Jul 16, 2014

Teri surat nigahon main phirti rahay ishq tera staaye to main kiya karoon

Teri surat nigahon main phirti rahay 
Ishq tera staaye to main kiya karoon 

Koi aa ke to itna bata de mujhe 
Jab teri yaad aye to main kiya karoon

Main ne khaak-e-nashaiman ko bosay diye
Aur yeh keh ke dil ko bhi samjha diya 

Ashiyaana banana mera kaam tha 
Koi bijli giraye to main kiya karoon 

Husan aur ishq dono main tafreeq hai 
Kiya karoon mera dono pe emaan hai 

Gar khuda rooth jaye to sajday karoon 
Aur sanam rooth jaye to main kiya karoon 

Main ne maangi thi yeh masjadon main dua
Main jissay chahata hoon woh mujh ko milay   

Jo mera farz tha main ne poora kiya 
Ab khuda hi na chahye to main kiya karoon 

Poet : Taabish Kaanpuri

Apnay sard kamray main main udaas baithi hoon

Sirf aik larki 

Apnay sard kamray main 
Main udaas baithi hoon 
Neem waa dareechon se
Num hawaein ati hain 
Meray jisam ko choo kar 
Aag si lagati hain 
Tera naam le le kar 
Mujh ko gud'gudaati hain 
Kaas meray par hotay 
Teray paas urr ati 
Kaash main hawa hoti 
Tujh ko choo ke loat ati 
Main magar nahin kuch bhi 
Sand'dil rawajon ke 
Aahini hisaaron main 
Umar qaid ki mulzam 
Sirf aik larki hoon 

Parveen Shakir

Her ghar main aik aisa kona hota hai

Her ghar main aik aisa kona hota hai 

jahan kisi ko chup kar rona hota hai 

Ujrat ki lalich main hum mazdooron ko 

Choron ka asbaab bhi dhona hota hai 

Hoti hai masoom si cheez raqabat bhi 

Do bachon main aik khilona hota hai

Poet : Anjum Khyali

Itna maloom hai , khawabon ka bharam toot gaya

Itna maloom hai

Apnay bistar pe bhout der se main neem daraaz 
Sochti thi keh woh is waqat kahan par ho ga 
Main yahan hoon magar us koocha-e-rang-o-boo main 
Roz ki tarah se woh aaj bhi aya ho ga 
Aur jab us ne wahan mujh ko na paya ho ga ??

Aap ko ilam hai , woh aaj nahin ayi hain?
Meri her dost se us ne yahi pooch ho ga 
Kiyon nahin ayi woh , Kiya baat hui hai aakhir
Khud se is baat pe so baar woh uljha ho ga 
Kal woh aye gi to main us se nahin boolon ga 
Aap hi aap kai baar woh rootha ho ga 
Woh nahin hai to bulandi ka safar kitna khathan 
Seeriyaan chartay huye us ne yeh soch ho ga 
Raah'daari main , haray laan main , phoolon ke qareeb 
Us ne her simat mujhay aan ke dhoonda ho ga 
Naam bhoolay se jo mera kahin aya ho ga 
Ghair mehsoos tareeqay se woh chonka ho ga 

Aik jumlay ko kai baar sunaya ho ga 
Baat kartay huye so baar woh bhoola ho ga 
YEh jo larki naye ayi hai , kahin woh to nahin 
Us ne her chahera yahi soch ke dekha ho ga 
Jaan-e-mehfil hai , magar aaj , faqat meray baghair 
Haaye kis darja wohi bazam main tanha ho ga 
KAbhi snaaton se wehshat jo hui ho gi ussay 
Us ne be'sakhta phir mujh ko pukaara ho ga 
Chalty chalty koi manoos se aahat paa kar 
Doston ko kabhi kisi uzar se roka ho ag 

Yaad kar ke mujhay, num ho gayi hon gi palkain 
"Aankh main par gaya kuch"keh kay yeh taala ho ga 
Aur ghabra ke kitaabon main jo lee ho gi pannah 
Her sat'tr main mera chahera ubhar aya ho ga 

