kabhi sazishon main rehta hoon 

Jo tum zara sa bhi badlay to jaan le lo gay 
Main kuch dino se ajab wahimon main rehta hoon 

Main jsi tarah se kabhi dushmano main rehta tha 
Usi tarah se abhi doston main rehta hoon 

Qadam qadam pe hain bikhray huye naqoosh meray 
Main teray shaher kay sab raaston main rehta hoon 

Kiya hai faisala jab se chragh ban'nanay ka 
Main Aitmaad se ab aandhiyon main rehta hoon 

Tumharay baad yeh din to guzar hi jata hai 
Main shab ko dair talak aanso'on main rehta hoon 


Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...