JAb mili ho gi ussay meri alaalat ki khabar 
Us ne Aahista se dewaar ko thaama ho ga 
Soch kar yeh , keh behal jaye parshaani-e-dil 
Youn hi be'waja kisi shakhs ko roka ho ga !
Ita'faaqan mujhe us shaam meri dost mili 
MAin ne poocha keh suno ! aye thay woh ? kaisay thay ?
Mujh ko poocha tha ........? mujhay dhoonda tha chaaron janib 
..........Us ne ik lamhay ko dekha mujhay aur phir hans di 
Is hansi main to woh talkhi thi keh is se aagay 
kiya kaha us ne..... mujhay yaad nahin .....lakin 

Main ne poocha keh suno ! aye thay woh ? kaisay thay ?
Mujh ko poocha tha ........? mujhay dhoonda tha chaaron janib 
..........Us ne ik lamhay ko dekha mujhay aur phir hans di 
Is hansi main to woh talkhi thi keh is se aagay 
kiya kaha us ne..... mujhay yaad nahin .....lakin 
Itna maloom hai , khawabon ka  bharam toot gaya 

Parveen Shakir

Wo aks ban kar meri chasham-e-tar main rehta hai

Wo aks ban kar meri chasham-e-tar main rehta hai 
Ajeeb shakhs hai paani ke ghar main rehta hai 

Wohi to meri shab-e-gham ka aik paimbar hai 
Woh ik sitara jo chasham-e-sehar  main rehta hai 

Jo meray honton pe aye to gun'gunaaon ussay 
Woh shair ban ke biyaaz-e-nazar main rehta hai 

Guzarta waqat mera gham gusaar kiya ho ga 
Yeh khudq ta'aqub-e-shaam-o-sehar main rehta hai 

Mera hi roop hai tu ghour se agar dekhaye 
Bagoola sa jo teri raah guzar main rehta hai 

Na janay kon hai jis ki talaash main "Bismal"
Her ik saans mera ab safar main rehta hai

Poet : Bismal Sabri

Un kahi ko kahi banana hai

Un kahi ko kahi banana hai 
Aitbaar-e-sukhan barhaana hai 

Log hain doosray zamanay kay 
Aur yeh doosra zamana hai 

Hijar main neend kiyon nahin ati 
Hijar ka zaa'icha banana hai 

Aaj kiya hukam hai meray aaqa
Aaj kis ko utha ke laana hai 

Ae meray rab-e-tishnagi ! yeh bata 
Yeh samandar kissay pilaana hai 

Raat ko roz doob jaata hai 
Chaand ko tairna sikhana hai 

Main samjhta hoon dukh kinaron ka 
Mera dariya pe ana jana hai 

"Baidal" ab main bhi hoon majawar-e-ishq
Ab mera bhi ik aastaana hai 

Poet : Baidal Haidri

Meray mizaar par aa kar diyea jalaye ga

ஜ۩۞۩ஜ♥ஜ۩۞۩ஜ♥ஜ۩۞۩ஜ

 Meray mizaar par aa kar diyea jalaye ga 

Woh meray baad meri zindagi main aye ga

ஜ۩۞۩ஜ♥ஜ۩۞۩ஜ♥ஜ۩۞۩ஜ

Azaar meray dil ka dil azaar na ho jaye

Azaar meray dil ka dil azaar na ho jaye 
Jo karb nihaan hai woh namu'daar na ho ajye

Awaaz bhi deti hai keh uth jaag meray laal 
Darti bhi hai keh bacha kahin bai'daar na ho jaye 

JAb tak main ponchta hoon kari dhoop main chal kar 
Dewaar ka saya pas-e-dewaar na ho jaye

Parda na sirk jaye kahin ae dil-e-be'taab 
Woh parda nasheen aur pur'israar na ho jaye

Barhta chala jaata hai zamanay main taaluq 
YEh silsala-e-zangeer garaan baar na ho jaye

Araam se rehta hi nahin banda be'daam 
JAb tak kisi mushkil main griftaar na ho jaye 

Poet : Anjum Khyali

TAmaam umar jissay nafratein miliein "Sagar"

ஜ۩۞۩ஜ♥ஜ۩۞۩ஜ♥ஜ۩۞۩ஜ

TAmaam umar jissay nafratein miliein  "Sagar"

Mohabbaton ke woh saanchay main dhal bhi sakta hai

ஜ۩۞۩ஜ♥ஜ۩۞۩ஜ♥ஜ۩۞۩ஜ
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...